[QUOTE]
Originally posted by zawanfira: *
Kabhi waapis na aaonga
Magar tum dheyaan rakhna
Tu mujh ko yaad kar lena...
[/QUOTE]
:( bohat khoob...
I wrote something like that, too.
[QUOTE]
Originally posted by zawanfira: *
Kabhi waapis na aaonga
Magar tum dheyaan rakhna
Tu mujh ko yaad kar lena...
[/QUOTE]
:( bohat khoob...
I wrote something like that, too.
Un se mile bhi hum tu judai ke mor par
Kashti huwi naseeb tu dariya nahee raha
**
Kehtay thay ek pal na jeyenge tere bagair
Hum donoo reh gaye hain woh wada nahee raha**
Kaate hain is tarha se tere baad shab-o-roz
Mein saans le raha thaa per zinda nahee raha
Aankhein bhi dekh dekh ke khwab aa gaee hain tang
Dil mein bhi ab woh shauk woh lapka nahee raha...
[QUOTE]
*Originally posted by zawanfira: *
Bohat khoob...
mashaAllah
Zindagi ki raahoon mein
Baar'haa yeh dekha hai
Sirf sun nahee rakha
Khud bhi aazmaaya hai
Wah!
Is duniya mein sathi tu bahut mil jaayenge lekin
Kisi ko yun akela chorna acha nahee hota
Na jaane kis ke dil mein kis tarha ka chor betha ho
Yun sab ke saamne dil kholna acha nahee hota
Khabar kya kis ghar saare wafaoon ko woh thukra de
Kisi ko is qadar bhi chaahana acha nahee hota
Lakeeroon ko lakeeroon ka hi darjah do tu behta hai
Lakeeroon mein muqqadar dekhna acha nahee hota ...
Very amAziN :k:
KahAN say liya ye sab?
apNAy dil say?
ya kitaab say? ![]()
ya kidarh aur se?
Keep up the good work bhai! ![]()
Arif Nawaz, thanks for sharing your wide collection.
Ofcourse I have not read all of them, but the ones I have read are all very nice.
Thanks once again.
Main ne khud masdood kar rakhe hein apne raaste
Mera dushman khud mere apne siva koyee nahin
Aarzoo ke dasht mein, kuch khawahishon ki simt mein
Chal raha hoon main agarche raasta koyee nahin
Dil ke hai ik goonjtee khamoshiyoon ke shaher sa
Shor sa barpaa hai lekin bolta koyee nahin
Sab mere chehre pe mattii dekhte hein ghour se
Raasta kitna kathin tha sochta koyee nahin
Aye mere sab an-kahe lafzon ko sun'ne wale Rab
Haath phaile hein magar lab per duaa koyee nahin
Woh jise Jawaid khone ka kabhi socha na tha
Ab usay paane ka shayad raasta koyee nahin ...*
Dono hee qaid rahay apni an'a kay hisaar main
Na us nay murh ke daikha na sada dee hum nay
Es umeed pe ke kabhi to shab-e-gham ki bhi sahar ho gee
Tamaam umar teeragi main hee bita dee hum nay
Rishtay bhi ajnabi thay ajnabi dayaar kay
Wohi dushman-e-jaan hoa jisay dil main jagah dee hum nay
Ahl-e-dunia dushmani janay kis tor nibha laitay hain
Ek dosti nibhanay main umar ganwa dee hum nay
Zindagi pahlay bhi kuch itni sahal nahi thee
Phir tujhay chah ke aur bhi kathin bana li hum nay
Un ko bhi ho khabar yah zaroori to nahi
Jin ki khatir apni hasti tak mita dee hum nay
Us kay laut kar aanay ka koi waada tha na umeed
Janay kyoon phir woh raah har shaam taki hum nay ...*
Woh jo tal jaati rahi sar se bala shaam ke baad
Koi tu thaa ke jo deta thaa dua shaam ke baad
Aahain bharti hain shab-e-hijar yateemoon ki tarah
Sard ho jaati hai har roz hawa shaam ke baad
Shaam tak qaid raha kartay hain dil ke andar
Dard hojaatay hain saaray hi riha shaam ke baad
Log thak haar ke so jaatay hain lekin janaan
Hum ne khush ho ke tera dard saha shaam ke baad
Shaam se pehlay talak laakh sulaaye rakhain
Jaag uth'ti hai muhabbat ki ana shaam ke baad
Chaand jab ro ke sitaroon se galay milta hai
Ek ajjab rang ki hoti hai fiza shaam ke baad
Hum ne tanhaee se poocha ke milogi kab tak
Us ne bechaini se forun hi kaha shaam ke baad
Mein agar khush bhi rahoon phir bhi mere seenay mein
Sougwaari koi roti hai sada shaam ke baad
Tum gaye ho tu seyah rang ke kapray pehnay
Phirti rehti hai mere ghar mein qaza shaam ke baad
Laut aati hai meri shab ki ibaadat khaali
Jaanay kis arsh pe rehta hai Khuda shaam ke baad
Koi bhoola huwa gham hai jo musalsal mujh ko
Dil ke pataal se deta hai sada shaam ke baad
Maar deta hai ujjar jane ka dohra ehsaas
Kaash ho koi kisi se na juda shaam ke baad...*
Taqseem ho ke reh gaye sad kircheyoon mein hum
Naam-e-wafa ka qarz ada bhi na kar sakay
Nazuk mizaaj log thay hum jaise aaeena
Tootay kuch is tarah ke sada bhi na kar sakay
Khush bhi na rakh sakay tujhe hum apni chaah mein
Achi tarah se tujh ko khafa bhi na kar sakay
Aisa salook kar ke tamashaee hans parain
Koi gila gudaaz, gila bhi na kar sakay
Hum muntazir rahay, koi mashq-e-sitam tu ho
Tum maslehat shanaas, jafa bhi na kar sakay...*
Azeez-e-jaan hamesha jin ko samjha
Wohi ab dushman-e-jaan ho gaye hain
Bahut din baad hum roye hain itna
Ke aansoo, daagh dil ke dho gaye hain
Kaee misray hain dhundhlaaye huwe say
Ghazal ke shair aansoo ho gaye hain
Jo aansoo ponchnay walay thay mere
Kahaan ja kar woh aakhir so gaye hain...*