oooops!!
i am sorry.i am late.
nice ghazal:k:thanks for posting it here:)
jis ne bhi ap ke dil ka hunsee uraee hai mein us ke tarf se sory kehtee hoon.plz forgive her.ho sakta hai woh yeh kehna na chahte ho per us ne keh diya.insaan se mistakes to hotee hain.mein to kahoon gee ke baharoon ka intazzar kareen ho sakta hain aa jaee.umeed pe dunia qaim hai:)
Ay dost jhoot aam thaa duniya mein is qadar
Tu ne sach bhi kaha tau faasaana laga mujhe
Ab us ko kho raha hoon baray ishtiyaaq se
Woh jis ko dhoondne mein zamaana laga mujhe
Mein khush hoon, phir bhi jaane kyon
Aankhoon mein nami si lagay
Meri khwahishoon ke tallay se
Khisakti zameen si lagay
Sab kuch hai paas mere
Lekin kami si lagay
Mere sapnoo mein kaheen kaheen
Yaadoon ki dhool jami si lagay
Zinda hone ko ehsaas tu hai per
Apni dharkan kuch thammi si lagay
Khud se hi naraaz hain armaan
Zindagi mujhe sehmi si lagay
Tanha veeran behki si yeh zindagi
Ab nahee apni apni si lagay
'Saahil' jalna ab parega din mein bhi,
roshni to, phiki si, bhujhi si lagay
:(
Re: ghum nahi bohlta bohlane se
[QUOTE]
*Originally posted by ghazal kisi ke: *
ghum nahi bohlta bohlane se
nam hoee aank muskarane se
aaj woh ajnabee se lagtein hain
jantee hoon jene zamane se
dostoon ke pahrahk na karna
maan tote gaa azmanee se
jub se apnoo se choht kahee hai
koi sikwa nahi raha zamane se
zindagee ke haqeeqatoon ke qasam
dil ke batein hai bus fasane se
hope u like it:)
[/QUOTE]
Nice one ghazal thanks 4 sharing!
thanks lamhay:)
Ab Kay Baar Shaam Ko
Jab Tum Milnay Aao Gee
Kuch Badla Badla
Juda Juda Sa
Mujh Ko Tum Pao Gee
Meri In Ankhon Main
Woh Pyar Na Daikh Pao Gee
Meri Banhon Main Aa Ker Tum
Is Baar Pighal Na Pao Gee
Tum Samjho Gee Shayad Mujh Ko
Tum Say Pyar Nahin Raha
Per Shayad Asli Baat Tum
Kabhi Na Jaan Pao Gee
Kay Aaj Kay Baad Tum Jaana Mujh Say
Phir Na Mil Pao Gee
Dil ki baat labon pe laa kar ab tak hum dukh sahte hain
Hum ne sunaa tha is duniya main dil waalay bhi rahte hain
Beet gaya Saawan ka maheena Mausam ne nazrain badlein
Lekin in Pyaasi aankhon se ab tak aansoo behtay hain
Ek humain aawara kehna koi bada Ilzaam nahee
Duniya walay dil waalon ko aur bohat kuch kehtay hain
Jin ke khatir dost bhi choray jin ke khatir badnaam huay
Aaj wahi hum se kuch begaanay begaanay se rehtay hain....
Hamma Waqat Ranj-o-Malal Keya Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Usey Yaad Karkay Na Dil Dookha Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Wo Ghazal Ki Aik Ketab Thi Wo Guloun May Aik Gulab Thi
Zara Deir Ka Aik Khowab Tha Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Yeh Safar Bhe Ketna Taweel Hay Yahan Waqat Ketna Kaleel Hay
Kahan Lout Kar Aye Ga Koi Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Koi Farq Shah Gada Nahi, Yahan Kesi Ki Baka Nahi
Yeh Ujaar Mahloon Ki Sun Sada Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Mujhey Ateebar-E-Yaqein Nahi, Nahi Duniya Itni Bori Nahi
Na Malal Kay Maray Saath Aa, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya...
**
Hum tu zinda thay Jee rahay thay magar
Loog Aa Aa kay Hum ko Maar Gaey
Hum bhi aik din ussay bhula day gain
Aur yehi shart Uss say haar gaey....... **
Woh aksar aisa karti thee
kaghaz pe likh kar naam mera
janey kya kya soch kar
phir us ko mitaya karti thee
bina aahat ke aksar aati thee
aur chupke se mujhe sata kar
kahin chhup jaya karti thee
Woh aksar aisa karti thee
kabhi kangan ghuma kar haathon mein
aur hounton ko daba kar daanton mein
dil ko tarpaya karti thee
raat ke kisi peher mein merey
kaanon mein sargoshi karke
mujh ko jagaya karti thee
Woh aksar aisa karti thee
haal-e-dil mera sunne ke baad
aksar sharam se daanton mein
woh ungli bhi dabaya karti thee
jab chherta paa kar usey tanhayee mein
to sharma ke merey shaano'n par
zulfein bikhraya karti thee
Woh aksar aisa karti thee
:(
Mujhe dil se us ne pooja
Ussay jaan se mein ne chaaha
Issi humraahi mein aakhir
Kaheen aa gaya dauraaha
Tu jahaan mujhe milli hai
Woh yaheen juda huwi thee
Tujhe aur kya bataoon
Woh teri tarha koi aur thee
:(
Shaam key Surmai Andhero'n mey, youn Merey Dil key Daagh jaltey hein
jaisey Purbat key sabz Pairon per burf key Baad dhoop Perti hey
Jaisey Sehra ki Rait urr urr ker Ajnabee ka tawaaf kerti hey
Door Reh ker joo dil mey rehta hey, woo sitermgar bhi Ghair kehta hey
kitni masoom Arrzowo'n ko kiss terha loog toor jatey hein
Jaisey Dam toor'tey Musafir ko Qafiley waley choor jatey hein
Aahein bherta hon Ashk peeta hon, Rooz merta hon Phir bhi Jeeta hon
Teri yadon ki tish'nagi ab tak youn merey dil ko thaam leti hey
Jaisey ik Tazaa Qaber per beiwa Merney walay ka Naam leti hey....
