kahan aa ke rukey they rastey!kahan mor tha!ussay bhool ja
woh jo mill gya ussay yaad rakh,jo nahi milla,ussay bhool ja
woh terey naseeb ki barishein kissi aur chut per baras gaii_n
dil bay-khabar meri baat sun,ussay bhool ja,ussay bhool ja
mein to gum tha terey hi dehan mein,teri aas,terey guman mein
saba keh ga_ii merey kan mein,merey saath aa,ussay bhool ja
kahin chak-e-jaa'n ka raffu nahi,kissi aastii'n pey laho nahi
ke shaheed rah-e-malal ka nahi khoo'n baha,ussay bhool ja
kuon atta hua hay ghubar mein,gham-e-zindagi ke fishar mein
woh jo darj tha terey bakht mein,so woh ho gya,ussay bhool ja
na woh aankh teri aankh thi,na woh khawab hi tera khawab tha
dil-e-muntazir to yeh kis liye,tera jagna,ussay bhool ja
yeh jo raat din ka khel sa,isse dekh is per yaqeen na ker
nahi aks koi bhi mustakil,sir-e-aaina,ussay bhool ja
jo bisat-e-jaa'n hi badal gya,woh jo raastey se palat gya
ussay rokney se hasool kya,ussay mat bula,ussay bhool ja
to yeh kis liye shab-e-hijr ke ussay her raastey per dekhna
woh falak ke jis pey milley they hum,koi aur tha,ussay bhool ja
tujhey chand ban ke milla tha jo,terey sahilo'n pey khela tha jo
woh tha ik darya wisal ka,so uttar gya,ussay bhool ja