~ Few Selections ~

Naam mera bhi kat gaya hoga ...

Aakhir chand din december ke
Har baras hi giraan guzartay hain
Khwahishoon ki nigaarkhaanay se
Kaise kaise gumaan guzartay hain
Raftagaan ke bikhartay saayoon ki
Ek mehfil si dil mein sajti hai
Phone ki diary ke safhoon se
Kitnay number pukartay hain mujhe
Jin se marboot benawa ghanti
Ab faqat mere dil mein bajti hai
Kis qadar pyare pyare naamoon per
Raigtee badnuma lakeerain si
Meri aankhoon mein phail jaati hain
Dheyaan ki sirheyoon pe kya kya aks
Mashallain dard ki jagaati hain
Aise kaagaz pe phail jaatay hain
Haadsay ke muqaam per jaise
Khoon ke sookhtay nishaanoo per
Chalk se linain lagaatay hain
Har december ke aakhri din mein
Har baras ki taraf se ab ke bhi
Diary ek sawaal karti hai
Kya khabar is baras ke aakhir tak
Mere in bechiraag safhoon se
Kitne hi naam kat gaye honge
Kitnne number bikhar ke rastoon mein
Gard-e-maazi se att gaye honge
Khaak ke dheroon ke daaman mein
Kitne toofan simatt gaye honge
Har december mein 'main' sochta hoon
Ek din is tarah bhi hona hai
Rang ko roshni mein khona hai
Apne apne gharoom mein rakhi huwi
Diary dost dekhtay honge
Aur un ki aankhoon mein
Ek sehra sa phailta hoga
Aur kuch benishaan safhoon se
Naam mera bhi kat gaya hoga ...

Amjad Islam Amjad

Kisi aur ke baaz'oun mein simat kar tujhe sochna
Kis qadar munfarid tajurba thaa...
Yeh ehsaas hi kis qadar jaan lewa hai janaan
Ke aisi jagah is khunkzaar mein
Mere tan per phisalti huwi shabnami hiddatain
Teri lazzat fishaan ungleyoo se agar phoot'teen
Tau mere jism ki ek ek pore tab kis tarah jagmagaati
Tere roshni aashnaa haath kaise bhataktay yahaan
Ab yahaan aur ab sar kushi ki us aakhri yaad reh jane wali ghar mein
Wakt ki na samajh rau hai
Aur bebasi ki naee lehar hai
Zamistaan ki is aakhri shaam aur mein jis mein
Shayad ab koi bhi farq baaqi nahee
Mere sathi meri band aankhoon ko
Kis pyar se choom kar keh raha hai
Aray aaj barf baari abhi se hi hone lagi
Jaan aoo mujhe orh lo ...
Ussay kya khabar hai
Ke is wakt mein aag bhi orh loon tau
Meri rooh per hone waali
Barf baari nahee ruk sakegi ...

Parveen Shakir

nice selection :k:

Chaman ke phool har ek ko mila kartay nahee
Bahaar aati hai lekin kisi kisi ke leye ...

Soz=e=gham de ke mujhe us ne yeh irshaad kiya
Jaa tujhe kashmakash-e-dehar se aazaad kiya

Woh karain bhi kin alfaaz mein tera shikwa
Jin ko teri nigaah-e-ulfat ne barbaad kiya

Dil ki chottoon ne kabhi chain se rehne na diya
Jab chali sard hawa mein ne tujhe yaad kiya

Is ka rona nahee kyon tum ne kiya dil barbaad
Is ka gham hai ke bahut dair mein barbaad kiya

Mujh ko tu hosh nahee tum ko khabar ho shaayad
Log kehtay hain ke tum ne mujhe barbaad kiya ...

Kabhi saaya hai kabhi dhoop muqaddar mera
Hota rehta hai yun hi qarz baraabar mera

Toot jaatay hain kabhi mere kinaaray mujh mein
Doob jaata hai kabhi mujh mein samundar mera

Kisi sehra mein bichar jaayenge sab yaar mere
Kisi jungle mein bhattak jayega lashkar mera

Bewafa thaa tu mujhe poochne wale bhi na thay
Bewafa hoon tu huwa naam bhi ghar ghar mera

Kitne hanste huwe mausam abhi aatay lekin
Ek hi dhoop ne kumhlaa diya manzar mera

Aakhiri jura-e-purkaif ho shaayad baaqi
Ab jo chalka tu chalak jaayega saagar mera ...