Zindagi tu ney Lahoo Ley key Diya Kuch Bhi nahee
Terey Daman Mey Merey Wastey Kia? Kuch bhi nahee
Merey In Hathon ki Chahoo tu Talashi Ley Loo
Merey Hathon mey Lakeeron key siwa kuch bhi nahee
Hum ney Dekha hey Kai aisey Khudaon ko yahan
Samney jin key woo sach much ka Khuda kuch bhi nahee
Ya Khuda ab key yey kiss rang mey aai hey Bahaar
Zard he Zard hey Pairon pey Hara kuch bhi nahee
Dil bhi aik Zid pey Araa hey Kissi Bachey ki terha
Ya tu sab kuch he issey Chahiyey.... Ya kuch bhi nahee
Zindagi tu ney Lahoo Ley key Diya ........ Kuch bhi nahe..
Sach hey Hum he ko aap key shikway baja na they
Bey-shak sitam janab key sab doostana they
Haan joo jafa bhi aap ney ki Qaidey sey ki
Haan Hum he Kaar'band-e-Osool-e-wafa na they
**
Aayey tu youn key Jaisey Hamesha key Maherbaa'n
Bhooley tu youn key Goya kabhi Aashna Na they
**
Her Chara'gar ko chara'gari sey Guraiz tha
werna Humein jo Dukh they Bohat La'dava Na thay
Lub per hey Talkhi-e-Mey-e-Ayaam werna Faiz
Hum Talkhi-e-Qalam Per Ma'ill zara na thay
Hoo terey saath Umer Baser Kaash Aisaa hoo
Mumkin nahee hey Aisaa, Magar kaash Aisaa hoo
Hum Dono Younhe shana ba-shana chaltey rahein
Aisey Katey yey Rah-e-Safar kaash Aisaa Hoo
Ab youn milein key Waqt ki nabzein bhi Ruk si Jaein
Dil mey Rahey Na Hijr ka Darr Kash Aisaa hoo....
Rishta Jo Dil ka Toota Tu........
Tera Na woo howa tu uss ka Malaal kia
Tera Yehi Naseeb tha uss ka malaal kia
Be-gana Hoo gaya Jab Rishta, Joo Khoon tha
Rishta Joo Dil ka Toota tu Uss ka Malaal kia
Logon mey Bant'tey hoo Agar Khushiyan Khaloos sey
Tum ko Khushi na mil saki tu uss ka malaal kia
Jiss ka Naseeb tha Ussey Chahat milli teri
Tujh ko Na woo Mila tu uss ka malaal kia
Saahil Nigahien Phair Ker Duniya Badal Gai
woo bhi Badal Gaya tu uss ka malaal kia.....
Dey Gaya Mujhey woo Shaks Talkhiya'n Zamaney ki
Aao Aik Kooshish ker lein Uss ko Bhool Janey ki
Be-Rab't si Batein Uski, Be-Yaqee'n sa LehJa tha
Baat woo Kia kerta tha Zindagi Nibhaney ki
Dekh ker Kissi ko aaj Yaad aata hey woo shaks
Jiss ki her adaa hoti thi bhool bhool janey ki
Jab gaya tu uss ney Murr ker phir mujhey nahee dekha
Daastaan Joo sun li hoo Gai Path'raey Janey ki
Aaj Kal woo Aksar mujh ko yaad aata hey Saahil
Aarzoo Mujhey Thi jiss key choor ker Na janey ki
Kitni asaani se log chor detay hain
Rah-e-rasm nibha kar dil tor detay hain
**
Woh log jin pe hota hai bharosa bahut
wohi rah-e-safar mein tanha chor detay hain
**
Zindagi mein jinhoo ne hausla barhaaya
Kaise asaani se mushkil mein tanha chor detay hain
Hum ne soch rakha kabhi us ko na dekhenge
Lekin hum apne he iraaday ko aksar tor detay hain
:(
Vo joe hum maiN tum maiN qarar tha, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Vahee yaani va'ada nibah ka, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Voh joe lutf mujh pay thay peshtar, voh karam ke tha meray haal par
Mujhay sub hay yaad zara zara, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Voh na'ay gilay voh shikayataiN, voh mazay mazay key hikayataiN
Voh har aik pay roothna, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Kabhi bethay sub maiN joe roobaroo, toe isharatoN he say guftagu
Voh bayan say pehlay he bhoolna, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Koi baat aisee agar hoi ke tumharay jee koe buree lagee
Toe bayaN say pehlay he bhoolna, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Kabhi hum maiN tum maiN bhee chaah thee, kabhi hum koe tum say bhee rah thee
Kabhi hum bhee tum bhee thay Aashna, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Sono, zikar hay kaee saal ke kyya aik aap naiN vaada tha
So nibahnaiN ka toe zikar kya, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Voh bigaRna visal key raat ka, voh na mAnna kisee baat ka
Voh nahiN nahiN ka har Aan ada, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Jisay aap gintay thay Aashna, jisay Aap kehtay thay bAvafa
MaiN vahee houN momin mubtala, tumhaiN yaad hoe ke na yaad hoe
Muhabbat hoti hai kya na pata thaa mujhe
Yeh hasrat hoti hai kya na pata thaa mujhe
Suna thaa judae dard deti hai magar
Is qadar dard hoga na pata thaa mujhe
:(