Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

**Quran kehta hay keh **

*** LANAT-ULLAH E ALAL QOMIZZALEMEEN**
*** LANAT-ULLAH E ALAL KAZEBEEN**
*** OR MUNAFEQEEN KI HAQEEQAT KO QURAN SOORAH MUNAFEQOON MAI’N KHAAS TOR PAR UJAGAR KARTA HAY.**

ZALEMEEN, KAZEBEEN OR MUNAFEQEEN KAY BARAY MAI’N QURAN KAY USLOOB MAI’N HAMAI’N SIRF BAIZARI HI MILTI HAY.

KIA HAM MUSALMANO’N KO BHI QURAN KAY USLOOB KO APNA KAR ZALEMEEN, KAZEBEEN OR MUNAFEQEEN PAR LANAT BHAIJNI CHAHIAY?

Re: Kia Hamai’n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

well bhai kion kisi par laanat bhej rahe ho???

did allah asked u to do that???

well if hes doing it thenits ok cuz he can!!

but not us:nono:

y shud we??

did prophet do that??
did he asked us that whenever u see a mushrik,kaadib or munafiq just curse them???

no right??

then y shud we??

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Laant is a very serious bad dua and in ahadis if i remember correctly it is forbidden to send lanat to some one who does not deserve it(some one can dig reference for you which you should ask for, i do not visit this site to often).

However there are certain people who love to sent lanats on false historic, illogical information and end up in *bulandi e darjat *of those pious personalities.

wasalam

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

kali billi! yeh lanat mai'n nay nahee'n bhaiji....

Quran Allah Ki Lanat Bhaij Raha Hay Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen par...

Kia Quran Sirf Tilawat Kay Liay Hay? **
**Ya Eeman Laa Kar Amal Karnay Kay Liay?

*Awwal To Yeh Keh Lanat Bad Doa Ya Gali Nahee'n Hay Ya Yoo'n Keh Lai'n Keh Quran Mai'n (Naoozobillah) Galia'n Ya Bad Doaae'n Nahee'n Hai'n, Kioo'n Keh Mazkoorah Lanatai'n Quran Bhaij Raha Hay or Woh Bhi Allah Rabbul Izzat Ki. *

Doosray Yeh Keh Kia Rasool Allah s.a.w.a.w., Jab In Ayaat Ki Tilawat Farmaya Kartay Thay Yaani "Lanat ullah e Alal Qomizzalemeen ya Lanat ullah e Alal Kazebeen" To Kia Tilawat Farma Kar Muslemeen Ko Yeh Kehtay Thay Keh Tum Kisi Zalim Ya Munafiq Say Baizari Ka Izhar Na Karna (Naoozobillah)?

Kia Quran Kay Dars or Sunnat-e-Rasool Allah s.a.w.a.w., Mai'n Ikhtalaf Hay (Naoozobillah)?

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

well u give me one evidence when did prophet saw any non-muslim and said "shame on u" or"fie on u"

so ur saying that quran is to believe right??

so just like i said b4 in these ayyahs allah hinself is cursing them

allah can curse anybody if he wants to hes the creator he can curse

but in these ayyahs is allah saying"oh believers if u believe just curse the non-muslims'????

no he isnt !!!

nor did prophet ever cursed any non-muslim niether he asked any1 to do that!!

u give me one evidense a tradition that on that occasin prophet just did that!!!

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

dont waste time, energy and your prayers on people who neglected you.

....instead pray for their guidance

Re: Kia Hamai’n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

exactly sister:lifey:

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

The Energy this particular group has consumed in AAH-o-BAKA..., only if they have used in positive way, and started/headed the movements for the suvival of Islam with the sacrifices required, then the history of Islam might have different, but, the iman of certain cults is two send Lan'aa and beat themselves up... thats it, any practical suggestion is taken as offence...

They waiting will be remain be waiting for the their "Massiha" for that Illama Iqbal said...

Thay tu woh aba tumharay tum kya ho
haath per haath dharay muntazir-e-farda ho

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

well kali billi,


1. ham sub musalman bila ikhtalaf yeh baat jaantay hai'n keh Allah or uss kay farishtay Mohammad-o-Aal-e-Mohammad a.s., par darood bhaij rahay hai'n or fakhar mehsoos kartay hai'n keh darood bhaijnay kay kaam mai'n ham musalman Allah paak kay sath is amal mai'n shamil ho jatay hai'n.


