ghum nahi bohlta bohlane se

[QUOTE]
*Originally posted by ghazal kisi ke: *
woh ja chuka hai to kion beqara itne ho
mohubat us se karo jese bohal sakte ho
tamam umar milna ka honsla he sahee!!!
tum apne dil me koi umeed to rakhte ho
[/QUOTE]

Zabardust !

**
tumharee khoj mai apna kamaal kho bethay
jawab dhond k laey sawaal kho bethay**

ajab hajoom thaa bay-cheiniyon ka seenay mai
ham apni bheir mai tayra khiyaal kho bethay

kabhi yeh lagta hai mujh ko mai aisa tajir hon
jo raastay mai he sabb apna maal kho bethay

hamara wakt tayray wakt say zyada thaa
tayray din-on mai tou ham apnay saal kho bethay

koi na koi zyaa-n saath saath thaa apnay
khushi ko dhond k laey malaal kho bethay

**
Bharosa kis pe karoon, Kis se dil ki baat karoon
Woh raastay mein mera haath chor betha hai
Woh meri jaan ka muhaafiz, mera aasaasa’e kul
Kaisay bataoon mera saath chor betha hai
:teary2: :teary2: :teary2:
**

DHOKHA JO HAI WO SACH HAI BAQI SAB KUCH MAYA HAI
PREET KA DAMAN THAMA JIS NAY SARI UMMER PACHTAYA HAI

PYARR MOHABBAT ISHQ WAFA HANN LOG PORANAY KAR GAYEE
ABB TO NAM E MOHABBAT KA LOGON NAY DHONG RACHAYA HAI

HIJAR KI KALI RATOON SAY BHI HIJAR KA GHAM CHUPATAY THAY
KON HAI JIS NAY AJJ YAHAN PAR HIJAR KA GHAM CHUPAYA HAI

SACHA DOST KOI DHONDHAY HAI BAWAFA KOI DHONDHAY
JHANK GARAIBAN APNA JIS MAY JHOTA PYARR CHUPAYA HAI

GARR PASS TUMHARAY DOLAT HAI TO BARISH HAI MOHABBAT KI
WARNA DUNYA KAY JANGLE MAY (APNA) BAS IK SAYA HAI

CHOR DIA GARR USS NAY TUJH KO CHORE DAI TO BHI AY SAAHIL
KAR YAQEEN KAY DHOKHA SACH HAI BAQI SAB KUCH MAYA HAI

*Kahin ummeed si hai dil ke nihaan khaane mein
Abhi kuch waqt lage ga ise samjhaane mein *

Mausam-e-gul ho ke patjhar ho balaa se apni
Ham ke shaamil hain na khilne mein na murjhaane mein

Ham se makhfii nahin kuch rah-guzar-e-shauq ka haal
Ham ne ik umer guzaari hai havaa-khaane mein

Hai yuun hi ghumate rehne ka mazaa hi kuch aur
Aisi lazzat na pahunchane mein na reh jaane mein
**
Naye deevaanon ko dekhein to khushi hoti hai
Ham bhi aise hi thay jab aaye thay veeraane mein **

Mausamon ka koyee meharam ho to us se poocho
Kitne patjhar abhi baaqi hain bahaar aane mein

Mere dard ki jo dawa karay koi aisa shaks huw karay
Woh jo be-panah udaas ho magar hijar ka na gila karay

Mere chaahatain meri qurbatain jissay yaad ayein qadam qadam
Tu woh sub se chup ke libasay shub mein lippat ke aaho baqa karay

Barhay is ka ghum tu qarar khoday woh mere ghum ke khayal se
Utthaye haath apne liye tu phir bhi mere liye hi dua karay

Yeh qasaas ajeeeb o gareeb hain yeh muhabbaton ke naseeb hain
Mujhe kaise khud se juda karay issay kuch tu batao ke kya karay

Kabhi tay karay unhain shauk shauk mein woh faraq ke faasilay
Mere peechay ak dabay dabay mere ankhein mound hansa karay

Bara shor hai mere shehar mein kissi ajnabi ke nazoul ka
Woh mera hi jaan na ho kaheen koi kuch tu ja ke pata karay

Yeh tu mere hi dil ka aks hai mein nahee hoon per meri aarzoo
Koi junoon hai mujhe ya bata day tu phir jo chahay qaza karay

Bhala kaisay apne hi aks ko mein rafiq-e-jaan bana sakoon
Koi aur ho tu bata day koi hai kaheen tu sada karay

Issay dhoondtay hain gali gali mere khalwitoon ki udaseyyan
Woh milat yu bas ye kahoon ke aa mera maulta tera bhala karay

