Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

**hanibal, aap ka sawal qareeban 5 satoor par mushtamil hay or is sawal ka taqaza to yeh hay keh iss ka jawab mufassal dia ja'ay. magar fil'haal aap ko mukhtasiran jawab day raha hoo'n keh....

ham Shian-e-Haider-e-Karrar a.s., (asna ashari) kay nazdeek hazrat abubakar, hazrat umar, hazrat usman, hazrat khalid bin waleed, hazrat aysha waghair'ham ka bilkul wohi moqam hay jo ahl-e-sunnah wal jamaat kay nazdeek Hazoor s.a.w.a.w., kay walidain or Chacha Hazrat Abu Talib a.s., ka hay.

ummeed rakhta hoo'n keh aap ko aap ka jawab mil gaya ho ga.
**

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

** Mukhlis sahabah karam ka ehtaram to bila shubah har kalma go par lazim hay laikin shara’e nuqta-e-nazar or musallemat-e-deen kay aitbar say sahabah par eman rakhna ya eman lana na to wajib hay na sunnat hay, na farz hay, na sunnat-e-takeedi hay no taaidi. Eeman ba sahabah kay lazoom ki shahadat kisi motabir hawalay say sabit nahee’n.

jab keh Aadam a.s., say lay kar Nabi-e-Aakhir s.a.w.a.w., tak eman lana wajib hay, toheed, adal, nabuwwat, imamat mansoos min’Allah, qiamat, namaz, rozah, haj, zakat, khums, tabarra, tawalla, amar bil’maroof, nahi an-il munkir, kutub-e-aasmani par eman, sahifah par eman, qaza qadar kay farishto’n par eman, jannat, dozakh, kosar, sal’sabeel, pul-e-sarat, hasher nashar, hisab kitab, fishar qabr, sawal jawab, hayat baad mot, saza-o-jaza, maghfirat, shafa’at, tamassuk bil’quran, Ahl-e-bait a.s., yeh sub musallimaat-e-deen hai’n, jin mai’n say kisi aik ka bhi munkir daira-e-islam say kharij ho jata hay.

Zahir hay keh mazkoorah bala zarooriat-e-deen mai’n or wajibat-e-deen mai’n, musalmano’n kay kisi bhi maktaba-e-fikar mai’n sahabah karam shamil nahee’n.

jab keh mawaddat-e-Ahl-e-Bait-e-Rasool s.a.w.a.w., ajar-e-Risalat bhi hay or Muhammad-o-Aal-e-Muhammad a.s., par darood kay baghair shariat ka rukan-e-azam “namaz” na mukammal rehta hay.**

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

hmmm..lets first spend out time on prayers, haqooq al ibaad, learning, doing goo for humanity..all that other stuff that Islam talks about before worrying about whether our lanat to anyone is so important in the greater scheme of things.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

App nay itni lambi taqreer key, agr app iss kay bajaye jin Sahaba (RZA) kay baray maiN pocha gaya hay, un kay baray maiN yes or no keh daiN... kahani khatam..

per shayad app yeh keh hi nahi saktay... yeh kamzoor deen ya iman key nishani hay...kisi ko agr apnay sahi honay per yaqeen ho tu kabhi bhi ussay declare kerta howa jhijakta nahi... aur jisay shak ho, woh saaf aur seedhay sawal kay jawab maiN qisay kahaniyaa sunanay lagta hay....

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

dear hanibal,

awwal to yeh keh aaj tak aisi batai'n aap kay paas sirf qissay kahanio'n mai'n hi hai'n keh aap logo'n kay kisi sawal ki wajah say "Baab-e-Madeena'tul Ilm" ka koi maan'nay wala ghabra kar bhag gaya ho. bahar haal aap iss baat say apnay dil ko behlatay rahai'n, hamai'n koi etaraz nahee'n hay.

doosray yeh keh kuch logo'n kay liay to "aqal kay andhay" ki is'talah istamal kartay hai'n magar kuch "aankho'n kay bhi andhay" hotay hai'n. or apni position ka andaza karnay ki bhi har kisi ko azadi hay....

