Intikhab with StyloBabe

Aaj rootha hua eik dost bohat yaad aya

Acha guzra hua kuch waqt bohat yaad aya

jo merai dard ko seene mein chupa leta tha

Aj jab dard hua to bohat yaad aya

===============================

Mera lafz lafz dua dua,

Mere ansuon mai dhula hua

Tujhe zindagi ki woh seher milay

tujhe aino ka safer milay

tujhe dardo gham na kabhe cho sakay

ye dua hai koi gila nahi,

tujhe zindagi mai woh sakun milay

jo mujhay kabhe mila nahi…

Us shaks se jab tak koi baat nahi hoti

din nahi nikalta aur raat nahi hoti

na door hua kare woh usay kehna

dina us k mukammal meri zaat nahi hoti

2 Likes

Re: Intikhab with StyloBabe

Sab se chupa k dard ko woh muskura dia

uski hansi ne aj mujhe rula dia

lehjay sai uth rahi the har ik dard ki dastan

chehra bata raha tha k sab kuch luta deya....

Re: Intikhab with StyloBabe

buhat khoob Intekhaab hai :k:

PS. aap ki tabiyat to theek hai na :faizy:

Re: Intikhab with StyloBabe

Alag Alag Post Karein Infiradiyat qaim rahe aur parhnay mein lutf bhi aaye ho sakay to poets k naam bhi mention kijiye shukriya ! Btw nice intikhaab !

Re: Intikhab with StyloBabe

hahaha ji bilkul theek hai Stylobabe ka eik naya andaz :smiley:

Re: Intikhab with StyloBabe

oh u mean same thread and different posts ok i will do that..ummm poets k naam mujhay usually nahi maloom hotai i will try to do that

Re: Intikhab with StyloBabe

acah post kia hia lakin ye dehan rakhna babe agar 2 se zaida ki tu mod tu merge kar daitey sari post :bummer: welcome here ..agar multi nick nehi tu :smiley:

Re: Intikhab with StyloBabe

nai nai multi nick nahi mai lol

hain tau phir kia karoon??sab shair eik hi post mai post karoon?

Re: Intikhab with StyloBabe

mera thread Mera intikhab zindagi k naam woh open kar k dekhein k kaisay kia hai mein ne waisay he karein bholli ki baatein confuse kar dein gi aap ko !

Re: Intikhab with StyloBabe

Thanks B.lonley mai bhe yahi keh rahi the waisai

Re: Intikhab with StyloBabe

nahi babe ye being lonley b pata nahi kia keon confuse karen ghi ap ko apna itnkhaab paish karna hia na tu 2 roz ki post karen keon k itna lamba ya zaida karen ghi tu koi nahi parta aik tu tu log par laitey mera yahan anay ka tajurba yehi kahta hai wesay BL zaida arsay se hai mein tu khud new hoon yahan :)

Re: Intikhab with StyloBabe

oh ok i understand now bholibisri :) thanks

Re: Intikhab with StyloBabe

Mujhay milo kisi sham mein,
Mujhay zindagi se nawaz do,
Mein chaloon tumharai ru baru
Mujhay is tarah ka muqam do
Jo tumharai hissai k dukh hain
Wo sab mujhay sunao tum
Mujhay apnay dard ki dhoop do
Mujhay is terha ka qarar do
Mein tumharay dil ki har eik dharkan ko
apnay dil say sun sakoon,
Mujhay mohabbaton ke haseen safar mein
aik hamsafar ka sath do

Poet not known

Re: Intikhab with StyloBabe

**stylo jee yeh achanak shayri mein itni dilchaspi? :konfused:
ma’amla garbar lagta hai :hmmm:

nice collection btw :lajawab:**

Re: Intikhab with StyloBabe

:k:

aaj mera dil bhe udas hey

Re: Intikhab with StyloBabe

kiss ne SMS kiay aap ko yea sab :faizy:


PS:- Nice collection

Re: Intikhab with StyloBabe

:D

Re: Intikhab with StyloBabe

^ :hehe:

Re: Intikhab with StyloBabe

haan tum aam choosoo ghutlian kyun gintay ho :stuck_out_tongue:

lol frnds nai

Re: Intikhab with StyloBabe

Ai khuda aankho ko kuch aisi khudai dai

Jidhar dekhoon udhar woh dikhai dai

Kash aisa asar ho jaye aaj hawa mai

usko pukaroon aur sirf usko sunai dai