Tere in siskion ka main kabhi ehal na tha,
Ghut ghut kar jo aahain tere dil sia uthti hain
woh mere wajood ka bhi to hissa hain,
jinhain main nai hamesha tujh say door rakha,
is liye k kahin tu seham na jaye,
kahin mere dard ko pehchaan na jaye,
aur phir.....
mujhe ehsas hua k wohi tanhai to tere wajood ka bhi hissa hai,
mujhe aisa mehsoos hua k is ka zimmai dar main hoon,
theek us tarah jis tarah main tujhe aab tak qasoor war therata aaya hon,
aur phir.....
mere bhi nazrain jhuk gaye,
q k main b gunah gar tha,
mere bhi sansai tham gaye,
q k main bhi qasor war tha,
aur phir......
main nai apni palkon sai chand ashkon ko behtai dekha,
apnai rukhsaro par us nami ko mehsoos kia,
aur phir......
na janai q mujhe aisa mehsoos hua k yeh udaasi to tere wajood ka hissa barso sai rahi hai,
magar yeh kia ......
main nai to is ko aaj mehsoos kia,
shayad aaj mere chahat mohabbat main badal gaye,
to ae mehboob main b ab tere liye roya hoon,
tere liye siska hoon,
tere liye tadpa hoon,
yahi tanhai mere wajood ka ab hissa bani hai,
main apni khataon ko tasleem karta hon,
aur in wadoon ko b jo main poorai na kar saka,
aur in batoon ko bhi jo main nai kabhi ki hi nahin,
aur phir .....
ehsas - e - tanhai achanak kahatam ho gaya,
tu nai mere dard mehsoos kar liya,
mujhe kuch kehnai na diya,
k yeh ashk q baha raha hoon main,
khud ko kitna tanha mehsoos kar raha hoon main,
aur phir ........
woh tu hi to thi jis nai sahara diya,
mere rukhsaroon sai askhon to apnai hathon sai saaf kiya,
mere jhuki jhuki si nazroon ko apnai ankhon sai salam kia,
main tera shukar guzar hoon ,
k tu nai mujhe sikhaya mohabbat kia hai,
main ab talak to apnai wajood sai bas khilta hi aaya hoon,
magar woh tu hi to thi,
jis nai ehsas diya, jis nai pyar diya, jis nai khumar diya,
ab tu nahin hai to kia? main kaise tere mohabbat ko faramosh kar don,
main aisa nahin kar sakta q k tu hi meri mohabbat thi,
aur phir.....
achanak woh saray khwab jo kabhi saath daikhai thai,
bikhar jatay hain pal bar main,
raiza riaza ho jatay hain,
aur phir....
mujhe yeh ehsaas hota hai k ab ki baar is ki zimmai dar tu hai...

Har ek rooh mein ek gham chupa lagay hai mujhe
Yeh zindagi tu koi bad-dua lagay hai mujhe

Jo aansoon mein kabhi raat bheeg jati hai
Bahut qareeb woh aawaaz-e-paa lagay hai mujhe

Main so bhi jaaon tu kya meri band ankhoo mein
Tamaam raat koi jhaankta lagay hai mujhe

Mein jab bhi uske khayaloon mein kho sa jaata hoon
Woh khud bhi baat karay tu bura lagay hai mujhe

Dabaa ke aee hai seenay mein kaun see aahain
Kuch aaj rang tera saanwala lagay hai mujhe

Na jaanay wakt ke raftaar kya dikhaati hai
Kabhi kabhi tu bara khuaf sa lagay hai mujhe

Bikhar gaya hai kuch is tarha se aadmi ka wajood
Har ek fard 'koi saaneha' lagay hai mujhe

Hikaayat-e-gham-e-dil kuch kashish tu rakhti hain
Zamaana ghaur se sunta huwa lagay hai mujhe

Saath saath chaltay ja rahay hain paas aa saktay nahee
Ek nadi ke do kinaaroon ko mila saktay nahee

Denay walay ne diya sab kuch ajjab andaaz se
Saamnay duniya pari hai aur uttha saktay nahee

Us ki bhi majbooreyaan hain, meri bhi majbooreyaan
Roz miltay hain magar ghar mein bata saktay nahee

Kis ne kis ka naam enthoon pe likha hai khoon se
Ishteharoon se yeh deewaar chupa saktay nahee

Raaz jab seenay se baahar hogaya apna kahaan
Rait pe bikhre huwe aansoo utha saktay nahee

Aadmi kya hai guzartay wakt ki tasveer hai
Jaanay walay ko sada dey kar bula saktay nahee

Shehar mein rehtay huwe hum ko zamaana hogaya
Kaun rehta hai kahaan kuch bhi bata saktay nahee