post 22 ko to aap nay daikh lia agar post 21 ko bhi daikh laitay to shaed aap ko bila wajah apnay qayas ki bunyad par taqreer na karni parti.

bahar haal yahaa'n par aap kay sawal ka aik baar phir say jawab day raha hoo'n.

ham Shian-e-Haider-e-Karrar a.s., (asna ashari) kay nazdeek hazrat abubakar, hazrat umar, hazrat usman, hazrat khalid bin waleed, hazrat aysha waghair'ham ka bilkul wohi moqam hay jo ahl-e-sunnah wal jamaat kay nazdeek Hazoor s.a.w.a.w., kay walidain or Chacha Hazrat Abu Talib a.s., ka hay.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Bhai jan app seedhi baat kyoN nahi kertay?

App say pocha kay kya app log Above mentioned to Sahabi Tasleem kertay haiN ya nahi? simple sawal with a simple question.... per app hain baat ko ghumanay maiN magn haiN... sada aur saaf jawab kuch adyaan maiN mafqood hota hay shayad.

anyway... App (SAAW) kay walidaiN ka muqaam tu kuch aur hay... historically speaking un ka taluq Arab kay uss mukhtasir say group say tha jisay Mohideen kaha jata tha ( although kay yeh group Arab maiN mojood tha aur iss kay baray maiN kaha jata hay kay kisi na kisi tareeqay say yeh deen-e-ibrahimi per qayam thay yani mushrik na thay, per Hazrat Abullah (RA) aur Hazrat Amna (RA) iss group say theen kay nahi iss per koy mustanad raye nahi hay.... qisay kahaniyaaN buhat haiN... Ju baat App (SAAW) kay walidaiN aur Dada (Hazrat Abdul Mutalib ) kay favour maiN jatee hay woh yeh hay kay inhay dawat-e-haq nahi mili.. aur Mujhay eak hadees yad parti hay kay App (SAAW) say kisi nay sawal kiya kay un logooN ka kya hoga ju haq kay mutalishi thay per un taq dawat-e-haq na puhacni... App (SAAW) nay jawab diya kay woh sab Allah Ta'la key rehmat say Jannat maiN jayaiN ga ( mafhoom)...

Now JahaaN tak Abu Talib ka taluq hay tu yeh App (SAAW) kay nabut kay baad almost 10 saal tak zinda rahay, aur baar baar dawat-e-haq milnay per bhi uss ka inkaar kertay rahay.... iss behaviour kay baray maiN Quran-e-Pak maiN Irshaad-e-Bari ta'la hay kay, in logooN kay dilooN per muhr lag chuki hay ( mafhoom)...

Now iam back with my Question... Kya Umul- Momineen, Hazrat Ayesha (RZA) ju App (SAAW) key rehlat tak app key zojiyat maiN theeN, kya woh Sahaba kay darjay per haiN.

Hazrat Abu Bakr (RZA) ju kay 9 Hijri kay ameer-ul-haj thay, aur App (SAAW) key ala'let kay doraan Imamat kya kertay thay... kya woh Sahabi haiN?

Hazrat Umer (RZA) jin kay baray maiN Hazoor Pak (SAAW) nay dua key thee kay Ya Allah Dono Umer maiN say eak ko iman key daulat say beh'ra'vr farma... Kya woh Sahabi thay?

Hazrat Usman (RZA) jin key daulat aur sakhawat key kahaniyaaN aam haiN... jinhooN nay yeh watera apna rakha tha kay muslmaan ghulamnooN ko mushrikooN say azaad kerwana... kya woh Sahabi thay???

gr chay meri list buhat taweel hay, per agr app in kay baray maiN Shia hazrat key raye say agaah ker daiN tu mehrbani hogi... please simple answer will do... koy kahani ya afsanay na shoroo ker de jiya ga....

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

no, first we have to decide about lanat, then we'll worry about other things.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Source?

