JANWAR peeti hoie news kay sath

janwarki bachpan ki pic :rotfl:
[thumb=E]untitled17925_2615937.JPG[/thumb]

janwar’s concert held on march 18th …if u want more info bout concert than contact @ [email protected] or visit www.janwarconcert2ya.com

[thumb=E]concert17925_50583081.JPG[/thumb]

:hehe: hehehehehe! chalo koi to humain salami deta hai :wink: thanx Janwar G

:hehe: hehehehehe! NiMMi G aap ne to Janwar G ki ek he bool se chaka mara aur bhi esa wah wasay ek baat booloun ab main yeh zaror dekhna chahoun ge k ** Janwar G** es ka jawab kasay detay hain :wink: well best of luck yara TC wid love Cute Swee2 :Pretty:

hahahahha thnxx waise mai bhi janwar se kam nahi :wink: yeh app log ne dekh hi lia hoga :hehe: thncoo sis :kiss:

HI g yeh to hum deekh he rahay hain k aap kis se cum nahin jani and wat thanx jana no thanx wen ur sis init ;0 ok yaar u TC jana :kiss: I have 2 go sweetie ok then wid love Cute Swee2 :Pretty:

lolz ok ..luv ya too
tc allah hafiz :kiss:

simple english plz :rolleyes:

NiMmi ---- JiS ka Zahnee tawazOn kharaB hai , Omer ka andaza lagana muskil hai coz sir par nahi muu mai teeth nahi ... Rang Neela or peela , lizered jasi chal , hieght half zameen kay under half zameen say bahar... sab mela kay 2 inch 2 c ...sab say bari cheez un ke neeshani Un ke lambi Moti LaL khoon say bhari un ke Zaban hai jo knief ke tarha chalti rahti hai .... ankhay bhans jasi ... 6 hands or 10 legs kay sath kahi bhag gaie hai , aakhari itala milnay par un ko aik tree par aik bandar ke joooo jo sir mai keeray hotay hai woh nekaltay howay 0r khatay howay nazar aie the........pata batanay walay kO 100 kooray maray jaie gay , or jo dhoond kar lay kar aie ga us k0 jaan say mar deyeah jaie ga.. ILan Khatam hOwa rash kam karay please. shukreya.

KinOo--- ke chatni ajj market mai new new aie hai ... jo khaie woh phachtaie or jo nah khaie woh bhi phactaie.... kinoo ka mosam khatam ho raha hai ... batayeah jata hai kay ajj kal kay kinooo mai aik keera aageyeah hai ... nekal kay he nahi deta , pooray kinoo baradari mai phaal geeyah hai or kinoo ke zaat ( cast ) ko kharab kar raha hai .. jald say jald kinoo baradari walay hitmi fasla lay kar is keeray ko sprey say bhaga dalay gay ... akhari itala anay tak maloom howa hai kay yeah kinoo nahi aik insan numa keera hai jo kinoo kay under rahta hai abb dekhna hai kay kinooo baradari kesay bhagati hai in ko .

cute swee2-----ka ajj dulha bhag geyeah pata laganay par logo nay batayeah kay jab dulhay nay ghoonghat hatayeah tu samnay ajeeb or gareeb makhlook ko dekh kar bhag nikla.... or appnay baalo ko noochta jaa raha tha...or bolta jaa raha tha.... meray ghar walay maray dushman nahi ho saktay .... akhari itala anay tak pata laga hai kay woh dulha abb bilkul mental ho geeyah hai or aik song gata howa nazar ata hai market mai ( shadi nah karna yaaro pachtaoo gay sari life ) beechara bhari jaawani mai he pagal ho geyeah .ALLAH us ko hal or us ke zindage ko sahi karay .AMeen .

Dania_2000-------beauti contest mai khari hoie or gir gaie pata laganay par maloom howa kay kese nay banana ka chilka zameen par is haseen larki ko dekh kar jeloOoOseee mai dal deyeah in last jab woh insan pakra geyeah tu woh koie or nahi pakistan Lollywood ke mashor heerOoien REEMA thi jab un say wajha poochi tu unho nay batayeah kay mari jhaga koie nahi lay sakta mai sab ko mar do ge ..

yeah thi kuch khas khas khabray.