Uttar ke khamosh thehre thehre udaas ghehre
Samundaroon mein uttar ke dekha
Tamaa moujoon se jaa ke pooch pata tumhara
Magar palat ke kaheen se koi sada na aee
Falat ke satoon hi sayebanoon ko chu ke dekha
Jhulastay huwe sehra ki rait sansoon se chaan kar bhi
Tumhari khushbo na haath aaye
Kisine bhi tu nahee bataya
Ke tum kahaan ho ... Tum kahaan ho
Suno kabhi sepeyoon ki dharkan ko choo ke dekha
Kabhi ghulaab ki patteyoon ki suni karaahain
Kabhi bikharti si kehkashaan ko
Nazar nazar se chuna hai tum ne
Kisi ke hontoo pe aa ke marti huwi
Dua ka suna hai tum ne
Tumhein khabar hai
Kisi ke aanchal pe dhairoon waaday likhay thay tum ne
Kisi ki palkoon pe jugnoo'oun ko bekhaira aise
Ke us ke chehray pe subha kar dee
Kisi ki aankhoon mein khwaab likhay
Magar muqaddar mein saraab likhay
Wafa ki jaageer tum ko sonpi hamaaray dil ne
Tu kya milla phir
Humein se chehra chupa liya hai
Tumhein yeh kis ne kaha thaa ke maati ko ourh lo tum
Tumhein yeh kis ne kaha thaa ke dil ke tamaa
Rishtoon ko torr do tum
Yun chor jane ka huq tumhein hum ne kab diya thaa
Humein bhulaanay ka huq tumhein hum ne kab diya thaa...

**
Zindagi bhi ajjab hai
Kya kya rang dikhaati hai
Pehle mein ne
Kisi aur ko chaaha phir
Tum se muhabbat huwi
Tumhare leye geet likhay
Khwaab bunnay
Yahaan tak ke
Zindagi tumhare naam kar daali
Phir yun huwa
Tum ne meri hi reet aagay barhaaee
Aur mujhe tanha chor diya
Mujhe dar hai ke
Kaheen taareekh apne aap ko
Duhraa na daalay ...**

Kya huwa jo tumhara saath nahi
Meray haathoon mai tumhara haath nahi
Meray liye teri yaadein hi kafi hain
Mohabbat mein zaroori mulaqat nahi
Mein saari umer tarsa hoon chahat kai liye
Meray naseeb mein shayed yeh soghat nahi
Iss andaz sai toota keh phir simat na saka
Mujhai samatnai wala hi koi haath nahi
Jis ki dosti peh naaaz tha woh dost bhi gaya
Kis karb sai kaha 'Saahil' nahee koi baat nahi...

Ab unse duur ka bhi waasta nahin Nasir
Woh hamnawaa jo meray ratjagon mein shaamil thaa ...

Haadisah janay woh kya thaa jo bhulaya na gaya
Aaj tak jiska nishaan dil se mitaaya na gaya

In lakeeroon mein basa tha ajo naseebon ki tarha
Gardish-e-dauraan ke sadqe, phir banaaya na gaya

Silsilay aise jurray khwaboon ke ankhoon se ke phir
Paas apne is zamaanay ko bithaaya na gaya

Hasrat-e-kashti-e-dil doobi kinaray pe magar
Saamnay saahil ke kuch humse bachaaya na gaya

Ab karain kis se shikaayat aur ab kis se gilla
Guftagu-e-ranj mein jab ranj hi jataaya na gaya ...

Teri manzil aur thee mera thikaana aur thaa
Raah badalnay ki wajah kuch aur bahaana kuch aur thaa

Ab muqaddar hogaya hai yeh andheroon ka safar
Hamsafar suraj kabhi thaa woh zamaana aur thaa

Muskura ke beneyyazi se kaha us ne mujhe
Chaut tum ko aa gaee mera nishaana aur thaa

Lamha lamha ab badaltay hain muhabbat ke asool
Qais jab Majnoo huwa thaa woh zamaanaa aur thaa

Hausla tum mein nahee thaa jis ko parhnay ka 'Saahil'
Dard mein dooba huwa woh fasaanaa aur thaa ...

Tumhein yaad ho ke na yaad ho ...

Woh jo hum mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ke na yaad ho
Wohi yaani waada nibaah ka tumhein yaad ho ke na yaad ho
woh naye gillay woh shikayatain woh mazzay mazzay ki hikayatain
Woh har ek baat pe roothna tumhein yaad ho ke na yaad ho
Koi baat aisi agar huwi jo tumhari ji ko buri lagi
Tu bayan se pehle hi bhulaana tumhein yaad ho ke na yaad ho
Suno zikar hai kaee saal ka, koi waada mujh se thaa aap ka
Woh nibhaane ka tu zikar kya, tumhein yaad ho ke na yaad ho
Kabhi hum mein tum mein bhi chaah thee
Kabhi hum mein tum bhi bhi raah thee
Kabhi hum bhi tum se thay aashna
Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Huwe itefaaq se gar barham, woh wafa jataane ko dam-ba-dam
Gila-e-malaamat-e-arqabaa, tumhein yaad ho ke na yaad ho
Woh jo lutf mujh pe thaa beshtar, woh karam ka haath mere hath per
Mujhe sab hain yaad zara zara, tumhein yaad ho ke na yaad ho
Kabhi bethay sab hain jo ru-ba-ru tu isharatoo hi se guftago
Woh bayaan shauq ka barmalaa tumhein yaad ho ke na yaad ho
Woh bigarna wasl ki raat ka, woh na manaana kisi baat ka
Woh nahee nahee ki har aan adaa, tumhein yaad ho ke na yaad ho
Jissay aap gintay thay aashna, jissay aap kehtay thay bewafa
Mein wohi hoon Momin-e-mubtalaa tumhein yaad ho ke na yaad ho...

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya

Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya

Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya ...

Amjad Islam Amjad

**
Aaenay ke sau tukray kar ke hum ne dekhay hain
Ek mein bhi tanha thay ... Sau mein bhi akelay hain

Jo bana thaa aik saathi woh bhi hum se choota hai
Bewafa nahee jab woh phir kyon hum se rootha hai
Khoee khoee aankhoon mein aanso'oun ke melay hain
Ek mein bhi tanha thay ... Sau mein bhi akelay hain ...

Us ka haal kya hoga, yehi gham sataata hai
Neend bhi nahee aati, dard barhta jaata hai
Zindagi ki raahoon mein log hum se khailay hain
Ek mein bhi tanha thay ... Sau mein bhi akelay hain ...

Har taraf ujaala hai dil mein ek andhaira hai
Saamnay woh kab aayega kyon chuppa Swera hai
Mera dil jigar dekho kitne dard jhailay hain
Ek mein bhi tanha thay ... Sau mein bhi akelay hain ...**

Ajab din thay mohobbat kay
Ajab mousam thay chahat kay
Kabhee gar yaad ajain to palkon par sitaray jhilmilatay hain
Kisi ki yaad main raton ko aaksar jagna mamool tha apna
Kabhee gar neend ajati to ham yeh soch letay thay
Abhee to wo hamaray wastay roya nahin hoga
Abhee soya nahin hoga
Abhee ham bhee nahin rotay
Abhee ham bhee nahin sotay
So phir ham jaagtay au rus ko yaad kartay thay
Akailay beth kar weeran dil abad kartay thay
Hamaray saamnay taronkay jhurmut main akila chaand hota tha
Jo us kay husn kay agay bahut hee mand hota tha
Falak par raqs kartay an ginat roshan sitaron ko
Jo ham tarteeb detay thay
To us ks naam banta tha
Ham aglay roz jab miltay
To guzree raat ki har bay kali ka zikr kartay thay
Har ik qissa batatay thay
Kahan kis waqt kis tarha say dil dhrka batay thay
Main jab kehta kay janan aaj to main raato ik pal nahin soya
To wo kahamosh rehti thee
Par us ki neend main doobi huee do jheel see ankhen
Achanak bol uthtee theen
Main jab us ko bata tha
Kay main nay raat ko roshan sitaron main tumhara naam dekha tha
To wo kehti , Razi tum jhoot kehtay ho
Sitaray main nay dekhay thay
Aur un roshan sitaron main tumhara naam likha tha
Ajab masoom larki thee
Mujhay kehti thi lagta hai kay ab apnay sitaray mil hee jaingay
Magar us ko khabar kya thee
Kinaray mil nahin skatay
Mohobbat ki kahani main
Mohobbat karnay walon kay
Sitaray mil nahin saktay
Sitaray mil nahin saktay ...

Chali ek baar phir se ajnabi ban jaayain hum donoo
Na mein tum se koi umeed rakhoon dil nawaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazroon se
Na mera dil larkharaaye kisi ki baatoon se
Na zaahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazroo se
Tumhein bhi koi uljhan rokti hai paishqadmi se
Mujhe bhi log kehtay hain yeh jalway paraaye hain
Mere hamraah bhi riswaaeyaan hain mere maazi ki
Tumhare saath bhi guzarti raatoon ke saaye hain
Ta'aruf rough ban jaaye tu us ka bhoolna behtar
Ta'aluq bhoj ban jaaye tu us ka toorna acha
Woh afsaana jissay anjaam tak badalna na mumkin ho
Ussay ek khoobsurat mour de kar chorna acha ...

Faqat ek khwaab ki chaah mein har haqeeqat bhula di hum ne
Ab sochtay hain kyon khud ko yeh saza di hum ne
Donoo hi qaid rahay apni anaa ke hisaar mein
Na us ne murr ke dekha na sada dee hum ne
Is umeed pe ke kabhi tu shab-e-gham ki bhi sehar hogi
Tamaam umer tairgee mein hi bita dee hum ne
Rishtay bhi ajnabi thay ajnabi dayyaar ke
Wohi dushman-e-jaan huwa jissay dil mein jaga di hum ne
Ehl-e-duniya dushmani jane kis taur nibha letay hain
Ek dosti nibhaanay mein umer ganwa dee hum ne
Zindagi pehlay bhi kuch itni sehal nahee thee
Phir tujhe chaah ke aur bhi katthin bana lee hum ne
Un ko bhi ho khabar yeh zaroori tu nahee
Jin ki khaatir apni hasti tak mitta dee hum ne
Us ke laut kar aanay ka koi waada thaa na umeed
Jane kyon phir woh raah har shaam taki hum ne ...

Khwaab toote huwe dil dukhaatay rahay
Dair tak woh humein yaad aatay rahay
Kaat lee aanso'oun mein shab-e-hijr yun
Shair kehtay rahay, gungunaatay rahay

Teri justujoo paraaee huwi, gham nahee
Yeh tassali bhi apne leye kam nahee
Hum ne tum se kiya thaa jo ehad-e-wafa
Saans jab tak chali, hum nibhaatay rahay

Us ne dhoka diya bhi tu phir kya huwa
Jee na maane ke us ko kahain bewafa
Zakhm us se jo bakhshish mein hum ko milay
Ek saleeqe se dil mein sajaatay rahay

Jis ke kadmoon tallay dil bichaatay rahay
Jis ke ilzaam sar pe uthaatay rahay
Aaj dekho lagaata hai tohmat wohi
Umer bhar aib jis ke chupaatay rahay

Kis ko mujrim kahain ab karain kya gilla
Tarq-e-talluq na unki na meri raza
Apni qismat mein 'Nida' woh thaa hi nahee
Khwaab palkoon pe jis ke sajaatay rahay ...

[QUOTE]
Originally posted by zawanfira: *
**Muqaddar
*

Mein woh larki hoon
Jis ko pehli raat
Koi ghoonghat uttha kar yeh keh day
Mera sab kuch tera hai ... Dil ke siwa ...

Parveen Shakir
[/QUOTE]

:)