2. jin say baizari ka izhar Allah paak nay quran mai'n kia hay, kali billi kia aap un say baizar nahee'n hai'n?


3. baizari kay liay mai'n nay kisi ka naam khas tor par nahee'n lia. Allah kay kalam mai'n hay keh "jhooto'n par Allah ki lanat" to maira eeman hay keh iss kaynaat mai'n jo sub say pehla jhoota tha uss par bhi Allah ki lanat hay or iss kaynaat ka aakhri jhoota bhi Allah ki is lanat say nahee'n bach sakta. or bilkul is hi tarah quran kehta hay keh "zalim qomo'n par Allah ki lanat" lehaza iss kaynaat kay tamam zalemeen par Allah ki lanat jaa ponhchi.

Ab kali billi un par lanat bhaijay ya na bhaijay woh lanat say bachnay kay nahee'n.


4. Quran Allah paak ki woh kitab hay jis par Allah paak nay apnay deen ko kamil kia. ham musalman hi uss waqt hai'n keh jab ham quran kay usloob ko apna lainay ka irada karai'n ya us kay usloob ko apna lai'n.


5. sirf yeh eeman rakhna keh quran Allah ki kitab hay or iss eeman kay sath sath quran kay usloob ko apnanay say guraiz karna kia durust tareeqa hay?


6. kisi kay bhi iqrar say pehlay inkar ki kia ahmiat hay iss ka andaza aap kalma-e-tayyaba parh kar kar lai'n. Yeh kalma to shuru hi inkar say hota hay yaani (laa elaaha) nahee'n hay koi mabood. Khuda to hay hi aik phir nakhudaow'n kay inkar ki kia zaroorat?


kali billi aap mujhay kahee'n say bhi yeh baat sabit kar dai'n keh jin par Allah kay ghazab or Allah ki lanat ka tazkirah hay un say baizari ko deen-e-islam mai'n mana kia gaya ho ya un say mohabbat rakhnay ka kahee'n hukam milta ho....


Allah paak say ham har rakaat-e-namaz mai'n yehee doa kartay hai'n keh Ya Allah hamai'n rastah dikhla un ka jin par taira in'aam hay naa keh un ka jin par taira ghazab hay....


*ham to yeh kehtay hai'n keh kisi bhi musalman ka aisay kisi say bhi kia laina daina jis par Quran kay hawalay say Allah ki lanat-o-phit'kaar ho? kioo'n keh jin par quran or Allah lanat bhaij rahay ho'n unn say mohabbat kam az kam aakhirat mai'n sur'khuru to nahee'n kar sakti, sochiay zara ghor kijiay.... *


Allah paak ham sub ko hidayat ataa farma'ay, Elahi Ameen.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

hanibal.....

*iqbal nay to yeh bhi kaha hay keh *

ki Muhammad s.a.w.a.w., say wafa too nay to ham tairay hai'n
yeh jahaa'n cheez hay kia? loh-o-qalam tairay hai'n...

or janab tareekh nay baray baray bay wafaow'n kay chehro'n say bhi naqab utaray hai'n.

Rasool Allah s.a.w.a.w., ki Aal a.s., par muzalim dha kar Rasool Allah s.a.w.a.w., ko ajar-e-Risalat dainay walay ummati bhi tareekh mai'n bay naqab hai'n.

or shaed yehee wajah hay keh jab ham kahtay hai'n keh zalimo'n par Allah ki lanat (jo keh quran kay alfaz hai'n) to kuch logo'n ko kuch khaas hastio'n ki shaklai'n dikhaa'e daiti hai'n jin ki taraf jati hoo'e lanat bhi un ko dikhaa'e daiti hay, magar un (zalimo'n) say mohabbat aaray aa jati hay or woh Quranic/Allah kay amal ko apnanay say bhi saaf inkar kar daitay hai'n.

