Aur kya doogey wafaoon kaa sila
Mera har zakhm-e-jigar bolta hai...
chand bhi mera ham-safar tehra
goya mujh saa hi dar-ba-dar tehra
lab they khamosh magar aankhon mein
aisa lagta tha samandar tehra
shehar anjaan tha, par terey liye
jaaney kis tarha musaafir tehra
mein wafa kar key hoon badnam aur woh
bey wafaa ho key mo'tabar tehra
"Manzilon ke nishan tujhe yun na dikhai denge,
paaon ke chaale hi manzil ki gawaahi denge.
hai tujhe aadat e wafa to wafa karke bhool ja,
duniya wale to tujhe ruswaaii denge.
roz roz milne se kuch qadr o qeemat nahin rehti,
kar yaqeen, warna ehbaab tere dikha hi denge.
dushmani ki mere muqabil koi jagah hi nahin,
kuch saza dein na dien,nazron se gira hi denge.
andaaz unka ajab hai tanhaai main 'Saahil',
naam likhkar hatheli se tera mita hi denge
Ik Mukamaml Zindagi Ko Aasraa Miltaa Nahin
Jab Milaa Hai Mujhko Chehra, Aaina Miltaa Nahin
Manzilein Aa Kar Guzar Jaati Hain Un Sab Ki Yahaan
Jin Ko Chalte Chalte Koyee Rahnumaa Miltaa Nahin
ChoR Kar Jaata Hoon Qadmon Ke Nishaan Tere Liye
Tu Inhi Pe Chal Agarche Raastaa Miltaa Nahin
Apne Seenon Mein Talaasho Gar Kahin Miltaa Nahin
Kuch Nahin Miltaa Unhe Jin Ko Khudaa Miltaa Nahin
Ik Mere Rukne Se Koyee Silsilaa Ruktaa Nahin
Jo Guzar Jaata Hai Phir Se Woh Lamha Miltaa Nahin
Raaston Ki, Manzilon Ki Daastaan Hai Zindagi
Kis Ko Kya Miltaa Hai Dekho, Kis Ko Kya Miltaa Nahin
Mil Gayaa Aaina "Saahil", Par Main Is Ka Kya Karoon
Mere Chehre Hi Se Dekho Aaina Miltaa Nahin
*Hamare baad ab mehfil mein afsaane bayaan honge
Bahaare hamko dhoondhengi, na jaane ham kahaan honge *
Bahaar-e-mohabbat ki aarzoo mein khizaaon tak pohnche
Kis manzar ki hasrat thi aur kin nazaaron tak pohnche
Dekh lo un pe mar mitne ka nateeja doston
Tamaam ushaaq maqtal ko gaye janaazon tak pohnche
Bandaa-nawaaz jab sunaate hein jawaab sunaate hein
Hamein yeh intezaar woh kab sawaalon tak pohnche
Kaarvaan guzar chuka hai hawaadis-o-haadisaat se
Ab dekhe shahar aaye ya sehraaon tak pohnche
Yeh taareeqi yeh be-noori kyon hai harsoo bikhri ?
