zulmat-e-shab me.n ujaalo.n kii tamannaa na karo
Khvaab dekhaa hai to ab Khvaab ko rusvaa na karo
Khvaab ummiid nashaa saa.Ns tabasuum aa.Nsuu
TuuTane vaalii kisii shay pe bharosaa na karo
ham ne aa.Nkho.n ko jalaayaa thaa ki kuchh dhundh chhaTe
tum na_ii nasl ke suuraj ho tum aisaa na karo
ashk piine kaa hunar siikh lo ham se aakar
jazbaa-e-dil ko nigaaho.n se havedaa na karo
ye maykhaana raas na aayegii tumhe.n ai “pasha”
yaad guzare hue lamhaat kii taazaa na karo.