apni hi game ke rules kyun torh rahe hain?
[/quote]
oops! vaise, kabhii kabhii rules ko toRne kaa apnaa hii alag mazaa hai … magar … u r right, rule is rule !
[quote=““Little Princess””]
whts the game
[/quote]
yehii to hai na?
[quote="“sayyma, post:30, topic:212020"”]
baghair manzil muqarar kiay safar ka kia faida?
kia patha agli gali main kisi na mehram ka ghar ho so soch samjkh kar safar shourah karna chahia.
**aur kai pataa kis gali meN zindagii kii shaam ho jaaye. zindagii ke safar kaa ta’aiyuN na karna is liye mere Khayaal se bahtar hai k jitnaa lambaa safar hogaa utnaa hii vas’ii uskaa tajraba hogaa, manzil mil jaaye to Thahraao aa jaataa hai, us meN kuchh mazeed paane kaa josh aur valvala Khatm ho jaataa hai aur manzil paa lene se safar Khatm to nahiiN ho jaataa, aur agar ho bhii jaaye to manzil paa kar Haasil-e-zeest nahiiN miltaa.
kabhii kisii ko mukammil jahaaN nahiiN miltaa
kabhii zamiiN to kabhii aasmaaN nahiiN miltaa**
main yeh kaisy maan jaoon wo mera sub kuch hai
jo mery shaia main aa kar muj sy nahin milta
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
mera sawal
** kia yeh zaroori hai kah safar peh safar kiay jao ?** manzal ka kia hai zindgi bhar nahin milti ,or kabhi pehly qadam per hee mil jati hai, insaan kah muqadar ki bat hai
** lakin safar main ughar kisi or ko bhi shamal kar lia jay to zindgi bhar ka safar bhi nahin thakata, warna akaily chalny sy to paoon bhi bojhal ho jaty hain** p pehli seerhi peh qadam rakh akhri peh ankh manzal ki jastaju main raigaan ek qadam nah ho
Re: ik sawaal maiN karuuN, ik sawaal tum karo: har sawaal kaa jawaab hii sawaal ho!!!
marey khial main ab yeh game khatm kar dani chaiey q k ab wo phaley jaisa maza nai raha fazol gui start hu gai hay lagta hay sawal khatm hu gaiey hain is laiy log game k rules ko nazar andaz kar raey hain app sub ka kia kiyal hai idher say koi new topic na start kar dia jaiey main insist nai karta bus mera haqeer sa maswara hay agar app ko pasand aiey tu kia khyal hai yaru?