~ Few Selections ~

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain

Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain

Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein
Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain

Bas ek nigaah se lut’ta hai qaafila dil ka
So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain

Kissay naseeb ke be-pairhan issay dekhay
Kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtay hain

Kahaaneyaan hi sahi sab mubalgay hi sahi
Agar woh khwaab hai tabeer kar ke dekhtay hain

Ab is shehar mein thehrain ke kooch kar jaayain
Faraz aaoo sitaaray safar ke dekhtay hain …

Ahmed Faraz

Muhabbatain jab shumaar karna

Muhabbatain jab shumaar karna tu saazishain bhi shummar karna
Jo mere hissay mein aaee hain woh azzeyattain bhi shumar karna

Jalaaye rakhongi subha tak mein tumhare rastoo mein apni ankhain
Magar kaheen zabt toot jaaye tu baarishain bhi shumar karna

Jo harf looh-e-wafa pe likhe huwe hain un ko bhi dekh laina
Jo raayegaan hogaeen woh saari ibaraatain bhi shumar karna

Yeh sardeyoo ka udaas mausam ke dharkanain barf hogaeen hain
Jab un ki yakh bastagi parakhna, tamazattain bhi shumaar karna

Tum apni majboreyoon ke qissay zaroor likhna wazahatoon se
Jo meri aankhoon mein jal bhuji hain woh khwahishain bhi shumar karna

Noshi Gilaani

Ek diya dil mein jalaana bhi ...

Ek diya dil mein jalaana bhi, bhuja bhi daina
Yaad karna bhi ussay roz, bhula bhi daina

Kya kahoon yeh meri chaahat hai ke nafrat us ki
Naam likhna bhi mera, likh ke mitta bhi daina

Phir na milne ko bicharta tu hoon tujh se lekin
Murr ke dekhoon tu palatne ki duaa bhi daina

Khat bhi likhna ussay, mayoos bhi rehna us se
Jurm karna bhi magar ko ko saza bhi daina

Mujh ko rasmoon ka takkaluf bhi gawaara lekin
Jee mein aaye tu yeh deewaar gira bhi daina

Us se mansoob hi kar lain puraanay qissay
Us ke baloom mein naya phool saja bhi daina

Surat-e-naqsh-e-qadam, dasht mein rehna Mohsin
Apne hone se na hone ka pata bhi daina ...

Mohsin Naqvi

Kabhi kitaboon mein phool rakhna ...

Kabhi kitaboon mein phool rakhna, kabhi darakhtoon pe naam likhna
Humein bhi hai yaad aaj tak woh nazar se harf-e-salaam likhna

Woh chaand chehre woh behki baatain, sulagtay din thay mehakti ratain
Woh chote chote se kagazoon per muhabbaton ke payyam likhna

Mere nagar ki haseen fizaoon! kaheen jo un ka nishaan paoo
Tu pochna yeh kahaan basay ho, kahaan hai un ka qayyaam likhna

khuli fizaoun mein saans lain abs hai ab tu ghuttan hai aisi
Ke charoon jaanib shajar kharay hain saleeb surat tamaam likhna

Gaee ruttoon mein Hasan hamaara bas ek hi tu yeh mashgala tha
Kisi ke chehre ko sbha likha, kisi ki zulfoon ko shaam likhna ...

Hasan Rizvi

Faasilay aise bhi honge ...

Faasilay aise bhi honge yeh kabhi socha na thaa
Saamnay betha thaa mere aur woh mera na thaa

Woh ke khushboo ki tarah phaila thaa mere chaar soo
Mein ussay mehsoos kar sakta thaa choo sakta na thaa

Raat bhar pichli hi aahat kaan mein aati rahi
Jhaank kar dekha gali mein koi bhi aaya na thaa

Aaj us ne dard bhi apne alhaida kar leye
Aaj mein roya tu mere saath woh roya na thaa

Yeh sabhi weeraaneyaan us ke juda hone se theen
Aankh dhundlaee huwi thee shehar dhundlaaya na thaa

Yaad kar bhi unhain takleef hoti thee Adeem
Bhool jaanay ke siwa ab koi bhi chaara na thaa...

Adeem Hashmi

Aankhain bheeg jaati hain...

