~ Few Selections ~

Tumhari bheegti palkoon se mein ne baarhaa poocha
Ke dil ke khail mein kya jeetne wale bhi rote hain
Woh jin ki chasme khudbee auroo ko dekha nahee karti
Bhala kis gham se dil ke taar mein mooti pirote hain

Tumhari bheegti palkoon se mein ne baarhaa poocha
Ke kya maaninde sheesha patthar mein baal aata hai
Assar angaiz hai ab tak muhabbat ka wohi jazba
Jo aise hosh mandoo ko bhi yun pagal banata hai

Tumhari bheegti palkoon se mein ne baarhaa poocha
Mizaaje husn mein yun yak bayak kya inqilaab aaya
Sitaara dekhna aur dekh kar afsurda ho jaana
Bari taakheer se tum ko sitaroon ka hisaab aaya

Tumhari bheegti palkoon se mein ne baarhaa poocha
Ke tarke rabt per kya mujh se wehshi yaad aate hain
Ta'aluq torna asaan thaa tu kyon aankh yeh nam hai
Ana parwar, jafa paisha bhi yun aansoo bahaate hain

Tumhari bheegti palkoon se mein ne baarhaa poocha
Ke jalne aur jalaane mein bhala kyon lutf aata hai
Bas ek jhooti ana ke waste barbaad hojaana
Khudi ke zeam mein insaan kitne dukh uthaata hai

Hum tu woh log hain
Jo na kisi ke dast-e-shumaar mein hain
Na kisi ki nigaah ke hisaar mein hain
Yun haise koiho sadeyoon ka ba-ant safar
Sehra sehra phirta koi khaak basar
Kya poochte ho kaun hain hum
Jaan lo humain tu tumhein maloom ho
Hum tu woh log hain jeevan de kar bhi
Kisi ke dil mein maskan na bana paaye
Aise jaise koi ek maddham si kiran kisi rozan se ubhre
Andheray ki fasiloon par charhay
Aur doob jaye
Jaise ik na mehsoos chubhan jo zindagi
Ke seene mein sada dair tak chubhti he rahe
Dil ki dharkan se bagawat kare
Aur daar charhay
Kya batain ke hum kaun thay aur kya hain ab
Ke hum tu kisi ki yaad mein nahee hain yaar se
Kisi ki rooh mein dharakte huwe dildaar se
Hum tu jugno bhi nahee ke kisi ki ankh mein chamakte
Kisi ko sanwarte
Hum tu ansoo ki tarah hain
ankh se tapke aur doob gaye
Ghar se nikle aur be-smit musafat mein
Muhabbat ki aas mein darbadar phirte huwe
Kisi benaam shaam ki nazar huwe...

Kal tak tu thee zindagi tamaashaa bani huwi
Aur aaj zindagi khud tamashaaeyoon mein hai ...

Na dilaa'ey ab mujhe koi muhabbat ka yaqeen
Jo mujhe bhool nahee saktay thay wohi bhool gaye ...

*Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai
Wohi aasmaan wohi baadal wohi aansoo
Wohi raat wohi yaadain wohi andhaira
wohi shaam wohi shama wohi aarzoo
Dharti bhi ard bhi wohi, gaggan bhi samaan bhi wohi
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...

Wohi tanhayee wohi weeraani wohi san'naatta
Wohi falak wohi sitaray wohi beqaraari
Wohi faaslay wohi dooreyaan wohi ajnabeyyat
Tum ab bhi waheen ho jahaan hamaisha thee
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...

Wohi dil wohi jaan wohi dharkan
Wohi tasveer wohi khwahish wohi armaan
Wohi baat wohi khushboo wohi rang
Mein ab bhi waheen hoon aur tum ab bhi waheen
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...

Wohi pyar wohi zindagi wohi muhabbat
Wohi geet wohi ghazar wohi naghma
Wohi mausam wohi phool wohi mehak
Mere leye tum aaj bhi wohi ho kal bhi wohi rahogi
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...

Wohi galeyyaan wohi koochay wohi makaan
Wohi tamanna wohi ek baam-o-dar
Wohi aas wohi aik hi raah guzar
Raahain aaj bhi tumhein hi pukaara karti hain
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...

