jaaan lewaa the hidden....

Re: jaaan lewaa the hidden…

Mein kya dil ki baat keroon meri jaan,
mera dil nahi, mein hoon aisa insaan,
insaan bhi kiya, mein to hoon ik shaitan,
shatano kai dil nahi hotai meri jaan :smiley:

Re: jaaan lewaa the hidden…

yeh kiya har waqt insaan insaan kartay ho
aur kuch nahee tou jaan jaan kartay ho
kuch boul deyti houn tumhay mai tou
routay huway sab kay samnay shaytaan shaytaan kartay ho :smiley:

Re: jaaan lewaa the hidden…

Tum nai kiya khaak bol na hai, woh bhi mujko?
Mujhse to dhartai hein, rulatai hein jo tujhko,
Abh chup ker kai jaaker apni feeder pakarlo,
Doodh bohot thanda hoa, to microwave kerlo…:smiley:

Re: jaaan lewaa the hidden…

mera feeder tou chouri kar kay toun nay doodh sara pee liya
maar pit tee daykhi teri, tou laga jaisey sara jahan jee liya
rou na meray bachay abb aisa bhi kiya huwa
dil kay hain sakhee, phir maar pit nay ki dein gein dua:D

Re: jaaan lewaa the hidden…

Yaar tumharai shairon mein woh maza raha nahi,
Itnai burai hein kai, koi sense banta hi nahi,
Na samajh aati hai kai tum kya keh rahi ho,
Bus chup kerkai abh apni feeder waapis lalo…:smiley:

Re: jaaan lewaa the hidden…

daykha mainey kaha thaa feeder tumharay paas hi hai
doodh sara kahan gaya, abb tou peenay ki sirf aas hi hai
tujhay meri batouN ki sense kahan say parhni chanda meray
empty hai tera stomach, abb tou terey liye kahnay ki ghaas hi hai

Re: jaaan lewaa the hidden…

Chalo theek hai yeh maana, mera pait hi khaali hai,
Tum sai to behtar hoon, tumhara to bheja bhi khaali hai,
Yeh tere kaan mein baali hai, ya dukan ki trolley hai?
Lagta hai teri kisi badkismat sai shadi honai wali hai :smiley:

Re: jaaan lewaa the hidden…

wah wah shadi ki baat kar di toun nay abb
jaan meri chalein gein honey moon pay kabb
terey paas tou itnay paisey nahee hain ziadah
tujhay patanay ka bhi koi nahee abb fayedah

Re: jaaan lewaa the hidden…

Paison ki baat mat ker meri jaan,
woh to hai hi, plus char paanch makaan,
Aisi aish karaoon ga, tum khusi sai marjao gi,
Kisi aur larki ko dekhoon ga, tum ushi waqt sarjao gi :smiley:

Re: jaaan lewaa the hidden…

souchouN waqi ko abb patana hi paray ga
chaar ghar lay kay uss ko tarpana hi paray ga
kissi aur ki taraf kiya daykhnay ka souchtay ho tum
har waqt daykhaou, flooding meray saath hi kartay ho tum :smiley:

Re: jaaan lewaa the hidden…

Waqi ko patana itna asaan kaam nahi hai,
Flooding to tu mere saath ker rahi hai,
Itni bari churail to mein nai dekhi nahi hai,
jiska naam hai EMM, mental-case wohi hai :smiley:

Re: jaaan lewaa the hidden…

haye, iss EMM kay diwalay hain bohut yahan
milay ga ham sa flooder kabhi koi kahan
jahan hai jinn waqi choorail hain wahan
EMM nahee tou soona hai yeh sara jahan :smiley:

Re: jaaan lewaa the hidden…

Tumhara diwana to koi ho nahi sakta,
Char husbands chahiyai thai? Tujhko aik bhi na mila,
Abhi tak dhoond rahi ho apnai liye aik banda,
Bus aik hi cheez teri hai, woh hai pakistan ka jhanda.

:jhanda:

Re: jaaan lewaa the hidden…

chaar husband say behtar aik pak ka jhanda hi hai
piyaar say pakarti houn tou dayta piyaar hi hai
iss kay hounay say meri GS par shaan hi hai
jo hai meri izat aur bara dildaar bhi hai :stuck_out_tongue:

:jhanda:

Re: jaaan lewaa the hidden....

^^ Waaahhh waaahh..... kia baat ha ... change u'r nick to EvilPoet

Re: jaaan lewaa the hidden....

shukriya NaMaan jee....

sarnay ki boo aa rahee hai...looking around oh waqi tum kabb aye :D

Re: jaaan lewaa the hidden…

Izat to tumhari ik cockroach sai bhi kum hai,
Tum ko to bus ik shadi ka gham hai,
Fikar na kero, tumhai rulanai kai liye hum rehtai hein,
abh ajao chat per, sabh udhar hi bhetay hein

Re: jaaan lewaa the hidden…

everyone to the chat rooom wohoo :dhimpak:

Re: jaaan lewaa the hidden....

wahaa wahh ... waqi06 .... good yaar .... :)

Re: jaaan lewaa the hidden…

HAYEEE SOMETHING IS BURNING!!! oh wait, EMM you just arrived? :smiley: