Ho Sakay To

Re: Ho Sakay To

Bohat khoob Tarhreem!!!!:)

Re: Ho Sakay To

Mein uss ki zaat pay aisay yaqeen rakhta hon
K jaisay qadmon k nechay zameen rakhta hon
Ye naaz hai k koi nadaa'n meraa doost nahin
Ye fakhar hai k mein dushman zaheen rakhta hon

Re: Ho Sakay To

**mujhay bhulanay bhe chaho gay to na bhula sako gay **
main to palkoun per teher jaonga aansoo ki terhan,

Re: Ho Sakay To

thanks soniaa

Re: Ho Sakay To

Ronaqein sab dard k maaray mefilein sajaye husy hain !

Re: Ho Sakay To

Tum huay duur to yeh raaz khula
Ab hamein zindagi se pyar nahin

Re: Ho Sakay To

sid yeh dono ek hi sher ke do linein hain yah kuch our kehna chah rahey ho paley nahi para:confused:

Re: Ho Sakay To

ab yeh b son lain sid
Khud Hi To Kehtay Thay K Kashti Pey Bojh Ho
Ab Aankhon Sey Haath Hata Mujhe Doobta Bhi Dekh...!!!

Re: Ho Sakay To

sher hai seedha sa k tum duur ho gaye tp pata chala mujhe k ab zindagi se pyar nahi raha jeenay ki koi tamana nahi hai simple

Re: Ho Sakay To

Doobta bhi dekh aala bohat aala :k:

Zarkheiz zameenein kabhi banjar nahi hotiin
Darya he badal laitay hain rasta,usay kehna

Re: Ho Sakay To

nice
Kahan Tak Hum Musalsal Rukh Badaltay Jayain Kashti Ka
Wahin Tufaan Ubharta Hai Jahan Saahil Samjhtay Hain

Re: Ho Sakay To

to sher ko sher ke tarah lekhna tha naa:D geedar ke tarah kyun:)

Re: Ho Sakay To

Aas k hoontoon pe pipri si jami hai naheed
Khoob khaya hai tamana ne wafa ka dhoka

Re: Ho Sakay To

kya iss liye taqeer ney chunwaaye thay tinkay?
bun jaaye nashayman to koi aag laga dey...!!!

Re: Ho Sakay To

Wah. Kya yaqeen ki manzil hai.
maza aa gia. :slight_smile:

And 2nd verse il aslo Good. :k: bewakoof dost se aqalmand dushman behtar hota hai.

Re: Ho Sakay To

Zahar judai ka jab dil mein apna rang jamataa hai
Rooh sulagnay lagtee hai,jism dhoo'an ho jataa hai

Re: Ho Sakay To

Asalam U Alaikum

Aey khuda mujhey thori si zindagi de dey,
udaas mere janazey se ja raha hai koi

BeInG lOnely !!! SiD !!!

Re: Ho Sakay To

**Tanha samajh raha hay mairay dil ko Chara gar
Dunyaa basi hay is main kissi kay khayaal ki
*
*

Re: Ho Sakay To

**Mai hoon taqdeer ki zulmat mai musafir Tanha
Roshni ho to kahin apna hi saya dekhon
**

Re: Ho Sakay To

**Ek Faraz Tumheen Tanha Ho Jo Aab Tuk Dukh Kay Rasiaa Ho
Warna Aksar Dill Waloon Nay Darad Ka Rasta Chor Diya Hay
**