Re: Is hijaab a farz?
yes hijab plus naqaaB is farz for muslim womens ...
or jo log yeh logic daytay hain k hajj per face kion nahi cover kertay agar farz hota to
pehlee bat yeh k hajj or ummrah k ahraam main bhi naqaab farz rehta hai
ahraam main shart hay k kapra moun (face) per na lagay yeh hukam nahi kay face ko khula chor do
ahraam caps ki stiching isee terah hotee hay k us say face bhi cover ho jaata hai or kapra (cloth) touch bhi nahi hota ..hazrat ayesha (Rz) fermaatee hain hum Ghoongat nikal ker tawaaf kia kertay thay ..
ajj kal crowd itna hota hay k yeh ghoongat wala kaam to mumkin nahi
agar haaj ka Ahraam ko hee logic banaana hai to phir kehnay waalay ko soochna chaeye k kia males aam zindgee main ahraam ki terah unstich kapray pehntay hain ?
quran main hukam hay k apnee zeenat ko zaahir na kero
zeenat main her woh cheez shaamil hai jo dosray ko attract keray ....or face to sub say pehlay zeenat main shaamil hai