Samundar mein utarta hoon tu aankhain bheeg jaati hain
Teri aankhoon ko parhta hoon tu aankhain bheej jaati hain

Tumhaara naam likhne ki ijazat chin gaee jab se
Koi bhi lafz likhta hoon tu ankhain bheej jaati hain

Teri yaadoo ki khushboo khirkeyoon mein raqs karti hain
Tere gham mein sulaghta hoon tu aankhain bheeg jaati hain

Mein hans ke jhail laita hoon judaee ki sabhi rasmain
Galay jab us ke lagta hoon tu aankhain bheeg jaati hain

Na jaane hogaya hoon is qadar hassaas mein kab se
Kisi se baat karta hoon tu aankhain bheeg jaati hain

Woh sab guzray huwe lamhaat mujh ko yaad aatay hain
Tumharay khat jo parhta hoon tu aankhain bheeg jaati hain

Mein sara din bahut masroof rehta hoon magar junhi
Qadam choukhat pe rakhta hoon tu aankhain bheeg jaati hain

Har ek muflis ke mathay per allam ki daastanain hain
Koi chehra bhi parhta hoon tu aankhain bheeg jaati hain

Baray logoon ke ounchay badnuma aur sard mehloon ko
Gareeb aankhoon se takta hoon tu aankhain bheeg jaati hain

Tere kochay se ab mera tal'luq waajbi sa hai
Magar jab bhi guzarta hoon tu aankhain bheeg jaati hain

Hazaroo mausamoon ki hukmaraani hai mere dil per
Wasi mein jab bhi hansta hoon tu aankhain bheeg jaati hain...

Wasi Shah

Great!

I like all of them!
Thnx for sharing.

nice selection :k:

Thanks a lot Swera
Thanks cuteepie ...

**
Sath dil ke chalay dil ko nahe roka hum ne
Jo na apna thaa ussay toot ke chaaha hum ne
Ek dhokay mein kati umer hamaari saaari
Kya batayain kissay paaya kissay khoya hum ne ...**

^ wah!

Beautifullll:)

Jo khata thaa pyar ki qasmain, aaj huwa begaana
Jatay jatay degaya mujh ko ashkoon ka nazraana ...

:k:

**
Zakhm jo aap ki inaayat hai is nishaani ko naam kya dain hum
Pyar deewaar ban ke reh gaya hai is kahaani ko naam kya dain hum

Aap ilzaam dhar gaye hum per, aik ehsaan kar gaye hum per
Aap ki yeh bhi meharbaani hai, meharbaani ko naam kya dain hum

Aap ko yun bhi zindagi samjha, dhoop ko hum ne chaandni samjha
Bhool hi bhool jis ki aadat hai, is jawaani ko naam kya dain hum

Raat sapna bahaar ka dekha, din huwa tu ghubaar sa dekha
Bewafa wakt bezubaan nikla, bezubaani ko naam kya dain hum ...**

again it’s great!
(me going now Khuda Hafiz:wave: )

Muqaddar

Mein woh larki hoon
Jis ko pehli raat
Koi ghoonghat uttha kar yeh keh day
Mera sab kuch tera hai ... Dil ke siwa ...

Parveen Shakir

**
Bhoole hain rafta rafta unhain muddaton main hum
Qistoon main khudkushi ka maza hum say pocheeye ...
**

**
Bhool jaana tu rasm-e-duniya hai
Aap ne kaun sa kamaal kar diya ...**

Koi yeh kaise bataaye ke woh Tanha kyon hai...

Koi yeh kaise bataaye ke woh tanha kyon hai
Woh jo apna thaa wohi aur kisi ka kyon hai
Yehi duniya hai tu phir aisi yeh duniya kyon hai
Yehi hota hai tu aakhir yehi hota kyon hai

Ek zara haath barhaa dain tu pakar lain daaman
Us ke seenay mein sama jaaye hamaari dharkan
Itna qurbat hai tu phir faasila itna kyon hai

Dil-e-barbaad se nikla nahee ab tak koi
Ek luttay ghar pe diya karta hai dastak koi
Aas jo toot gaee phir se bandhaata kyon hai

Tum mussarrat ka kaho ya issay gham ka rishta
Kehtay hain pyar ka rishta hai janam ka rishta
Hai janam ka jo yeh rishta tu badalta kyon hai ...

Phir kisi yaad ne shab bhar hai jagaaya mujh ko
Kya sza dee hai muhabbat ne khudaaya mujh ko
Din ko araam hai na raat ko hai chain kabhi
Jaane kis khaak se qudrat ne banaaya hai mujh ko
Dukh tu yeh hai ke zamaanay mein mile ghair sabhi
Jo mila hai woh mila ban ke paraaya mujh ko
Jab koi bhi na raha kaadnha mere ronay ko
Ghar ki deewaroon ne seenay se lagaaya mujh ko
Yun tu umeed-e-wafa tum se nahee hai koi
Phir chiragoon ki tarah kis ne jalaaya mujh ko
Bewafa zindagi ne jab chor diya hai tanha
Maut ne pyar se pehloo mein bithaaya hai mujh ko
Woh diya hoon jo muhabbat ne jalaaya thaa kabhi
Gham ki aandhi ne sar-e-shaam bhujaaya mujh ko
Kaise bholoonga wohi wasl ke lamhay Saahil
Yaad aata raha zulfoon ka hi saaya mujh ko ...