Duaa karo tanveer-e-jamaal-e-yaar sitaaron tak pohnche
Tum naala karte raho fariyaad karte raho "Saahil"
Shaayad koi sadaa unke kaanon tak pohnche
:(
Kisi Pe Aa Bhi Sake Dil Ko Aitbaar Nahin
Qaraar Dil Ne Hai Dhoonda, Magar Qaraar Nahin
Rawaan Hai Saans Magar Zindagi Nahin Milti
Khile Hain Phool Magar Mausam-e-Bahaar Nahin
Qalam Hai Haath Mein Lekin Likhoon Main Kya Is Se
Ke Hai Naseeb Pe Khud Ke Bhi Ikhtiyaar Nahin
Kisi Ki Aankh Ka Roshan Charaagh Hoon Lekin
Kisi Ke Dil Mein Sulagtaa Huaa Main Pyar Nahin
Kahaan Milega Woh Gulshan Mujhe Bataa "Saahil"
Ho Jis Mein Phool Hazaaron Magar Ho Khwaar Nahin
Zabbt karte hain tau har zakhm lahu daita hai
Aah bharte hain tau andaisha-e-ruswaai hai
yeh mairi GHazleN yeh mairi nazmeN
tamaam tairi hikaayateN hain
yeh tazkere tairi lutf ke hain
yeh shair tairi shikaayateN hain
may sab teri nazr kar raha hoon
yeh un zamaanoN ki sa'ateN haiN
jo zindagi ke naye safar maiN
tujhe kisi waqt yaad aayeN
to aik ek harf jii uthega
pehen ke anfaas ki qobaayeN
udaas tanhaayiyoN ke lamhoN maiN
naach uthengi yeh apsaraayen
mujhe tere dard ke elaawa bhi
aur dukh the yeh maanta hoon
hazaar gham the jo zindagi ki
talaash maiN the yeh jaanta hoon
mujhe KHabar thi ke taire aanchal maiN
dard ki rait chhaanta hoon
magar har ek baar tujh ko chhu kar
yeh rait rang-e-hina bani hay
yeh zaKHm gulzaar ban gaye hain
yeh aah-e-sozaaN ghataa bani hay
yeh dard mauj-e-saba huwa hay
yeh aag dil ki sadaa bani hay
aur ab ye saari mataa-e-hasti
yeh zaKhm yeh phool sab tere hain
yeh dukh ke nuuhe yeh sukh ke naghme
jo kal mere the wo ab tere haiN
jo tairi qurbat teri judaayi maiN
kaT gaye roz-o-shab tere hain
wo taira shair tera moGHanni
wo jis ki baateN ajeeb si theeN
wo jis ke andaaz khesrawana the
aur adaayeN GHareeb si theeN
wo, jis ke jeene ki KHwaahesheN bhi
Khud us ke apne naseeb si theeN
na pooch us ka, ke wo diwaana
bahut dinoN ka ujaR chuka hay
wo kohkan to nahi tha laikin
kaRi chaTanoN se laR chuka hay
wo thak gaya tha aur us ka tesha
usi ke seene maiN GaR choka hay
Phir Yaad Humein Tum Aaye Ho, Phir Raat Thahar Jaane Ko Hai
Tha Ishq Rukaa Sa Kal Tak, Aur, Ab Had Se Guzar Jaane Ko Hai
Ab Raah-e-Wafaa Par Hain Qadam, Aur Phool, Bahaaron Ke Mausam
Tere Pyar Ki Ab Le Kar Shabnam, Mera Ishq Nikhar Jaane Ko Hai
Dil Kahta Hai Ho Jaaye Magar, Ab Soch Ke Kuch Lagtaa Hai Darr
Ke Ishq Ka Ik Aa Kar Khanjar, Seene Mein Utar Jaane Ko Hai
Ab Khwaab-o-Haqeeqat Par Meri, Chaayee Hai Ajab Si Bekhudi
Lagtaa Hai Ke Jaise Zindagi, Ab Meri Sawar Jaane Ko Hai
Gar Waqt Yahin Ab Jaaye Tham, Baahon Mein Nikal Jaaye Yeh Dam
Sun Lo Ai Jaan-e-Wafaa "Saahil" Taiyaar Yoon Mar Jaane Ko Hai
Kahoon haal sab se meri bebasi ka
Yeh maqsad nahee hai meri shayari ka
Huwe aaj phir se jo tanha tu jaana
Yehaan koi bhi ab nahee hai kisi ka
Milay bhais mein rehnumaoon ke dushman
bharosa karain kya kisi ajnabi ka
Yeh qismat ki baatain muqqadar ka likha
Nahee zor is per kisi aadmi ka
Teri muntazir hai meri jaan shaayad
Najaanay bhujay kab diya zindagi ka
Humein rotay rotay huween muddattain yun
Laboon ko pata hi nahee hai hansi ka
