Phir ajj woh bholi kahani yaad ati hai
Tumhare saath guzri zindagani yaad ati hai
Tumhe bhole hue bhi ek zamana ho gaya lekan
Jhalak jati hai ankhen jab purani yaad ati hai
Woh jis mein markazi kirdar hasil tha kabhi mujhko
Mein jitna bholti hon woh kahani yaad ati hai
Mere dil ko gham-e-duniya ki dulat bakhshne wale
Mujhe reh reh ke teri meherbani yaad ati hai
Ujarte dil ki duniya dekhna khamosh rehjana
Abhi tak Doston woh bezubani yaad ati hai ...
Bichar kar chaand se ek tanha taara
Tumhare bin mera yeh dil bechaara
Kabhi lauto tu yunhi
Waise hi ek baar aana
Hamaari qabr per ek deep laana
Jala ke is mein apni aarzo'oain
Jala ke is mein sare shikwe apne
Keye thay pyar mein jo hum ne waday
Jala dena woh tum sare ke sare
Woh khwahish hum ne jo ek sath ki thee
Woh sare khwab jo mil kar thay dekhay
Woh khushiyaaan
Gham woh jo mil kar sahe thay
Woh sab ke sab waheen per chor dena
Tum aisa karna ke phir laut jaana
Hamaari qabr pe na aansoo bahaana
Tum aisa karna ke phir laut jaana
Magar
Jane se pehle aik pal ko
Palat kar dekhna aur yaad karna
Woh larki
Haan woh ek pagal si larki
Tumhari raah takti thee hamaisha
Tumhee ko yaad karti thee hamaisha
Achaanak
Chor di kyo us ne duniya
Bas ek lamhay ko itna soch lena
Phir apne aanso'oon ko ponch lena
Tum aisa karna ke phir laut jaana
Tum aisa karna ke waapis na aanaa ...
Alvida
Saal-e-guzashta ke aakhir guzartay lamhoo
Tumhare be-ant dhoop saaye hi
Kitne yaraan-e-dil garafta ke khwab masmoom kar gaye thay
Woh jin ki aankhoon ne khwaab dekhay
Haseen subhoo, sabeeh shamoon ke
Un ki aankhoon mein kircheyaan hain
Woh jin ke haathoon ne pyar likha
Woh jin ke zehanoo ne aman socha
Unhi ko tum ne jala diya thaa
Tu yeh na socho ... Ke hum ne un ko bhula diya hai
Yeh chand lamhoo ki baat hai ab
Tumhare lamhay simat rahe hain
Phir ek suraj, wafa ka suraj nikal raha hai
Umeed-e-subhe nihaal lekar
Naya ilm hum bana rahe hain
Yaqeen naa aye tu dekh laina
Jo kal ka suraj ubhar raha hai
Woh roshni ka khiraj dega
Hamare khoon ki misaal dega
Hamaara khoon raayegaan na jaaye
Ay subh-e-awwal ki pehli kirnoo
Gawaah rehna
Tumhein nikhaara lahoo se hum ne
Gawaah rehna ke hum ne jaise bhi hosaka hai
Phir apna khoon-e-jigar jala kar
Woh aakhri shab guzaar li hai
Hamaara suraj, wafa ka suraj
Muhabatton ka masaal suraj
Nikal raha hai
Alvida ...
Shaam-e-nashagufta ...
Bahut tanha sahi lekin ...
**
Bahut tanha sahi lekin
Yeh tanhaee likhi jo hai naam mere
Yeh sab meri nahee jaanaan !