*Rahi baat aah-o-bakaa ki ya Zahoor-e-Imam-e-zamana a.s., ki to iss silsilay mai'n aik naya thread khol lai'n wahaa'n par insha Allah sub batai'n kar lai'n gay. *

*or jahaa'n tak "Maseeha" ka ta'alluq hay to Hazrat Eesa a.s., ko Quran nay "maseeha" kaha or un kay zahoor par eeman bhi hamaray maz'hab ki aik bunyad hay. *


Agar koi bhi "huh" ki taseer bhar kay yehee baat likhay to iss say "maseeha" kay zahoor par shak kay zumray mai'n likhnay walay ki apni hi imarat-e-eeman to zaroor mun'hadim ho ja'ay gi or kuch bhi nahee'n.


Allah-o-Akbar....


Aakhirat aisay hi moaamlaat kay liay hay.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

well nadeem zaidi bhai

i said b4 that allah is the creator of all human beings he has power he has a right to do that

u didnt answer mu question

and it was....

"where in quran allah says oh believers! curse the non-muslims"?

"where in quran allah says curse the jins"?

show me one ayyah proving this matter

and one tradition that prophet taught that go curse the non-muslims or show"bezari" towards non-muslims

he always prayed for good for them

he always said oh allah show them the right path!!

never said oh allah kill them just bcuz they r non-muslims

there r sum orders in quran where allah talks to ppl like oh believers do this or do that

but in these ayyahs allahis not ordering us or is he??

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

The woman, who used to throw litter on Prophet, was visited by him, when she was sick.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

kali billi masala non muslims ka to hay hi nahee'n......

aap ko kis nay keh dia keh "lanat ullah e alal kazebeen" ya "lanat ullah e alal qomizzalemeen" sirf "non muslims" kay liay hay?

jhooto'n, zalimo'n, munafiqo'n say baizari un kay deen ki wajah say nahee'n or waisay bhi yeh beemaria'n "kalma go" musalmano'n mai'n aap ko ziada milai'n gi.

*jo log Aap s.a.w.a.w., par bachcho'n say sang bari karwaya kartay thay ya wo orat jo aap par koora phainka karti thi, ya aisi hi or bohat si misalai'n unn logo'n ki hai'n jo mushrik thay.... *

or maira eeman hay keh agar quran paak mai'n koi ayat iss tarah say wahi ban kar aa jati keh "lanat ullah e alal mushrekeen" to yaqeenan Aap s.a.w.a.w., khud bhi tilawat farmatay or aaj tak poori ummat bhi rozana iss baat ko dohraa rahi hoti. mushrekeen ka to moaamla hi nahee'n hay.

*moamla hay zalemeen, kazebeen or munafeqeen ka. Ab aap khud andaza laga lai'n keh zulm, jhoot or munafiqat kaisi buri cheezai'n hai'n keh Allah in kay murtakib afraad par khud lanat bhaij raha hay. *

or maira nuqta-e-nigah sirf itna hay keh jis say Allah khud baizari ka izhar kar day kia ham musalman uss say baizari ikhtiar kiay baghair Allah paak ki bargaah mai'n sur'khuru ho saktay hai'n? Jin say Allah baizar hay un say mohabbat ki talqeen Allah paak ki tabay'dari mai'n rehtay hooay to naa mumkin hay.

doosray yeh keh yeh sub khail "haq" or "batil" ka khail hay. haq kay muqablay par aap ko jo bhi kuch milay ga uss mai'n bayan kardah 3 khasoosiaat mai'n say koi na koi ya phir bayak waqt tamam hi khasoosiat aap ko mil jae'n gi. or shaed yehee wajah hay keh Allah paak nay un ka anjam bhi batlaa dia, Un par lanat bhaij kar.

ab agar koi yeh dars day ya samjhay keh un say mohabbat jin par Allah ki lanat (baizari) ka gawah khud quran hay, aap kay meenara-e-eeman ko or buland kar day gi to mairi nazar mai'n yeh sirf ghalat ya khush fehmi hi hay or kuch bhi nahee'n.

