^ main jin madaaris ki baat ker rahee hoon woh hanafi school of thought say hee taluq rakhtay hain ...alhumdulillah
jamia dar ul uloom .jaamia binoria .jamia ahsan ul uloomhanafi school of thought kay strong madaaris main say hain or na sirf pakistan bulkay international tor per in ka fataawa maanay jaatay hain
or alhumdulillah mere pass in k faatawa perday hee kay silsilay main mahfooz hain !

.
Sister
Imam Abu Hanifah didn't make "niqab" fardh(obligation) but wajib and that in the case of fitnah. Also, there are different opinions among each school of thought regarding niqab.
^ phir to yeh bhi maaloom ho ga kay viter ki qaza bilkul usee terah laazim hai jis terah farz ki qaza lazim hai …
khair app ko woh dalaail jannay hain jis say perday ki ferziyat saabit hotee hai …to is k ley app in madaris ki sites per ja ker online question pooch sakteen hain
^ fiqah-e-hanafee main wajib shara'ee ahkammat main un amaal ko kehtay hain jo ahadees say segha-e-ammar( yeh arabic grammer main hota hai ) k zareya saabit hoon
or farz woh ahkaamat hain jo quraan say barah-e-raast saabit hoon ...
naam main farq derasal quran or hadees main martabay k farq ki wajah say hai
lakin hukam kay aytbaar say farz or wajib asool-e-fiqah main barabar hain ..yanee jis terah farz chornay wala gunahgaar or saza ka mustahaiq hay isee terah wajib ka chornay wala ho ga
wajib ki istilaah imam abu hanifa ki fiqah main hay taham baqee aai'yma nay wajib ko sunnat main hee shumaar kia hay
lakin yaad rahay wajib ka hukaam tamam kay nazdeek ik hee hai yanee is ko chornay per gunaah or saza ki wa'eed hai