[QUOTE]
*Originally posted by Janwar: *
Brokensky --- kay achanak gussa anay par Janwar nay sorry kar le jis kay bad dono nay galay mai bahay dal kar aik jungle raqs kiya .

nancy drew ---- kay teeth dekh kar Solomani manjan bananay walo nay aik ishteryar bana deyeah jis par nancy drew ke pic thi teeth saaf karnay say phelay or teeth saaf karnay kay bad elephant ke pic laga de .

Ajnabi4ever--- nangay hatho pakregeyeah rooti choori kartay howay .

cute swee2 ---president pareev bhai nay gaurd of houner kay tor par cute swee2 ko aik salami de jis mai 3 water gun shamil thi.

bao bihari---nay haleem ke dookan laga de , sadar kay main market mai ..

Dania2002----kulfi khatay pakri gaie .

Ur Angel --- aik paristan kay shazaday kay sath date martay pakri gaie .
[/QUOTE]

Pakinstan mai koi shehzada bhie hai mujhe is baat ka ilm nahin tha!
Waise shehzado ka kya hai aaj is ke saath kal kisi aur ke saath!

Ahem!
Filhaal apni to fix ker lo!
Baad mai meri khabrein dete rehna!

:hehe: thanks for including me up there in ur pitti hoi newz :smiley:

Janwar mirch masalay kay sath hazir hai .

Bao behari – behar mai behari kabab laganay lagay hai.

maheen2002— nay aik bangali movie mai aammi ke kirdar aadda kiya.

pagal Deewani — lahori actor Mastanay kay sath shoping center par doodh jalabi khatay howay nazar aie .

Ajnabi4ever ---- nay doctory chor kar gannay ke machine laga le hai jis say logo ko 5 rupess ka aik gannay ka juice baach rahay hai.

No-Reservation — chooti walay din sabzi market mai moli ke marketing kartay howay nazar aie .

Azad ---- karachi Lolo khat mai churiyo ke dookan kay bahar larkiyo ko churiya pahantay howay dekh rahay the , jis par waha kay kuch shareef logo nay un ko itna mara kay sir ganja or kapray oper neechay ho gaie jis kay bad woh dum daba kar waha say bhag leyeah .

ghazal-kesi-ke ----ka aik new mooshairaa honay jaa raha hai jis ka unwan hai , ghazal-kiskee-hoie ( kiskee means pagal )

mahnoor@lahore —ajj kal US ke gaaliyo mai awaragarde kartay hoie paie jati hai .

Kamran_khan ---- peeshawar mai chapli kabab khatay howay nazar aie.

DarcKo ---- dacko baasheray kay sath dakati martay howay bakray gaie , un kay pass say 2 munna biscut or 4 kit kat baramad hoie.jis kay bad jail lay jaya geyeah or un ko ulta latka kar jo kiya woh yaha nahi liekh saktay . magar durd say roonay ke awaz abhi tak aarahe hai.

Bilal bhai ---- appnay leyeah jeans lanay gaie or jab ghar wapas aie tu galti say kese bachay ke chadi sath mai lay aie .

rani pakistani----- ko raja ko rani say pyar ho geyeah movie boohat pasand hai .

cat-woman----- ajj kal un ke dum khooo gaie hai i mean TAIL jis ko melay woh foran wapas kar day .

jonybr — kay cartoon show par hookumat nay band laga deyeah hai .. coz us ko dekh kar doosaray cartoon mootasir ho rahay the.

shikra ----- appni roof par appnay lambay lambay baalo ko sookhati hoie nazar aie… jab un kay baalo ko khancha geyeah tu pata laga woh nakli thay under say woh ganji thi.

pakistan kuri ----nay karachi mai mahndi lagaie or phir pathan continatal mai khana khayeah.

Muslim Qeen ---- kay king ke talash jaari hai … jesay he melay king ko pakar lay coz woh Queen kay heero ka har chura kar bhag gaie hai.

sparkly eyes ----aik ankh pather ke hai .

silly girl ---- silsila movie mai appnay johar dekhaie ge .

Desi Churail ---- insano kay beech mai aakar pareshan hai coz un ke shakal jesa koie nahi hai khoofnak.

Sandleen —nay appni sandel ke marketing ke or batayeah kay yeah woh sandel hai jis say unho nay 100 larko ko peeta hai .

diyah — chambali ke shadi mai khajor khatay howay nazar aie.