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

How can we practice a certain idealogy, when the main pillars of the same are being accused or known as munafiq/fasiq and mal'oon by some so called "Muslims".

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

^Bhaijaan, i was referring to thread opener

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

^^ Okay, but point still exists... isn't it?

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

LANNAT BHEJANA JAIZE YA NAJAIZE

Bukhari and Muslim in the Sahih, Allama Samhudi in Ta'rikhu'l-Medina, Abu'l-Faraj Bin Jauzi in Kitabu'r-Radd Ala'l-Muta'asibu'l-Anid, Sibt Ibn Jauzi in Tadhkira-e-Khawasu'l-Umma, Imam Ahmad Bin Hanbal in Musnad and others quote the Holy Prophet as saying:

"If anyone frightens and oppresses the people of Medina, Allah will frighten him (i.e., on the Day of Judgement). He will be cursed by Allah, by the angels, and by all humanity. And on the Day of Judgement, Allah will not accept any of his deeds."

The Prophet also said: "Curse be on him who frightens my city (the people of Medina)." Didn't this mass slaughter frighten the people of Medina? If it did, then acknowledge along with the Prophet, the angels, and all the people that that wicked malefactor was cursed and will go on being cursed until the Day of Judgement.

The majority of your ulema have cursed Yazid. Abdullah Bin Muhammad Bin Amir Shabrawi Shafi'i in Kitabu'l-Ittihaf be Hubbi'l-Ashraf Raji' ba La'n-e-Yazid, page 20, writes that when the name of Yazid was mentioned before Mulla Sa'd Taftazani, he said: "Curse be on him and on his companions and helpers." Allama Samhudi in his Jawahiru'l-Iqdain, is reported to have said:

"The ulema in general have concurred that it is permitted to curse him who murdered Imam Husain, or who ordered him to be murdered, or who sanctioned his murder, or who agreed to his murder."

Ibn Jauzi, Abu Ya'la, and Salih Bin Ahmad, arguing from the verses of the Holy Qur'an write that, "It is proven that cursing Yazid is permissible. It is the duty of all Muslims that they should know the rights that Imam Husain has over them, and how, with the strength of his suffering oppression and tyranny, he watered the tree of Islam with his own blood and the blood of his family. Otherwise, that blessed tree might have died because of the tyranny of the Bani Umayya. It was Husain who gave Islam a new life."

Yazeed wo banda tha jis ne Madina ke logon ko katal kia or daraya or dhamkya or un per beshumar zulum key......
Its enough or u need more.. dear

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

yani hazrat Ibrahim a.s., ki doa ki qabooliat mash'kook hay. kia yehee kehna chah rahay ho na ?

jo nasal main say ho kar bhi hazrat Ibrahim a.s., ka na bana, yaani Allah ka hi na bana, kia aisay ki aal mai'n nabuwwat ka ikhtatam hooa? Allah o Akbar....

or agar aap kay likhay hooay lafz "mashkook" kay doosray pehloo ko daikhai'n to yeh bhi lagta hay keh jaisay aap yeh kehna chah rahay ho'n keh "Hazrat Abullah (RA) aur Hazrat Amna (RA) Aal-e-Ibrahim a.s., mai'n hi nahee'n.

kia kehnay aap ki daleel kay, bohat khoob. yaani aap kay baqol Aal-e-Ibrahim a.s., ko dawat-e-haq hi nahee'n mili....... wahhhhh

hanibal aap ka bohat bohat shukria keh aap nay kisi na kisi tarah Aap s.a.w.a.w., kay walidain ko jannati to qarar dia magar maira aap ko yeh mash'warah bhi hay keh aap apnay ulama say aik martabah is silsilay mai'n pooch bhi lo.

Javaid Ahmad Ghamdi l.a., ko fidvi nay khud suna hay tv par yeh bakwas kartay hooay keh (maazAllah) Rasool Allah s.a.w.a.w., kay walidain jahannumi hai'n. or yeh baat unho'n nay aap ki hi aik "sahi" hadees ki kitab say aik "hadees" quote kar kay bayan ki thi.

