:k:
Puraani kitaab mein rakhi tasveer ...
Puraani kitaab mein rakhi tasveer se baatain
Aaj barsoon ke baad dekha hai
Ab bhi aankhoon ka rang ghehra hai
Aur maathay ki saanwli si lakeer
Dil mein kitne deeye jalaati hai
Teri qaamat ke saaye ki khushboo
Guftugoo mein bahaar ka mausam
Be-sabab aitbaar ka mausam
Kyon mujhe saaray dhang yaad rahay
Kitni hairaan hogaee khud per
Mein tujhe aaj tak nahee bhuli
Pichle mausam ki yaad baaqi hai ...
Noshi Gilani
Saaray sapne kaheen kho gaye ... Haaye hum kya se kya hogaye
Dil se tanhaee ka dard jeeta, kya kahain hum pe kya kya na beeta
Tum na aaye magar jo gaye ... Haaye hum kya se kya hogaye
Tum ne hum se kaheen jo baatain, un ko dohraati hain gham ki raatain
Tum se milne ke din tu gaye ... Haaye hum kya se kya hogaye
Koi shikwa na koi gilla hai, tum se kab hum ko yeh ghum mila hai
Haan naseeb apne hi sogaye ... Haaye hum kya se kya hogaye
Woh ek phool jo tum ne
Mujh ko diya thaa
Muhabbat ki khushboo mein bheega huwa thaa
Aur ulfat ke rangoon mein dooba huwa thaa
Mere paas aa kar
Mere kaan mein phir
Mujhe yaad hai tum ne jo kuch kahaa thaa
Mujhe yaad hai
Mujh se tum ne kahaa thaa
Ke us phool ke rang nikhray na hotay
Parinday kaheen bhi chehaktay na hotay
Fizao'oun mein khushboo mehakti na hoti
Saba sahiloon pe lehakti na hoti
Sitaaray falak per chamaktay na hotay
Ke mein jo na hoti
Tu tum bhi na hotay
Qasam khaa ke us phool ki tum ne mujh se
Muhabbat nibhaanay ka waada kiya thaa
Wohi phool jis ki qasam khaa rahay thay
Woh phool ek arsay se sookha huwa hai
Kitaab-e-muhabbat mein rakha huwa hai
Mein sookhi huwi patteyoon ko musalsal
Takay jaa rahi hoon
Woh sookhi huwi patteyaan bhi tu mujh se
Kahay jaa rahi hain
Tumhein mujh se itni muhabbat nahee thee
Ke jitni muhabbat ka daawa kiya thaa ...
Hay yeh shehar ba-wafa magar yahaan apna koi mila nahee
Katti umer sari yeh dhoop mein, kaheen saaya koi mila nahee
Kaheen zaat paat ka silsila, kaheen hasb-o-nasb ki riwayatain
Wafa ke maah-o-saal ka shaayad koi sila nahee
Yeh jo jashn-o-raqs jahaan mein hai, bahut hai bais-e-sukon
Yeh mujh ko kyon nahee mila mujhe is ka koi gilla nahee
Gaee rutoon ki woh daastaan ke diloon ko deti thee ek jila
Kar tu doon woh phir bayaan magar dil ko hausla nahee
Ko kiya thaa ehad-e-junoon kabhi, hayaat guzri nibaahatay
Ke zubaan-o-dil ke darmeyaan yahaan koi faasila nahee
'Younus' tum apni zaat ka qissa kissay sunatay ho
Hai kaun is jahaan mein gham jis ko koi mila nahee...
Beetay mal mehaz ek saye ki tarah hote hain
Beetay pal mehaz ek saye ki tarah hotay hain
Issay naa tu hum bhula saktay ho
Aur na hi is ka saamna kar saktay ho
Har beeta pal ek saaye ki tarah hota hai
Jo kabhi bhulaaya ja nahee sakta
Jis par parda kabhi dal nahee sakta
Yeh woh suraj hai jo kabhi dhal nahee sakta
Yeh woh barf hai jo kabhi pighal nahee sakti
Beetay pal mehaz ek saaye ki tarah hotay hain
Is se kabhi bhaagnay ki koshish na karna
Ke beetay pal ko bhool jaogay gar tu
Khud ki pehchaan khoo bethoge
Ke beetay pal hi khud ki pehchaan batlaa detay hain...
Ruka huwa hai meri aankh mein woh ek lamha
Bicharte wakt kisi ko mera sadaa dena
Jo kar rahe hain muhabbat tu yeh dheyan rahe
Bahut katthin hai kisi ki yaad ko bhula dena...**
Bhuhat khoob ........zabardast
Bhuhat khoob ........zabardast
Bhuhat khoob ........zabardast
**
aise bataayain aur kis ko bataayain
Ke kaisi thee woh muskurahatein
Jin mein zindagi ke ujaalay thay
Kaisi thee woh nighaaein
Jo is dil ko cho leti thee
Kaisi thee woh khamosheyaan
Jo kahaaneyaan sunaatii thee
Kaise thay woh haath
Jo ab in haathoon mein nahee...**
Pyar mein hum ne kya paaya thaa, choro yeh sab jaane do
Kya samjhayein, kya kaisa thaa, jo bhi thaa, ab jaane do
Nazrain sab kehti sunti thee, hum donoo chup rehte thay
Do nazroon ka aisa naata, toota thaa kab, jaane doo
Hum apne mun bhaid batatay per tum ne kab dheyaan diya
Hontoo ko hum ne jab see daala, aaye ho tu tab, jaane do
San'naatay kehtay hain mujh se, jaao jaa ke soo jaoo
Koi nahee hai, aane waala, beet gaee shab, jaane doo
Pyar mein hum ne kya paaya thaa, choro yeh sab jaane do
Kya samjhayein, kya kaisa thaa, jo bhi thaa, ab jaane do ...
Najane kaisi hawa chali hai ke shehar sara badal gaya hai
Kisi ki ankhain badal gaeen hain, kisi ka chehra badal gaya hai
Haseen din thay jameel raatain, na khatm hoteen theen apni baatain
Ajeeb chup si thehrar gae hai, woh jab se lehja badal gaya hai
Fizayein benoor horahee hain, hawayein chup chaap ro raheen hain
Bas ek judaaee se apne ghar ka tamaam naqsha badal gaya hai
Ab apni manzil nahee hai koi, ab apna rasta nahee hai koi
Kisi se manzil badal gae hai, kisi se rasta badal gaya hai
Nazar se guzre tu dekh lena, jo yaad aye tu soch lena
Kabhi tu shak sa guzarne lagta hai jaise rishta badal gaya hai
Kabhi tu yun tha har ek saaat malaal rehta thaa doreyoo per
Aur ab yeh aalam hai zindagaani ka lamha lamha badal gaya hai
Kaee dinoo se ussay hum Akhtar ajeeb hulleyay mein dekhte hain
Ke jism saara ussi tarha hai bas aik chehra badal gaya hai ...
Hum rahay na rahain
Bhool jaana woh sab kahee baatain
Bhool jaana woh chaandni raatain
Ke zindagi ke mausamoon mein
Ek mausam judaee ka bhi hai
Sab hi bichray tu mil nahee paatay
Zindagi ko qareeb se dekho
Log juda ho kar mar nahee jaatay ...
**Jab bhi chahay naee duniya basa laitay hain log
Ek chehray pe kaee chehray laga laitay hain log
Yaad rehta hai kissay guzray zamaanay ka chalan
Sard par jaati hai chaahat haar jaati hai lagan
Ab muhabbat bhi hai kya, ek tijaarat ke siwa
Hum bhi nadaan thay jo ourra beeti yaadoon ka kafan
Warna jeene ke leye sab kuch bhulla laitay hain log
Ek chehray pe kaee chehray laga laitay hain log ...
Jaanay woh kya log thay jin ko wafa ka paas thaa
Doosray ke dil pe kya guzregi yeh ehsaas thaa
Ab hai patthar ke sanam jin ko ehsaas na gham
Woh zamaana ab kahaan jo ehal-e-dil ko raas thaa
Ab tu matlab ke leye naam-e-wafa laitay hain log
Jab bhi chahay naee duniya basa laitay hain log
Ek chehray pe kaee chehray laga laitay hain log ...**
Apni nazar mein koi bhi afzal nahee raha
Ukta ke shehar se idhar aana na dostoo
In rastoon pe ab koi jungle nahee raha
Rishtay tamaam aaj bhi sad ehteraam hain
Lekin muhabbatoon ka mein qayyal nahee raha
Logoon ne meri taak mein rehna bhula diya
Ya mein kisi ke wastay mushkil nahee raha
Ek thaa jo teri hi pass-e-dewaar mar gya
Ab koi tere shehar mein pagal nahee raha
Aisa bhi apne saath huwa hai kabhi kabhi
Maangi dua jo abar ki baadal nahee raha
Itni udaas bazm tu pehle kabhi na thee
Lagta hai koi shaamil-e-mehfil nahee raha ...
Phir ussi kahaani ki log baat karte hain
Teri meharbaani ki log baat karte hain
Teri bewafai ke be-shumaar qisoon mein
Meri zindagaani ki log baat karte hain
Titleyoon ke jhurmat mein woh bhi ek titlee thee
Jis gaee jawaani ki log baat karte hain
Daagh bhi nahee baaqi ab tu mere zakhmoon ke
Kaun si nishaani ki log baat karte hain
Ranjishoo ke qissay ko mein na laaya hontoo per
Teri bad-gumaani ki log baat karte hain
Munjamid hai aankhoon mein aks tera sadeyoon se
Soch ke rawaani ki log baat karte hain
Hum tu baat karte hain husn ke tagaaful ki
Zeest ki giraani ki log baat karte hain ...
Har tamashaai fakat saahil se manzar dekhta
Koun dariya ko ultaata koun gouhar dekhta
Wo to duniya ko meri deewanigi khush aagai
Tere haathon mein warna pehla pathhar dekhta
Aankh mein aansoo jaday thay par sada tujhko na di
Is tavaqo par ke shaayad tu palat kar dekhta
Meri kismat ki lakeerain mere haathon mein na thin
Tere maathay par koi mera mukaddar dekhta
Zindagi phaili huwi thi shaam-e-hijraan ki tarhan
Kisko itna housla tha koun jeekar dekhta
Doobne waala tha aur saahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mouhalat thi mein kisko aankh bhar ke dekhta
Tu bhi dil ko ik lahu ki boond samjha hai Faraz
Aankh gar hoti to katray mein samandar dekhta ...
Kabhi khamoosh bethoge... kabhi kuch gungunaooge
Mein utna yaad aaonga... Mujhe jitna bhulaooge
Koi jab pooch betheyga khamooshi ka sabab tum se
Bohut samjhaana chaahoge.. magar samjha na paaoge
Mein utna yaad aaonga... Mujhe jitna bhulaooge
Kabhi khamoosh bethoge... kabhi kuch gungunaooge
Kabhi duniya mukamal ban ke aayegi nighaoon mein
Kabhi meri kami duniya ke har ek shay mein paoge
Mein utna yaad aaonga... Mujhe jitna bhulaooge
Kabhi khamoosh bethoge... kabhi kuch gungunaooge
Kaheen per bhi rahen hum tum muhabbat phir muhabbat hai
Tumhein hum yaad aayenge... humein tum yaad aaoge
Kabhi khamoosh bethoge... kabhi kuch gungunaooge
Mein utna yaad aaonga... Mujhe jitna bhulaooge ...
Silsile Qurb ke judai ke
Bujh chukin khwahishon ki qandeelen
Lut chuke sheher aashnai ke
Jis ne jaise bhi din guzare hain
Mausamon ka hisaab kya rakhna
Bhool jain ki jo hoa so hoa
Bhool jaen ki hum mile the kabhi
Ba'az auqaat chahne par bhi
Fasilon men kami nahin hoti
Aksar auqaat jane walon ki
Wapisi se khushi nahin hoti ...
Koi tum se muhabbat ka pata poochay tu bata dena
Woh tu hamari nass nass mein basti hai
Kabhi humein hansaati hai
Aur kabhi humein khoon ke aansoo rulaaati hai
Woh kabhi tu karakti dhoop ke jungle mein
Saya ban kar sulaati hai tu kabhi kabhi
Maut ki maan'ind hamari rooh per chaah jaati hai
Koi tum se muhabbat ki wajah poochay tu keh dena
Yeh tu dabbay qadmoon aati hai aur ek lamha
Haan bas ek pal hi kaafi hota hai
Chaahanay waaloon ke leye
Phir bhalay laakh muroo us se, yeh hojaati hai
Hum inkaar kartay reh jaatay hain
Aur yeh haulay se gun'gunaati hai
Koi tum se muhabbat ka anjaam poochay
Tu roo daina
Ay nadaan, yeh tu andhi-o-bhehri hoti hai
Kab tarazoo mein toli jaati hai
Aur kab bazaroon mein kharidi jaati hai
Yeh tu bas diloon se hoti hai aur ussi mein rehti hai
Yeh duniya se beparwa hai, hamare rab ki dua hai
Muhabbat jaza hai, muhabbat saza hai
Muhabbat mein hi maza hai
Koi muhabbat se khafa ho tu samjha daina ussay
Yeh tu insaan ki takhleeq ka pehla jawaaz hai
Allah ka is kainaat per ek ehsaan hai
Yeh na hoti tu kya hota
Na mere alfaaz hotay
Na yeh zamaanay ke andaaz hotay
Na gulloon mein rang hota
Na hawa mein tarang hota
Na hum hotay na tumhara gham hota
Koi tumhare samne muhabbat ko radd kar de tu bol uth'na
Hamaara naam hum se munsalik har paighaam
woh zakhm woh ghaoo jo ab talak rasta hai
woh chaahat woh judaee ka karb jo hum ne saha hai
Woh Allah per imaan jo muhabbat ka sabaq hai
Woh har wakt dua ke leye phailay huwe haath
Jis per hum donoo ka tamaam ehwaal likha hai
Ke muhabbat ka is se behtar koi aur saboot nahee hai ...