Lamhay —gol guppay ke dookan kay bahar appni zaban nekal kar khari rahe magar kese nay un ko kuch nahi khelayah, bad mai sab logo kay peet mai durd ho geyeah lamhay ke nazar lag kay.

faizy ---- firdos colony mai frige sahi karnay ke shop khol le hai

khanzada — un ko hum nay naie ke dookan mai betha payah, pata karnay par batayeah kay its my own shop.

americanDesi ---- Desi khanay boohat pasand hai .

Little Human ----- insano kay beech mai aakar boohat khoosh hoie.

Daagh —bhari hoie cigrate lagatay howay pakray gaie.

golden Scorp ---- ajj kal africa kay jungle mai waha ke lakreyo ko kharab kartay howay nazar atay hai.

black mamba —ke moocho ka raz poocha tu unho nay batayeah kay roz MTV bakri ka doodh peelata ho appni moocho ko.

#Let Us Chat# ---- kay ajj kal chat masala market mai bara populer ho raha hai.

MasOom-sE-LarkI ----- nay masoomeyat say appnay chero ko neechay kar kay poocha ( kiya mai abb bhi masoom ho ) logo nay is tarha ke shakal bana le. :snooty:

g3nu1n3---- GS ke team ajj kal in kay peechay lagi hoie hai.

Louie---- ke demagh ka ilaj chal raha hai ajj kal.

OutLaw-----L.L.B kay under addmission lanay ka sooch rahay hai.

Capricorn----nay ajj taurus say mil kar aik Mili naghma gayah.. maray dassh ke meeti gawah rahna.

Lajawab----nay meethaie ke dookan khol le hai .

Long rangers ----- ajj kal short jump laagatay howay nazar aie pata karnay par maloom howa kay un ke jeans mai kese nay rani bomb rakh deyeah tha.

hmmmmmmmmmmmm yeah thi ajj ke kuch new khabray .

[QUOTE]
*Originally posted by Ur Angel: *

Pakinstan mai koi shehzada bhie hai mujhe is baat ka ilm nahin tha!
Waise shehzado ka kya hai aaj is ke saath kal kisi aur ke saath!
[/QUOTE]

paristan not pakistan..... khair.... i think app ko koie flirt nahi kar sakta.... or jaha tak meray fix karnay ke baat hai i dont think so kay woh fix ho paie ga kabhi baat yeah nahi.

~NiQ@Bi~---aray inculde ke kiya baat hai... abhi dekhtay rahay kiya hota hai ... kitnay log atay hai is peeti hoie news mai :p

:rotfl:

nancy drew ko achanak pagal khanay lay jayeah geyeah jaha par already GS kay kafi log moojod the… sab nay mil kar aik cricket team banaie or jo kay Speaical team kay tor par pakistan ke sab say ache team the… jis nay cricket Worldcup speacial mai gold kay biscut jeetay or gold kay biscut ka nashta keyeah .

jee han, nazreen aur is team ke captain hamare piyare guppy Janwar bhai the, jinki mehnat aur lagan se hamne yeh world cup jeeta :k:

====== AIK ZAROORI ILAAN ========

GS ke LarkiyOooO ko khabardar kiya jata hai kay woh is Janwar ko bhai nah bolay warna yeah Janwar qasaie ke tarha larkiyo ko treat karay ga... or Larkiyo say maharbani farma kar bola jata hai kay is Janwar say rishta jornay ke koie zarorat nahi hai... because janwaroo say rishta nahi joora jata serf nafrat ke ankho say dekha jata hai , Shukreya .

P.S abb jis GS ke larki nay Janwar ko Bhai , brother , Bhai jaan , bola tu us ka muuu kala .. wesay already kala hai but nah hai tu ho jaie ga.. :p

ILAAN Khatam howa jaoo appnay appnay gharoo mai shabash. choo choo choo.

[QUOTE]
*Originally posted by Janwar: *

[/QUOTE]

Sarkari boonpoo..

[QUOTE]
*Originally posted by Ajnabi4ever: *

Sarkari boonpoo..
[/QUOTE]

hai bolo maray bachpan ke galti :p

[QUOTE]
*Originally posted by Janwar: *

hai bolo maray bachpan ke galti :p
[/QUOTE]

Bachpun main ghalti kee thee tuoi janwaar bunaay thay.. ab koi acha kaam kero kay Insaan bun jao.. :D