Zindagi ke yeh lamhay aaj bhi waheen kharay hain
Chand gharreyyoo pe wakt jaise ruk gaya ho
Manzil ke rastay mein yeh morr aaj bhi sadayain dete hain
Mera aaj bhi wohi hai jo mera kal thaa

Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...*

Hai wohi aasmaan, zameen wohi
Maah-o-anjum ussi tarah raushan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaleyaan mehak rahi hain yunhi
Baad muddat ke saaray pardesi
Apne apne gharoon ko aaye hain
Har taraf rang-o-bou ka mela hai
Aur tanha mein apne kamre mein
Kab se bethi hoon aur soch rahi hoon
Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere
Jo guzashta barass thee raunaq
Ab woh kaheen bhi nazar nahee aati
Hai fiza mein ek ajeeb sa san'naatta
**Haan faqat ek tere chale jaanay se
Aisa mehsoos horaha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf tu aee hai
Sirf chote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee aee
...

Yun tu zindagi mein hazaroon loug aatay hain aur chale jaatay hain magar jeewan mein aik baar aisa koi zaroor milta hai jissay be-ikhteyaar apna kehne ko ji chaahata hai.. Dil us ki raah mein khushiyaan bikherne ko machal uth'ta hai aur us ke har gham ko apne ander samoo lene ko ji chaahata hai...

Rab'ul'Izzat us ke chehre ko itni khoobsurati se taraashta hai ke woh chehra hamare dil ki ghehraeyoo mein apni yaadain pewast kar ke phir aik dam hum se zindagi ke anjaane mour per
hamesha hamesha ke leye juda hojaataa hai...

Phir na jaane kyon woh haseen chehra bhulaye nahee bhool paata, us ki yaadoon ki kirchiyaan dil mein paiwast hokar reh jaati hain... Agar un ko dil se nikaala jaaye tu takleef hoti hai...
Aur agar waise hi rehne diya jaaye tu dukh bardasht se baahar hojaata hai...

Yeh sulaghti yaadain ashkoon ke siwa kuch nahee deti...

Kaun hai jo taqdeer se yeh poochay ...

Kyon bicharte hain aise loug jin ki baatain
un ki yaadain ban jaati hain...

V.nice bahot hi zabardast ghazal

ye last wala tu aisa lagta hi key mere dil

sey nikla hai sirf chote se mere aanagan mein eid ab k e baras nahee
:teary3: is bar to eid nahin

Nazam,

Aap ka shukriya ke aap ne meri thread ko visit kiya and please dont be sad ... Cheer up ...

Yeh tu asool-e-fitrat hai ke dukh ke beej waheen jaan pakarte hain jahaan tawaqqua'aat ke dareya thaathain marte nazar ate hain. Hum had se zeyada tawwaqqua'aat rakhte hain isliye mayoos bhi hote hain. Umeed ka suraj jitna charhta chala jata hai, ta'alluq ki zameen utni hi tap kar bhatti banti jati hai. Phir humein sirf huqooq yaad rehte hain, faraaiz bhool jate hain. Jahaan bahut zeyada tawuqqa aur maan ho waheen dil ka kaanch peyaala har rut mein toot'ta rehta hai...
*
Yunhi hansi hansi mein hum
diloon se khail jaate hain
Koi choti si theekhi baat
Koi chubhta huwa jumla
Koi zehar alood lejha
Koi be-zarar si zu-maeni baat
Sun'ne wale ke dil per ghaoo laga jati hai
Phir kitne hi talafi ke marham lagao
Qatra qatra khoon tapakta hi rehta hai
Woh aansoo jo aankh se girta hi nahee
Ander hi ander jam jata hai
Barf per gire, moum ke qatray ki tarha
Aur woh barf tu shayad wakt ki garmi se
Phighal jati hai
Magar woh qatra jab pighalne lagta hai
Phail jaata hai
Barh jata hai, bas khatm nahee hota
Aur
Yunhi hansi hansi mein hum
Diloon se khail jate hain ...*

*Kaise kahain ke jaan se pyara nahee raha
Yeh aur baat ab woh hamaara nahee raha

Aansoo tere bhi khushk huwe aur mere bhi
Naam ab kisi nadi ka kinaara nahee raha

Kuch din tumhare laut ke aane ki aas thee
Ab is umeed ka bhi sahaara nahee raha

Rastay maah-o-najm ke tabdeel hogaye
In khirkiyoon mein aik bhi taara nahee raha

Samjhay thay dosron se mukhtalif tujhe
Kya maan lain ke tu bhi hamaara nahee raha

