Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?
aap apni gardaan jari rakhai'n, readers khud daikh or samajh lai'n gay keh kahanio'n mai'n kin kay aqeedon ki bunyad hay or kon aisay hai'n keh jin ki har baat quran or quran walo'n a.s., mumas'lat rakhti hay.
Soorah Tehreem ki iss ayah mubarikah ki mojoodgi kay bawajood ghair shia musalmano'n kay paas kahanio'n kay ilawa or kia daleel hay keh jis ki bunyad par woh zalemeen say baizari ko na siraf yeh keh khud ikhtyar nahee'n karty bulkeh sath hi sath doosro'n ko bhi zalemeen-o-munafeqeen-o-kazebeen par lanat bhaijnay say roktay hai'n?
ab agar aap apni kahanio'n ko hi ref. samajhtay hai'n to is ka kia ilaaj?
*pooray thread mai'n say hanibal aap khud hi ya koi bhi doosra "hanibal" kay kisi post mai'n say koi aisi baat jo inho'n nay kisi ref. kay sath ki ho woh to quote kar day Allah aap ko is ki jaza day ga or agar aisa mumkin na ho to phir to "mr. hanibal" aap khud bhi apna shumar "kazebeen" mai'n "confirm" hi samjhai'n or ghor karai'n keh Allah paak quran mai'n kia keh raha hay? *
Lanat-ullah-e-alal kazebeen......
Sahabah kay hawalay say pehlay yeh baat quote kar chuka hoo'n keh unn par eeman musalmano'n kay kisi bhi firqay mai'n naa to wajibat e deen mai'n shamil hay or naa hi zarooriaat e deen mai'n. iss liay unn par kisi kay eeman laanay ya naa lanay say koi farq nahee'n parta. agar farq parta hay ya unn par eeman zarooriat-e-deen ya wajibat-e-deen ka hissa hay to saboot paish karai'n or agar nahee'n to phir aap kay paas aap kay sawal ki "ahmiat" ki or kia daleel hay?
agar koi bhi un mai'n say kisi ka inkar bhi kar day to iss say inkar karnay walay kay deen par koi farq nahee'n parta. jab keh zarooriat-e-deen ya wajibat-e-deen mai'n kami baishi achchay bhalay musalman ko deen-e-islam say kharij kar daiti hay.
or waisay bhi jiss sawal kay jawab kay hasool kay liay aap iss qadar josheelay nazar aatay hai'n uss sawal ka jawab fidvi aap ko 2 martabah day chuka hay, magar aap ki samajh mai'n shaed woh jawab aa nahee'n raha ya phir aap ka shoq-e-taqreer uss jawab ko nazar andaz karnay ki wajah hay, wallah aalam......
Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?
yess / no ??????
MaiN nay jin sahaba ka naam liya hay un kay baray maiN batayaiN.. yeh tu mujhay bhi pata hay kay Shia Jin ko Sahabi samjhtay haiN un key buhat respect kertay haiN ( i cannot disagree on this) but yeh alag baat hay kay buhat soo ko yeh log sahabi hi nahi samjthay... So Shia Mazkora Sahaba (RZA kay baray maiN kya raye rakhtay haiN...
jahaaN tak maiN nay kaha kay ref mojood haiN yeh ref. Quran maiN mojood haiN and like i said iam not hafiz... so agr app meray sawal ka saaf jawab daiN gay tu yeh discussion agay barhay gee... tu ref. bhi muhiya ker diya jayain gay.. per app hain kay wohi murghi key eak tang ( again typical shia behaviour)..
Bhai app yes/no keh dain tu baat hi khatam ho jaye.. app tu kahaniyaaN hi shoroo ker daytay haiN...
ab app nay naya dafter khool liya... agr Sahaba key ahmiyat kay hawalay say app key baat maan lee jaye tu Ahadees aur Sunnat tu waisay hi khatam ho jatay haiN.. ( yahaan per khatan ho janay say murad kay un key bhi ahmiyat nahi rehtee.. kyoN kay woh aisay logooN say ho ker puhanchi hay jin key na tu koy credibility hay aur nahi respect... and logically speaking koy b Mo'alim hamesha apnay shagirdooN say pehchana jata hay...
ChalaiN shabash jaldi say batayaiN kay shia Mazkora Sahaba (RZA) ko Sahabi samjhtay haiN kay nahi??? ya un kay baray maiN koy aur raye rakhtay haiN???