*naee naee is'talahaat ejaad kar kay or nit na'ay andaz-e-fikr apna kar musalmano'n ki aksaryat zalemeen or munafeqeen ko chupati or bachati chali aa rahi hay. kahee'n "khata-e-ij'tahadi" ka naam day kar or kahee'n "sahabi-e-Rasool s.a.w.a.w., honay ki bina par barah-e-rast zulm ya munafiqat jaisay na qabil-e-moaafi jara'em ki parda poshi ki jati hay. *

or is hi mission ka aik rukh yeh bhi hay keh "ham kon hotay hai'n kisi say baizari ka iz'har karnay walay ya kisi par lanat bhaijnay walay?"....... to mat kijiay baizari ikhtiar, kisi par bhi lanat mat bhaijiay, ham to baizar hai'n har uss say jiss say Allah or Quran baizar hay or yeh bhi mumkin nahee'n keh Allah or Quran to kisi say baizar ho'n magar Rasool Allah s.a.w.a.w., uss say baizar naa ho'n.....

zara ghor kijiay......

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

well if ur not talking bout non-muslims then i think we r not supposed to have any kind of bezari with muslims at all

we r supposed to be brothes

one ummah no hard feelings

so how can god tell us to curse our own brothers??

and u referenced that angels and gods say durood for prophet saws so in this matter it is also said oh believers u say durood too

so thats y we do

but in those ayahs its not mentioned that oh believers curse zalimeen kadibeen and munafiqeen or is there???

and wen prophet never cursed anybody while he cud

even wen gabriel the archangels asked him to

but he refused

so how can prophet refuse the words of god???

y wud he do that???

if it was ok then he wud have done that wen gabriel asked him but he prayed for them

so wat shud we do???

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Illama Iqbal kay Is sha'ir kay baghair akser molviooN kay taqreer mukamal nahi hotee... per app nay bhi iss shair ko sathi tor per bayaan ker kay apna farz ada kya...

Is shair maiN Muhammad (SAAW) say wafa ka matalb un kay laye howa mazhab, un key sunnat per amal kerna hay kay na kay shakhsiyat parsti... kyoN kay yeh tu Allah ta'la ka bhi wada hay kay agr tum meray bataye howay raasstay( ju kay bila-shak.o.shuba App (SAAW) kay zariya ham tak puhancha) per chalo gay tu tumhay duniya key imamaat day dee jaye ge... i hope kay yeh mukhtasir c tashree hi kafi hay...

AS i said earlier, U can consume all ur energy in defaming Sahaba (RZA) as thats the only thing a weak and/or sick mentality can do... a MAN on the other hand, if believes in something will stand for it...

So u can carry own tabara and waiting for the boy who dis-appeared at the age of 4 or 6 ( please correct the age) and somehow he is not growing old....

As i have quoted Illama Iqbal earlier, iam going to quote him again when he says ...

Howi jis key khodi pehlay baidar
wohi Mehdi wohi imam-e-zaman

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

dear sister.....

na to koi aap ko apnay bhaio'n say baizari ikhtiar karnay ko keh raha hay or na hi Allah kay na farmano'n ka kisi say koi rishtah baqi rehta hay.

Al Quran, Soorah Hood, Ayat 45.
or pukara Nooh a.s., nay apnay rabb ko or arz kia: aey mairay malik! maira baita bhi mairay ghar walo'n main say hay or bay shak taira wada sachcha hay or too sub hakimo'n say bara hakim hay.

Al Quran, Soorah Hood, Ayat 46.
Irshad hooa: aey Nooh (a.s.)! waqea yeh hay keh woh nahee'n hay tumharay ghar walo'n mai'n say. bay shakk us kay kaam kharab hai'n lehaza na darkhoast karo tum mujh say aisi jis kay baray mai'n nahee'n hay tumhai'n kuch ilm, albattah mai'n tumhain nasihat karta hoo'n keh na ho jana tum jahilo'n mai'n say.

Al-Quran Soorah Tehreem ayat 10.
*misal paish karta hay Allah un logo'n kay baray mai'n jo kafir hai'n, Nooh a.s., ki bivi or Loot a.s., ki bivi ki. thee'n yeh dono'n do aisay bando'n ki zojiat mai'n jo thay hamaray saleh bando'n mai'n say to khayanat ki in dono'n nay apnay shohro'n say, so nah kaam aa sakay yeh dono'n un ko Allah say bachanay mai'n zara bhi or kaha gaya un say keh dakhil ho jaow tum dono'n jahannum mai'n, doosray janay walo'n kay sath.*

aap khud hi daikh lo keh Nooh a.s., kay baitay or bivi ko or loot a.s., ki bivi ko Allah paak nay in saleh bando'n kay ahl-e-bait honay kay bawajood na sirf kuffar mai'n shumar kia balkeh un ko jahannum main bhi dakhil kia. aap to ummati bhaio'n ki baat kar rahi ho.