Hathoon pe bujh gaye hai muqqadar ki kehkashan
Ya raakh ho gaya woh sitara nahee raha

Tum aitbaar us ke leye kyon udaas ho
Ek shaks jo kabhi bhi tumhara nahee raha ...*

Dil mein ek lehar si utthi hai abhi
Koi taaza hawaa chali hai abhi
Shaur barpaa hai khaana-e-dil mein
Koi deewaar si girii hai abhi
Kuch tu naazuk mizaaj hain hum bhi
aur yeh chout bhi naee hai abhi
Bhari duniya mein ji nahee lagta
Jaane kis cheez ki kami hai abhi
Tu shareek-e-sukhan nahee hai tu kya
Hum-sukhan teri khaamooshi hai abhi
Yaad ke be-nishaan jazeeroon se
Teri awaaz aa rahi hai abhi
Shehar ke bechiraag galeyoon mein
Zindagi tujh ko dhoondati hai abhi
So gaye loug us haveli ke
Ek khirki magar khuli hai abhi
Tum tu yaaroo abhi se uth baithe
Shehar mein raat jaagati hai abhi
Wakt acha bhi ayega 'Nasir'
Ghum na kar zindagi pari hai abhi ...

Zakhm taaza hon tu unhain kuraida nahee kartay
Dard barh jaye tu ashk chupaaya nahee kartay
Kabhi zindagi mein aise bhi mor aatay hain
Kuch log bichar kar dobaara mila nahe kartay
Dil mein muhabbat ke pholoon ko khila kar
Gulshan mein baharoon ko bulaaya nahe kartay
Rakhtay hain qufl laboon pe, per ankhoo ke aenay
Muhabbat ki sachaee ko jhutlaaya nahee kartay
Tarap jaaye dil siskeyyaan dam tor dain
Per dastaan-e-gham kisi ko sunaaya nahee kartay
Chalak jayain gar rukhsaar pe ashk palkoo ko hara kar
Mutthi mein chuppa letay hain 'Fiza' dikhaaya nahe kartay ...

Socha na thaa aisa wakt ayega ke
Koi hamare pyar per sawal uthaayega
Duniya ne is mor per laa ker khara kiya
Is baat ka ghum na thaa
Per tu ne ruswa kiya yeh shene ka dam na thaa
Saagar se ghehri di tanhaee ke
Ab tu teri yaad bhi rulaati hai
Woh doobti kashti meri kahaani sunaati hai
Is darakht ke jhartay pattay sataate hain ke
Yeh bhi teri bewafae ki
Dastaan sunaatay hain
Yeh gul baagh kuch yaad dilaata hai
Per hamari manzil woh tanha sagar sunata hai
Jis mein doob kar tujhe batana hai ke
Tu na sahi tera pyar hamaara hai kyo ke
In aankhoon ki nami un ghehraeyoo mein ghul jayegi
Aur teri yaad phir kabhi na sateyegi ...

*din, haftoo mein, haftay, mahenoo mein aur mahenay saal mein badal jate hain aur is dauraan kitna kuch hi badal jata hai siwae chand cheezoo ke jin mein se ek Intezaar bhi hai chahay kitna wakt hi guzar jae koi sa bhi mausam ho yeh intezaar peecha nahe chorta...

Saleem Kausar ke yeh nazm 'Intezaar' is tamaam kefeyat ko hi samoye huwe hai jo aap sab ki nazar hai ...*

**
Mun aangan mein shehar basa hai, shehar mein ek dareya behta hai
Jis mein chand sitare darpan, kabhi na totne wale bandhan
Kaheen na bholne wali yadain, tooti phooti kuch fareyadain
Raushan din aur jhilmil raatain
Lafz adhooray, poori raatain
Lehroo per umadtay jazbay behtay jayein
Koi kahani kehtay hayein
Haray bharay pairoo per shakhain sayoo ki zanjeer banayein
Dareya mein aflaak nahayein
Ander ke sab bhaid kinare khultay jayein
Mun angan mein shehar basa hai
Shehar mein ek darya behta hai
Darya ki lehroo mein rastay
Rastoo mein an dekhay sapne khile huwe hain
Khwab, dhanak, khushbo aur chehre mile huwe hain
Taiz hawa mein deep samay ke jale huwe hain
Lekin shehar ke darwazay per
Bekhwabi ke dukh sukh orhay
Jane kis ki aas mein ankhain
Neendoo ka pehra deti hain ...**

wow...u have a very nice taste...but...almost all the ghazals are sad...plz. post some happy ones as well...Thankoo 4 sharing these classics..!