"aik martabah saad Rasool Allah s.a.w.a.w., kay paas tashreef laay or unhon nay apnay maa'n baap ki babat aap s.a.w.a.w., say daryaft kia keh aakhirat main un ka kia moqam hay? to Aap s.a.w.a.w., nay farmaya keh woh jahannum mai'n hai'n, is par saad afsurdah say ho kar chal diay, jis par aap nay saad ko mukhatib kar kay kaha "saad sirf tumharay walidain hi jahannumi nahee'n hai'n bulkeh mairay walidain bhi ........."

Allah o Akbar.....

hanibal aap ki baat ko manoo'n yaa aap ki "sahi" kitab ya aap kay aalim Javaid Ahmad Ghamdi l.a. ki baaat?

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

aap ki baatai'n maf'hoom hi maf'hoom mai'n chal rahi hai'n, iss baat ka saboot naa dai'n keh waqaee aap kay paas sirf suni sunai batai'n hai'n, jo baat karai'n uss ka hawala bhi paish karai'n or poori baat karai'n sirf mafhoom ya tafseer bil raay ka deen hamai'n darkar nahee'n.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

agar woh sahabah kay darjay par hotee'n to aap log Mohammad-o-Aal-e-Mohammad a.s., par darood bhaijtay hooay jab "na haq" kuch logo'n ko darood mai'n shamil kartay hai'n to "wa as'haabehee" kay baad "wa azwajehee" kehnay ki aap ko zaroorat paish naa aati.

waisay sorry to say keh aap ka yeh sawal kuch bay waqoofana qisam ka hay. aap ka deen un ko azwaj-e-mutahraat mai'n shumar karta hay, sahabah main to un ka shumar ho hi nahee'n sakta.

fidvi yeh baat jaan'ta tha keh aap apna poora daftar kholnay walay hai'n or is liay hi darguzar say kaam lay raha tha magar aap bilkul wohi kaam kar rahay hai'n jo keh har manazray mai'n aap kay qabeel kay log kartay chalay aa rahay hai'n yaani kisi sawal ka jawab daina nahee'n or apnay bay tukay sawalat ki bochar ko jari rakhna jin ka na koi sar na koi pair.....

aap ki har baat ka jawab aap ko zaroor milay ga magar in jawabat say pehlay fidvi kay poochay hooay sawal ka jawab zaroor dai'n.

Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

baqi Insha Allah baad mai'n daikhtay hai'n keh sahabi kon, munafiq kon?

and please do not try to divert the topic, let us complete one topic at one place. thanks.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

[QUOTE]
yani hazrat Ibrahim a.s., ki doa ki qabooliat mash'kook hay. kia yehee kehna chah rahay ho na ?
[/QUOTE]

U r free to conclude what ever u would like to, the words are as simple as they look like, saying there is no authenticate ref. showing that the Parents (AS) of the Prophet (PBUH) was from Mohideen... this doesn't say that they were not... the reason of absense of such ref. can be numerous... the important point is, they were not their when the Prophet (SAAW) invited everyone ( thats mean all the religions of that time) to Islam.

[QUOTE]
jo nasal main say ho kar bhi hazrat Ibrahim a.s., ka na bana, yaani Allah ka hi na bana, kia aisay ki aal mai'n nabuwwat ka ikhtatam hooa? Allah o Akbar....
[/QUOTE]

Rang Nasal aur nisbat ka Islam aur nabuwat say koy taluq nahi, it was Sons of Yaqoob (AS) who tried to Kill Yousaf (AS). It was Uncle of Prophet (SAAW) who declined him and was condemnd in quran. It was Son of Noah (AS) who declined his father's invitation to the Religion of Allah all mighty was killed. There are numerous example.. and biggest of all of them, the Abu-ul-Anbiya, Hazrat Ibrahim's Father was not only idol-worshiper but idol maker as well... So the Issue of being related to Some family is not ticket to Nabuwt, Wilayat, aur Jannah....