Al-Quran Soorah Tehreem ayat 9.
Aey Nabi s.a.w.a.w., jahad karo kafiro'n say or munafiqo'n say or sakhti say paish aow un kay sath or un ka thikanah jahannum hay or bohat hi bura hay woh thikanah.

kahee'n iss ayat-e-mubarikah mai'n "jahad" kay maani "baizari ikhtiar naa karnay kay" to nahee'n? :)

Al-Quran Soorah Tehreem ayat 11.
or paish karta hay Allah misal ahl-e-eeman kay baray mai'n, fir'on ki bivi (asia) ki, jab us nay kaha tha keh aey mairay Rabb! bana day too mairay liay apnay paas aik ghar jannat mai'n or nijaat day too mujhay fir'on say or uss kay amlo'n say or nijat day too mujhay is zalim qom say.

aap khud daikh lo keh fir'on l.a., ki bivi Asia s.a., jo keh baizar thee'n zalim or kazib shohar fir'on l.a., say. kia khoob inaam ataa farmaya Allah paak nay un ko keh un ki misal quran mai'n ahl-e-eeman mai'n shumar kar kay paish ki.

*na khudaow'n say baizari ka iz'har hay (la elaha) or iss inkar (baizari) kay baghair (illallah) ki gardaan bhi koi ahmiat nahee'n rakhti.*

*or waisay bhi baizari or mohabbat kay jazbat to insan ikhtiar karta hi hay, koi batil say baizar hota hay or koi haq say koi haq say mohabbat rakhta hay or koi batil say. dono'n say mohabbat ya dono'n say baizari ka dars kam az kam deen-e-islam mai'n to nahee'n, agar kahee'n hay to woh aap dikhla do....*

to jab mohabbat or baizari jaisay anasir iss khaki putlay mai'n Allah paak nay samo hi rakhay hai'n to kia hi achchi baat ho keh aap mohabbat rakhai'n un say jin say mohabbat rakhta hay Allah or us ka Rasool s.a.w.a.w., or baizari ikhtiar karai'n un say jin say baizar hain Allah or us ka Rasool s.a.w.a.w.

Allah Lanat bhaij raha hay zalemeen o kazebeen par quran kay tawassut say aap kay kehnay say mai'n jhooto'n, munafiqo'n or zalimo'n say baizari ko tark nahee'n kar sakta magar haa'n agar aap kay paas koi quran ka hawala hay keh jis mai'n baizari ikhtiar karnay say roka gaya ho to woh zaroor paish karai'n, uss baat par eeman rakhtay hooay uss par aamil rehna yaqeenan taqaza-e-eeman ho ga lehaza aap ko bhi koi shikayat nahee'n rahay gi.

note: quran paak kay tamam hawalo'n mai'n ahl-e-sunnat wal jamat kay tarjumay say ayaat ka tarjuma paish kia gaya hay.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

dear mr. hanibal,


sub say pehli baat to yeh keh yeh aap ko batlaya gaya hay keh ham (shia) sahabah karam r.a., par tabarra kartay hai'n magar maira bhai yeh haqeeqat nahee'n.


Sahabah karam rizwan-ullah-e-ajma'een ki shan mai'n gustakhi kisi ko bhi aakhirat mai'n sharmindah kar sakti hay. magar hamai'n sirf yeh tay karna ho ga keh Sahabi ki asal pehchan kia hay? kia har makki or har madni sahabi hay? kia sahabio'n mai'n say koi bhi munafiq nahee'n tha? kia quran paak mai'n mojood soorah munafeqoon Allah paak ki taraf say kisi mafroozay ki bunyad par nazil ki gaee?