"Saahil" kyon yeh khushiyoon ke badlay mein aansoo
Sila yeh milla hai tujhe apni saadgi ka
Kaise guzrega ye safar tanha
Hai gali aur rehguzar tanha
Aag phir aarzo'on ki bhadki hai
Dil sulagta hai raat bhar tanha
Zindagi se juda to hona hai
Haye nikle ga dum magar tanha
Jab kabhi bhi qadam badhaaye hain
Khud ko paaya hai bekhabar tanha
Sun raha hun faqat ye shor-o gul
Hai tou ye zindagi, magar tanha
Hai shikayat ‘Saahil’ hothon par
Zindagi kyon hui basar tanha
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Kahoon haal sab se meri bebasi ka
Yeh maqsad nahee hai meri shayari ka
hummmm:hehe:
bohut khub:k:
mujhe nahi malaoom thaa
thanks a lot for ur excellent contribution on my post:flower2:
:k:these all ghazals and sher’s are amazingly beautiful:)
thanks
mein kab ka zard fiza mein bekahar chuka hota
mujhe to mere sekasteon ne phir sanbahla hai
jo mutmaein thae ke dor-khazan beet jaey gaa
sitam ke un ko baharoon ne rohand dala hai
![]()
![]()
Us say bichray ek zamaana hogaya
Yeh qissa bhi ab puraana hogaya
Janmoon ka saath nibhaanay aaya thaa jo
Ek pal mein hi woh anjaana hogaya
Sab ko mil gaeen manzilain magar
Tinka tinka mera aasheyaana hogaya
Soya thaa chaand andheray ki aaghosh mein
Ujaala hotay hi barbaad thinkaana hogaya
"Saahil" aansoo palkoon se riha ho gaye
Jab alwida keh ke woh begaanaa hogaya
:(
us ko juda huwe bhi zamaana bahut huwa
ab kia kaheN yeh qissa puraana bahut huwa
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaaq
ae marg-e-naagahaaN tera aana bahut huwa
hum Khuld se nikal to gaye haiN par ae Khuda
itne se waaqe'e ka fasaana bahut huwa
ab hum haiN aur saare zamaane ki dushmani
us se zara sa rabt baRhaana bahut huwa
ab kioN na zindagi pe mohabbat ko waar deN
is aashqi maiN jaan se jaana bahut huwa
ab tak to dil se dil ka taaruf na ho saka
maana ke us se milna milaana bahut huwa
kia kia na hum Kharaab huwe haiN magar yeh dil
ae yaad-e-yaar taira Thikaana bahut huwa
lo phir tere laboN pe hay us bewafaa ka zikr
AHMED FARAZ! tujh se kahaa na? "bahut huwa"
Apna khwaboon se dosti kab thee
Jaisi ab hai yeh zindagi kab thee
Lab yeh phooloon se muskuratay thay
Meri aankhoon mein yeh nami kab thee
Woh jo mehfil sajaaye bethay hain
Un ki ghairoon se dosti kab thee
Tujh ko ehsaas ab andheroon ka
Mujh se poocho ke raushni kab thee
Kis qadar 'Saahil' khush thay hum
Is se pehlay yeh bebasi kab thee
:(
Khaamosh ye nazaare haiN meri tarah
shaayad be sahaare haiN meri tarah
khwahisheiN haiN maujeiN dariya ki
jinse bichade kinaare haiN meri tarah
khushiyaaN jab dekhti haiN meri taraf
karieN ghumoN ko ishaare meri tarah
aasmaaN meiN sitaare toot toot kar
naseeb apna sawaare haiN meri tarah
'Saahil' ko kehne se gurez hai zara
ki sabhi ghum ke maare hain meri tarah
Zindagi se yahi gila hay mujhe
Tuu bahut dair se mila hay mujhe
Dil dhadakta nahin tapakta hay
Woh jo khwahish thi, aabla hay mujhe
Hamsafar chaahiye, hajoom nahin
Ek musaafir hoon, qaafila hay mujhe
Tuu mohabbat se koii chaal to chal
Haar jaane ka hausla hay mujhe
Kaun jaane ki chaahaton maiN FARAZ!
Kia ganwaaya hay, kia mila hay mujhe
:(