[QUOTE]
or agar aap kay likhay hooay lafz "mashkook" kay doosray pehloo ko daikhai'n to yeh bhi lagta hay keh jaisay aap yeh kehna chah rahay ho'n keh "Hazrat Abullah (RA) aur Hazrat Amna (RA) Aal-e-Ibrahim a.s., mai'n hi nahee'n.
[/QUOTE]

Now that is funny one, Ahl-e-Arab amooman Banu-Isma'il kehlatay haiN.. i know what u r doing... typical shia stance... running away from real issue ( as it cannot be answered) and working on non-issues by assuming them that they exists....

[QUOTE]

kia kehnay aap ki daleel kay, bohat khoob. yaani aap kay baqol Aal-e-Ibrahim a.s., ko dawat-e-haq hi nahee'n mili....... wahhhhh

[/QUOTE]

I think this shows how narrow minded you are... Aal-e-Ibarhim do HisooN maiN batee rahee... Eak Banu-Ishaaq and second one Banu Ismail...

According to Quran.. nabuwat banu Ishaq maiN hi chalte rahee... yahaaN tak kay Hazrat Essa key mo'jazana paida'ish howi aur ussi tarah utha liya gay...

Banu Ismail maiN, Hazrat Ismail (AS) kay baad App (SAAW) ka hi zahoor howa.. so there was Prophets in Aal-e-Ibrahim but they were in Banu Ishaq ( as per Quran).

Now please don't say that the quran is wrong

[QUOTE]

hanibal aap ka bohat bohat shukria keh aap nay kisi na kisi tarah Aap s.a.w.a.w., kay walidain ko jannati to qarar dia magar maira aap ko yeh mash'warah bhi hay keh aap apnay ulama say aik martabah is silsilay mai'n pooch bhi lo.

Javaid Ahmad Ghamdi l.a., ko fidvi nay khud suna hay tv par yeh bakwas kartay hooay keh (maazAllah) Rasool Allah s.a.w.a.w., kay walidain jahannumi hai'n. or yeh baat unho'n nay aap ki hi aik "sahi" hadees ki kitab say aik "hadees" quote kar kay bayan ki thi.

[/QUOTE]

maiN amooman aisay issues per ulema aur apna waqt barbaad nahi kerta jis kay sawal ka meray amaal say taluq na ho... Javaid Ahmed Ghamdi, eak Aalim hay, jis key her dosray aalim key taraah kuch bataiN sahi bhi haiN aur kuch ghalat bhi... apnay amaal key saza ya jaza ussay hi milay gee aur jitna ilm uss kay pas hay ( jaisay kay woh TV pe akser kehta rehta hay) tu ussay bhi apni saza aur jaza ka ilm hoga...

Jahaan Tak Saha-sita ka taluq hay tu unn kay Muqadmay ( Sahi Bukhari etc) maiN musanif ( Imam Bukhari) nay khud likha hay kay this is his best efforts but more work to be done to get rid of fabricated ahadees....

so hadees key kitab ( chahay Bukhari ya Muslim hi kyoN na ho) koy quran nahi... jis maiN ju likha hay woh 100% sahi hay... there are ways to find it out the status of a particual hadees...

[QUOTE]

Allah o Akbar.....

hanibal aap ki baat ko manoo'n yaa aap ki "sahi" kitab ya aap kay aalim Javaid Ahmad Ghamdi l.a. ki baaat?

[/QUOTE]

App na meri manaiN nahi kisi ko mera aalim qaraar daiN, app Quran daikhaiN, wahaaN per saaf likha hay kay aisi batooN maiN ser na khapa'oo jis ka tum say koy taluq nahi... ( kal raat Maghrib kay waqt imam nay yehi ayat tilawat farma'i thee)

MY Question is still unanswered and you are telling me that falaN aalmi yeh kehta hay fala'N yeh.. per where is the straight answer of the question

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

MaiN Quran ka Hafiz nahi hooN, aur maiN iss baat say bhi buhat darta hooN kay maiN kaheen quran key ayat type kertay howay kami baishi na ker dooN... so normally maiN tarjumay ko mafhoom kehta hooN... ab her baat ka ref. tu mojood hay... per meray sab say ahem sawaal ka jawab iss post tak tu mujhay nahi mila...