Allah o Akbar.....


maira bhai hamary nazdeek sahabi ki pehchan yeh hay keh jo Allah or us kay Rasool s.a.w.a.w., par eeman laya or martay dam tak uss eeman par qaem raha usay ham yaqeenan sahabi-e-Rasool Allah s.a.w.a.w., hi maantay hai'n or hamaray liay baa'is-e-sharf-o-iftakhar ho ga agar akhirat mai'n hamai'n un mai'n say kisi ki chaakri ataa kar di ja'ay. Aisay sahabah karam r.a., kay qadmo'n ki khak par ham kia, hamaray maa'n baap, jaan, maal, olaad sub qurban. Subhan Allah, un ki to shaan hi nirali thi.


ham baizari ka izhar kartay hai'n un say jinho'n nay khuli munafiqat or zulm kay raastay ko apnaya. or maira nahee'n khayal keh jo Rasool s.a.w.a.w., ka kalma parh kar musalman hooa hay us ko koi sar-o-kaar hona chahiay kisi munafiq, zalim ya kazib say ya kisi aisay say jis say Allah or us ka Rasool s.a.w.a.w., baizar ho'n.


mazeed yeh keh aap say pehlay bhi guzarish ki thi keh is thread mai'n "to the point" baat karai'n or agar is mazmoon kay ilawa kuch sawalat aap ko paraishan kar rahay hai'n to un kay liay koi or thread khol lai'n. Fidvi koi aalim to nahee'n, aik adnaa sa talib ilm zaroor hay or insha Allah hasb-e-tofeeq aap ko jawab zaroor daita rahay ga.


agar koi baat buri lagi ho to mazrat khoaah hoo'n.

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Jee Hazoor mujhay yeh guman hargiz nahi kay Shia Sahaba (RZA) per tabara kertay haiN, balkay yeh yaqeen hay kay yeh log Buhat say Sahaba aur Umm-ul-Momineen ko Muslmaan he nahi samjhtay,, baqool un kay yeh log App (SAAW) kay intayqaal kay baad Islam say phir gay thay... and bla bla bla

App bus mujhay itnay c maloomaat beham puhancha daiN kay app kay nazdeek Hazrat Abu Bakr (RZA), Hazrat Omer (RZA), Hazrat Usman (RZA), Hazrat Khaled Bin Waleed (RZA) aur Hazrat Ayesha (RZA) ka kya muqaam hay, aur app yeh bhi bata daiN kay agr Shia in per tabra kertay haiN tu kya samajh ker kertay haiN???

Bus aap saaf ilfaaz maiN bata daiN kay app above mentioned ko Sahabi Samjhtayh hain kay nahi, agr nahi tu kyoN nahi aur agr haaN tu phir inhay na-pasand kyoN kertay haiN..

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Dear hanibal brother,


aap ki poochi hoo'e baat "out of subject" hay magar phir bhi aap ki is baat ka mufassal jawab daina chahoo'n ga magar iss thread mai'n nahee'n. Insha Allah jald hi is hi forum par aik thread "SHIA SUNNI" kay unwan say shuru karoo'n ga, wahaa'n par aap apnay tamam sawalat (one by one) zaroor kijiay ga, fidvi insha Allah aap ko apnay ilm kay mutabiq zaroor jawab day ga magar koshish kijiay ga keh aap kay sawalat ilmi ho'n, suni suna'e bato'n or sirf behes bara'ay behes kay tehet kiay janay walay sawalat ka hamaray paas na to koi jawab hay or na hi koi elaj....


wassalam....

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Janab,

i don't know kay app kis baat ko out of topic keh rahay haiN... app hi nay lanat waghera per topic shoroo kya aur app hi nay kaha kay app sahaba (rza) per lanat nahi kertay tu maiN nay kuch sahaba (RZA) kay baray maiN poch liya... A simple yes or no would have done... but jaisay kay mera yaqeen hay kay Shia hazrat.. siway'e chand eak kay kisi aur Sahabi tasleem hi nahi kertay... so app iss jawab say bhag gay.... and iam sure kay app apnay uss new thread maiN bhi kisi baat ka saaf jawab daynay kay bajaye idher udher say niklnay key koshish karaiN gay... that is common shia attitude...

Simply it is not ur fault, the faulty side is the religion which is based on some false and/or exaggerated events.... so every shia have a problem to defend its stance...