KKF
July 24, 2012, 9:05pm
81
Re: Gumshuda Alfaaz
**maachis kii teeli **
ab aap bataaiye k chiRiyaa kii Urdu kia hai jo aksar shaa’irii meN iste’maal hotaa hai aur bahot cute saa lafz hai…yaqeen nahiiN aataa k chiRiyaa ko yeh kahte haiN
diyaa salaaii = diyaa ko jalaane waali
teeli se mujhe Bakra qistoN pe kaa vo character yaad aa gayaa jo baar baar fone kar ke poochhtaa hai k “buDDhaa ghar pe hai?”
Re: Gumshuda Alfaaz
Laali? May be that is Punjabi
KKF
July 24, 2012, 9:07pm
83
Re: Gumshuda Alfaaz
NOPE! bataa duuN yaa ek aur guess?
KKF
July 24, 2012, 9:09pm
87
Re: Gumshuda Alfaaz
TLK:
pee?
what’s that? yeh kia balaa hai janaab? u mean pee which is short for papeehaa? pee also refers to maHboob:
**
barkha raanii, zaraa tham ke barso
mere pee aa jaayen ghar to phir jam ke barso!**
Re: Gumshuda Alfaaz
peeho papeeha? Ye Papeeha kiya hota hai BTW?
KKF
July 24, 2012, 9:12pm
89
Re: Gumshuda Alfaaz
yeh ek zard rang kaa parinda hotaa hai jiskii Khush ilhaanii mashhoor hai…shaayad koyal!
Re: Gumshuda Alfaaz
aur ChiRya ko kia kaha gaya hai Urdu poetry main?
KKF
July 24, 2012, 9:15pm
91
Re: Gumshuda Alfaaz
Kunjishk hai na cute naam?
'allaamah Iqbaal kaa she’r:
**
garmaao GhulaamoN kaa lahuu soz-e-y aqiiN se
Kunjishk-e-firau_maay a ko shaahiiN se laRaa do!**
Re: Gumshuda Alfaaz
koi shair sunaiye jis main ye use huwa ho
KKF
July 24, 2012, 9:19pm
93
Re: Gumshuda Alfaaz
**
garmaao GhulaamoN kaa lahuu soz-e-yaqiiN se
Kunjishk-e-firau_maaya ko shaahiiN se laRaa do!
**mere vaalid kaa she’r abhii likhtaa huN
Re: Gumshuda Alfaaz
What is the urdu of Telephone receiver?
KKF
August 6, 2012, 7:33pm
95
Re: Gumshuda Alfaaz
mere Khayaal se ise telephone receiver hii kah denaa aasaan hai varna Urdu to itnii muhskil hogii k aap kahenge aur vo farmaaveNge “KIA?”.
receiver to taHseeldaar yaa taHseelkaar kahte haiN!
Re: Gumshuda Alfaaz
I kinda remember reading a word ‘chonga’ related to telephone? What does that mean?
KKF
August 6, 2012, 7:41pm
97
Re: Gumshuda Alfaaz
chongaa to kashkol ko kahte haiN aur yeh Hindi lafz hai…chongaa kah sakte haiN YES!** sauti chongaa? [audio receptor]?
**hamaare abba Huzoor ham ko aksar ‘chonga’ ba-ma’nii buddhhoo ke kahaa karte the!
Re: Gumshuda Alfaaz
Strawberry ki urdu batao, chalo shabaash
KKF
August 6, 2012, 11:03pm
99
Re: Gumshuda Alfaaz
bas? innii sii takleef dii? zaraa koii vaDDaa sa lafz le kar aanaa thaa! chalo, tumhiiN bataa do! ab, ham Khud ko kia takleef deN!!!