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Kahani dr. kahani aur yehi hay shia mazhab...

Hazrat AYesha, Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umer aur Hazrat Usman (RZAA) ko Shia Mazhab Sahabi tasleem kerta hay kay nahi... please ilfaz key hujat maiN jaye baghair yes or no maiN jawab day daiN...

And please kaheeN per weak sahabi waghera ka kaam na shoro kerdaiN.. Khuda ki panah.. itni postaiN ho gayeeN aur eak Yes OR NO kehtay howay app key zaban ( technically speaking ungliyaaN) hakla raheeN haiN....

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

aap apni gardaan jari rakhai'n, readers khud daikh or samajh lai'n gay keh kahanio'n mai'n kin kay aqeedon ki bunyad hay or kon aisay hai'n keh jin ki har baat quran or quran walo'n a.s., mumas'lat rakhti hay.

** Soorah Tehreem ki iss ayah mubarikah ki mojoodgi kay bawajood ghair shia musalmano'n kay paas kahanio'n kay ilawa or kia daleel hay keh jis ki bunyad par woh zalemeen say baizari ko na siraf yeh keh khud ikhtyar nahee'n karty bulkeh sath hi sath doosro'n ko bhi zalemeen-o-munafeqeen-o-kazebeen par lanat bhaijnay say roktay hai'n?
**

**
ab agar aap apni kahanio'n ko hi ref. samajhtay hai'n to is ka kia ilaaj?

pooray thread mai'n say hanibal aap khud hi ya koi bhi doosra "hanibal" kay kisi post mai'n say koi aisi baat jo inho'n nay kisi ref. kay sath ki ho woh to quote kar day Allah aap ko is ki jaza day ga or agar aisa mumkin na ho to phir to "mr. hanibal" aap khud bhi apna shumar "kazebeen" mai'n "confirm" hi samjhai'n or ghor karai'n keh Allah paak quran mai'n kia keh raha hay?

Lanat-ullah-e-alal kazebeen......

Sahabah kay hawalay say pehlay yeh baat quote kar chuka hoo'n keh unn par eeman musalmano'n kay kisi bhi firqay mai'n naa to wajibat e deen mai'n shamil hay or naa hi zarooriaat e deen mai'n. iss liay unn par kisi kay eeman laanay ya naa lanay say koi farq nahee'n parta. agar farq parta hay ya unn par eeman zarooriat-e-deen ya wajibat-e-deen ka hissa hay to saboot paish karai'n or agar nahee'n to phir aap kay paas aap kay sawal ki "ahmiat" ki or kia daleel hay?

agar koi bhi un mai'n say kisi ka inkar bhi kar day to iss say inkar karnay walay kay deen par koi farq nahee'n parta. jab keh zarooriat-e-deen ya wajibat-e-deen mai'n kami baishi achchay bhalay musalman ko deen-e-islam say kharij kar daiti hay.


or waisay bhi jiss sawal kay jawab kay hasool kay liay aap iss qadar josheelay nazar aatay hai'n uss sawal ka jawab fidvi aap ko 2 martabah day chuka hay, magar aap ki samajh mai'n shaed woh jawab aa nahee'n raha ya phir aap ka shoq-e-taqreer uss jawab ko nazar andaz karnay ki wajah hay, wallah aalam......

Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

yess / no ??????
**

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Shanti ya salaamaten

NadeemZaidi bhai

Mujhe ek sawal ka jawab den. Zalemeen, Kazebeen aur Munafiqeen par wo lanat behje jo un logon men se nahin ho. Kya aap, yanein, 'hum sab' un logon me se nahin hein? Kya aap dil se keh sakte hein ke aap ko koi fikar nahein, ke shaid aap zulm ya kazb, ya nafq kar te hon ge?