Pattharron ke bartannon mein aansoo'oon ko kya rakhain
Phool ko lafzoon ke gamloon mein khila saktay nahee

subak raftaar lamhon kee, hadain tarteeb deta hoon
sehar k saans ginta hoon, shabain tarteeb deta hoon

meray yaaron kee fitrat mein yazeedi wasf shaamil hai
wohee mujh ko mitaatay hain, jinhain tarteeb deta hoon

tujhay sochon to pehlu say sirak jaata hai dil mera
so dil par haath rakh kar, dharhkanain tarteeb deta hoon

khizaan nay khushk patton mein sadayen baant rakhee hain
mein inn kee sarsaraahat say, dhunain tarteeb deta hoon

mein aab-e-zarr say likhta hoon tumhara naam sheron mein
sunehray khwaab bunta hoon, tumhain tarteeb deta hoon

moom say badan ko pathar numa hona he tha
follad kay jigar ko shahr e yaraan bikharna he tha

basit jis kay aks ko chomt'tay thai raat bhar
uss aainay ko aik roz tu tot'tana he tha

ussay zindagi say pahlay mout nay ja liya
divangi mein jin gullo'on ko abhi khilna he tha

sahilon ke lahron say shikwa karain tu kaya
gharoonda tha ik khilona toot'tana he tha

dusht e jan mein tunhai thi saya e shajar na tha
janoon tha lambi musafaton ka chalna he tha

Saahil kul shub yadain uski anayatain sub jala dalein
kay ik roz tu uss nay mujh say bicharna he tha

thanks a lotttttttttttttttttttttttttt for ur excellent ghazals and sher’s on my post:flower2::k::k::k:

usee ke naam se lafhzoon mein chaand utre hain
woh aik saks ke dekhoon to aank bahr aaey
jo koh chuke hai inhen dohndana to momken hai
jo jaa chuke hain inhee koi kis trha laey:teary3:

Hum na Samjhay Thay Baat Itni Si
Khwaab Sheeshay ke Duniya Patthar Ki...

:(

chota sa ik gaoon tha jis main
dieay thay bohot aur andhera bohot
bohot shajer thay aur thoray ghar thay
jin ko tha duri nay ghaira
itni badi tanhai thi jis main
jagta rehta tha dil mera
bohot qadeem firaaq tha jis ko
ik muqarar had say aagay
soch na sakta tha dil mera
aisi soorat main phir dil ko
dhehaan ata kis khaab main tera
raz tu had say bahir tha
apna aap dikhata kaisay
sapnay ki bhi had thi aakhir
sapna aagay jata kaisay

raz tu had say bahir tha
apna aap dikhata kaisay
sapnay ki bhi had thi aakhir
sapna aagay jata kaisay

Kyun Zindagi ki raah mein mazboor ho gaye...
Itney huye kareeb ke hum door ho gaye...

aisa nahi ki humko koi bhi khushi nahi...
lekin ye zindagi tou koi zindagi nahi...
Kyun iske faisley humey manzor ho gaye...
itney huye kareeb ke hum door ho gaye...

Paya tumhey tou humko laga ki tumko kho diyaa...
hum dil per roye aur ye dil hum per ro diyaa..
Palkon se khwab kyu girey kyu choor ho gaye...
itney huye kareeb ke hum door ho gaye...

meri yeh kismat ki mujhe ashq hi peene ko miley..
merey hissey mein muhabbat ka koi jaam naa thaa..

yeh qurbatain yeh faslay,nakabhi rukay naa kabhi thamay,
yeh chahaton ke silsilay,nakabhi rukay naa kabhi thamay

meri arzoo kabhi yeh naa thee,ke ho door tujh say zindagi,
meri saans teray liyay chalay,nakabhi rukay naa kabhi thamay.

koi zakhm ho toe bharay kabhi,meri saay say hain paray sabhi,
meri zindagi ek naaopay, naa kabhi rukay naa kabhi thamay

ab musawir koi nahi yahan, jiss say kahain ghum-e-do jahan,
meri yaadon ke sabhi silsay,na kabhi rukay naa kabhi thamay

Ab tu yehi hai dil ki duaaein
Bhoolnay walay bhool hi jaaein

Wajha-e-sitam kuch ho tu bataaein
Ek muhabbat laakh khataaein

Dard-e-muhabbat dil mein chuppaya
Aankh ke aansoo kaise chuppaein

Hosh aur un ki deed ka daava
Dekhnaywalay hosh mein aaein

Dil ki tabaahi bhoolay nahee hum
Detay hain ab tak unko duaaein

Rang-e-zamaana dekhnay waalay
Un ki nazar bhi dekhtay jaaein

Shugl-e-muhabbat ab hai yeh "Saahil"
Sher kahain aur jee behlaaein