Kabhi socha karo tum bhi
Mere lamhay ... sabhi lamhay
Tumhare naam hotay thay
Meri shaamain, meri subhain
Tumahre naam hoti theen
Tumhare sath gar chaltay koi zarra
Meri aankhoon mein aajata
Tu tum bechain ho jaati
Tumhare hath resham se mere kandoo per aajatay
Wohi romaal komal sa
Meri aankhoon mein aajata
Tumhari saans phir goya
Meri aankhoon mein yun chalti
Masehaaee ko khud tum ne apne saath hi paala hai
Meri aankhoon ke beenaee
Kaheen se barh ke aajati
Achaanak haath jab mera
Tumhare tan se choo jaata
Tumhare jism ka resham achanak hi ulajh jaata
Tumhara lams lekin mere jism-o-jaan ka sathi thaa Wohi lamhay, wohi mausam ab hain lekin
Wohi zarray meri aankhoon mein partay hain
Magar ab tu meri khaatir koi be-kal nahee hota
Mere kandhoo pe haath apne aur
Aankhoon mein masehaae ki saansain bhi nahee bharta
Mujhe aankhoon ki beenaii bahut kamzoor lagti hai
Aur ab tu surkh doray aankh mein rehtay hain pehroo tak
Unhain yeh kaun samjhaaye
Masehaee ki khaatir aablay aankhoon pe mat bandho
Magar aadat jo hojaye
woh dil se kab nikalti hai
Bahut tanha hoon mein lekin
Yeh dil ko kaun samjhaaye ...**
Agar hai mumkin tu bhool jao ...
**
Tum aakhri baar milne aaee ho
Aur apne tamaam khat le ke jaa rahi ho
Inhi khatoon mein tumhari tasveer
Khushbo'oun mein basa mulayam sufaid kagaz
Ke sabt jin per tumhare hontoo ke nishaan hain
Aur naam mera
Tum is tarah apne saath mujh ko bhi
Be-nishaan kar ke jaa rahi ho
Khud apne dil ko rula rahi ho
Tu yun karo
Apni saari yaadain
Tamaam waaday ... bhula ke jao
Agar yeh mumkin hai mera tum se bichar kar rehna
Tu meri aankhain sulaghti rakhna
Wagar na maazi kabhi mujhe aur tum ko dohra gaya tu
Tu shayad mein apne maazi ke sach pe
Izhaar-e-ma'zrat bhi na kar sakonga
Agar hai mumkin
Tu saari rasman, tamaam qasmain
Bhula ke jaoo
Wisaal waadoon ki kashteyaan sab
Jalaa ke jao
Agar hai mumkin
Tu bhool jao ...**
Thank you Swera for your appreciation ... You know na now I wont' be posting my contribution in other threads, I will continue posting in the same thread ... No matter if other guppies gonna read it or not ...
Phir ussi raah-guzar per shaayad
Hum kabhi mil sakain magar shaayad
Jaan pehchaan se bhi kya hoga
Phir bhi ay dost gaur kar shaayad
Muntazir jin ke hum rahe unko
Mil gaye aur hamsafar shaayad
Jo bhi bichray hain kab milay hain 'Faraz'
Phir bhi tu intezaar kar shaayad ...
Baat niklegi tu phir door tallak jaayegi
Log bewajha udaasi ka sabab poochenge
Yeh bhi poochenge ke tum itni pareshaan kyon ho
Ungleyaan uthenge sookhay huwe baloon ki taraf
Ek nazar dekhenge guzray huwe saloon ki taraf
Choreyoon per bhi kaee tanz keye jaayenge
Kaanptay haathoon pe bhi fikray kassay jayenge
Log zaalim hain, har ek baat ka taana denge
Batoon baatoon mein mera zikar bhi le aayenge
Un ki batoon ka zara bhar bhi assar mat layna
Warna chehre ke ta'ssur se samajh jayenge
Chahay kuch bhi ho sawaalat na karna un say
Mere baare mein koi baat na karna un say
Baat niklegi tu phir door talak jaayegi ...
Hamaare un se maraasim ki baat mat poocho
Yeh silsila tu kaheen door jaan se milta hai
Hai apne muqaddar ki baat kya kaheyey
Hamare zakhm ko marham kahana se milta hai
Hamaare pyar ke qissay gali gali bikhray
Yeh martaba bare sood-o-zeyaan se milta hai
Sitaaron jaisi yeh ankhain yeh chand sa chehra
Tumhara silsila kuch aasmaan se milta hai Hamaara zikar kitaboon mein dhoondne waaloo
Hamara zikar tu saare jahaan se milta hai ...