Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?
Bhai NadeemZaidi
Aap ki baat bilkul ghalat hai ... pehle to aapne koi "context" nahien pesh kiya nahi koi "reference"......
Al-Quran Soorah Tehreem ayat 11. or paish karta hay Allah misal ahl-e-eeman kay baray mai'n, fir'on ki bivi (asia) ki, jab us nay kaha tha keh aey mairay Rabb! bana day too mairay liay apnay paas aik ghar jannat mai'n or nijaat day too mujhay fir'on say or uss kay amlo'n say or nijat day too mujhay is zalim qom say.
sub say pehli baat to yeh keh iss aayah mubarikah mai'n Allah paak nay "misal" ka lafz istamal kia hay ahl-e-eeman kay baray mai'n takeh tum bhi "ahl-e-eeman" ki zalemeen say baizari ko daikh kar apnaa sako...
doosri baat yeh keh iss aayah mubarikah kay mutabiq ahl-e-eeman hay hi woh jo zalimo'n say baizari ka izhar karay.
teesri baat jo iss aayah mubarika ki roshni mai'n bilkul wazeh hay woh yeh hay keh "ahl-e-eeman" or "zalim", 2 alag alag cheezai'n hai'n. ya yehee baat iss tarah keh lai'n keh koi bhi "ahl-e-eeman" "zulm" ka raastah apnaa kar kisi waqt bhi "ahl-e-eeman" say kharij ho sakta hay or "ahl-e-eeman" ki baizari ka nishana banta hay na keh mohabbat ka.
ab farmaiyay keh fidvi kis tarah quran paak ki iss ayat-e-mubarikah ki mojood'gi kay bawajood aap ki paish kardah "khilaf-e-quran" kisi baat ko tasleem kar sakta hay?
zalimo'n say baizari baqol quran "ahl-e-eeman" ka kaam hay to bhala aap kay kehnay say mai'n kis tarah yeh maan loo'n keh "ahl-e-eeman" ka kaam kisi say baizari nahee'n hay?
kia aap iss ayat ki tan'seekh paish kar chukay hai'n?
mazeed idhar udhar waqt zaaya karnay say behtar hay keh aap sirf iss ayah mubarikah kay hawalay say fidvi ko koi tasalli bakhsh jawab marehmat farmaa dai'n to shaaed aap ko bhi kisi bhat'kay hooay ko raastah dikhlanay par sawab-e-jaaryah mil jaay.