*
Haye woh wakt-e-judae ke tumhare aansoo
Gir ke daaman pe banay thay jo sitaray aansoo
Laal-o-gohar ke khazanay hain yeh saray aansoo
Koi aankhoon se chura le na tumhare aansoo
Teri aankhoon mein agar hoon tu sitaray aansoo
Meri aankhon mein agar hoon tu becharay aansoo
In ko Nasir na kabhi aankh se girnay daina
Un ko lagtay hain meri aankh mein pyaray aansoo*

*
Woh kamra yaad aata hai
Mein jab bhi zindagi ki chil'chilaati dhoop mein tapp kar
Mein sab se lar kar
Aur khud se haar kar jab bhi us ek kamray mein jata thaa
Woh halkay aur ghehray neelay rangoon ka ek kamra
Woh be-had meharbaan kamra
Jo apni narm mutthi mein mujhe aise chupa laita thaa
Jaise koi maan bachay ko aanchal mein chupa kar
Pyar se daanti yeh kya aadat hai
Jalti dopehar mein maray maray ghoomtay ho tum
Woh kamra yaad aata hai
Kuch zara mushkil se khulnay wala woh sheesham ka darwaza
Ke jaise koi akkar baap apne khurdray seenay mein
Shafqat ke samundar ko chupaye huwe ho
Woh kursi aur us ke sath woh jurwa behn
Us ki woh donoo dost thee meri
Woh ek gustaakh munh phat aaenaa jo dil ka acha thaa
Woh behangum si almaari jo konay mein khari
Ek buri ammaan ki tarah aaenay ko tanbheeh karti thee
Woh ek guldaan nannha sa bara shaitaan un donoo per
Hansta thaa dareedha zahaanat se bhari yeh ek muskurahat
Aur dareechay per woh jhuki huwi bail
Koi sabz sargoshi
Kitabain shelf per
Sanjeeda ustaani bani betheen magar sab muntazir
Ke mein un se kuch pochoon
Sarhaanay neend ka saathi thakan ka karagar
Woh narm dil takeyya
Mein jis ki gaud mein sar rakh kar chatt ko dekhta thaa
Chatt ki karioon mein janay kitnay afsanoon ki karreyaan theen
Woh choti maiz per aur samnay dewaar per awezaan
Tasverain mujhe apnaeyyat se aur yaqeen se dekhteen thee
Muskuraati theen
Unhain shak bhi nahee thaa ke ek din
Mein un ko chor jaoonga
Ek din yun bhi jaonga ke phir waapis na aaonga
Mein ab jis ghar mein rehta hoon
woh bahut hi khoobsurat hai
Magar aksar yahaan khamosh betha
Yaad karta hoon
Woh kamra baatain karta thaa ...*

*
Yeh chiragh-e-benazar hai ye sitara bezubaan hai
Abhi tuj se milta julta koi dosra kahan hai

Wohi sahks jis par apne dil-o-jaan nisar kardoun
Woh agar khafa nahi hai to zaroor badgumaan hai

Kabhi pakee tuj ko khona, kabhi khokee tuj ko pana
Yeh janam janam ka rishta tere mere darmiyaan hai

Mere saath chalne wale tujhe kya mila safar mein
Wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka asmaan hai

Unhi rastoun ne jin pe kabhi tum the saath mere
Mujhe rok rook poocha tera hamsafar kahan hai ...*

***
Chaand tu kisi falak ko
Naseeb hi se milta hai
Mein ne kab
Kisi mahtaab ke leye
Koi bechain aarzoo ki thee
Mein ne tu sirf
Apne aasmaan ke leye
Taaray maangay thay ...***