Ho Sakay To

Re: Ho Sakay To

:teary1:

Re: Ho Sakay To


ye kon is qadar mujhe weeran kar gaya
jhaankoon jo apnay aap mein sehraa dikhayi de

Re: Ho Sakay To

Jahan talak bhi ye sahra dikhaee dayta hai
Maree tarhan say akaila dikhaee dayta hai

Re: Ho Sakay To


khoob s J

Aalam-e-Zaat mein darwaish bana deta hai
Ishq insaan ko pagal nahi hone deta..........!

Re: Ho Sakay To

khud payaas ka sahra hon magar dil ki ye zid hai
Har dasht pay sawaan ki tarhan toot kay barson

Re: Ho Sakay To

Ansoo nikal pade tu meri laaj reh gai :teary2:
izhar-e-gham ka warna saleeqa na tha mujhe
:teary2:

Re: Ho Sakay To

Very Nice..... Lagay Raho. :)
Bhot din baad itni achi collection mili hai copy karnay k liye ;)

Re: Ho Sakay To

Ablaa-paa zara ghour karain

Kya ghum hai jo aablaa paee safar mein hai
EK khaar zaar aur abhi rah guzar mein hai
Kis Kis ka hath thamiay kis kis ko roiay
Inanyaat ka soug tu saray nagar mein hai

Re: Ho Sakay To

lakh douri ho magar ehed nibhatay rehna
jab bhi barish ho mera soug manatay rehna
tum gayay ho to sar-e-shaam yeh adat thahri
bass kinaray pay kharay haath hilatay rehna

Re: Ho Sakay To

yoon to pehle bhi huwe us se kaee baar juda
lekin ab ke nazar aate hain kuch aasaar juda *
*

gar gham e sood o ziyaan hai to thehar ja aye dil
ke ussi mor pe yaaron se huwe yaar juda

Re: Ho Sakay To

kya dukh hai samandar ko bata bhi nahi sakta
aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahi sakta
tu chor raha hai to khata is mein teri kya
har shakhs mera sath nibha bhi nahi sakta

Re: Ho Sakay To

:k:

Re: Ho Sakay To

Nice :k:

Re: Ho Sakay To

YEHI MIZAAJ APNA HEY KE KISI KA DIL NA DUKHE
JUDAIYON KO BHI CHAHA HEY....QURBATON KI TARHA

Re: Ho Sakay To

ITs PunjaBi. If anyone can understand.

bhaawein hijr tay bhaawein wisaal howay
wakho wakh dohaa'n diyan lazztaa'n nay
mere sohneya ja tu hazaar waari
aa ja piyaareya tay, lakh waar aa ja

Re: Ho Sakay To

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bholay
Hum ab bhi ba-zurgon ka zamana nahin bholay
Ikk umer hoee mein tu hasee bhool chuka hon
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bholay

Re: Ho Sakay To

kufr hai bhoolna bhula dena
kufr se door bhaagta hon mein

Re: Ho Sakay To

woowww awsome :k:

keep addin more …

Re: Ho Sakay To

Ye Dil Phir Teri Khuwahish Ker Raha Hay
Mager Main Dukh Say Bachna Chahta Hoon

Re: Ho Sakay To

wah nice

us Ko Kaisay Chor Doun Tum Kaisi Batain Kertey Ho
Wo Sourat to Phir Sourat Hay Wo Naam BHe Achcha Lagta Hay