~ Few Selections ~

beautiful:flower1:

Thank you BrokenSky ...

Gaye dinoo ka suragh lekar kidhar se aya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi thaa mujhe tu hairaan kar gaya woh

Khushi ki rutt ho ke gham ka mausam, Nazar ussay dhondati hai har dam
Woh boo-e-gul thaa ke naghma-e-jaan mere tu dil mein utar gaya woh

Woh mekaday ko jagane wala woh raat ki neend urrane wala
Najaane kya us ke ji mein aee shaam hote hi ghar gaya woh

Kuch ab sambhalne lagi hai jaan bhi badal chuka rang-e-aasman bhi
Jo raat bhari thee tal gaee hai jo din karra thaa guzar gaya woh

Shikasta paa rah mein khara hoon gaee dinoo ko bula raha hoon
Jo qafila mera hamsafar thaa misal-e-gard-e-safar gaya woh

Bas ek manzil hai bul-hawas ki hazar rastay hain ehal-e-dil ke
Yehi tu hai farq mujh mein us mein guzar gaya mein thehar gaya woh
**
Woh jis ke shanay pe haath rakh kar safar kiya tu ne manziloo ka
Teri gali se na jane kyon aaj sar jhukaye guzar gaya woh**

Woh hijar ki raat ka sitara, woh ham-nafas ham sukhan hamara
Sada rahe us kaa naam pyara suna hai kal raat mar gaya woh

Na ab woh yadoon ka charhta dariya na fursatoon ki udas barkha
Yunhi zara si kasak hai dil mein jo zakhm ghehra thaa bhar gaya woh

Woh raat ka be-nawa musafir, woh tera shayar, woh tera 'Nasir'
Teri gali tak tu hum ne dekha phir na jaane kidhar gaya woh ...

B0hat kh00b zawanfira…
Nice selection…
Hum akser aa aa ker paRhtay haiN aap kee umda selections. Keep it up :k:

:k:

Bohat khoob.

Thank you very much WiseGuy and Swera...
Keep on visiting for the regular updates ...

Hum ne maana ke thakan bahaana hoti hai
Tum hi kahoo... kisi ki khaatir
Kyon koi sab se bhagaawat karta
Aur phir woh ... ? Jis ke nazareyey mein
Khouf se lekar ikhteyaar tak
Sab jhoot hai
Aur kuch nahee
Per phir bhi ... ussay
Meri dharkanoon mein galtaan chaahat
Wafa paish karti thee
Us ko paana meri khwaahish hi nahee
Zid bhi thee
Magar...
Jab barsaat beet gaee
Tu mein ne dil ki tarah
Zid ko bhi toot'tay dekha...

Zindagi ki raahoon mein
Baar'haa yeh dekha hai
Sirf sun nahee rakha
Khud bhi aazmaaya hai
Tajrabo'oun se saabit hai
Jo bhi kartay aaye hain
Us ko theek paaya hai
Is tarah ki baatoon se
Manziloon se pehlay hi
Saath choot jaatay hain
Loug rooth jaatay hain
Yeh tumhein bata doon mein
Chahatoon ke rishtay mein
Phir girah nahee lagti
Lag bhi jaaye tu us mein
Woh kashish nahee rehti
Aik pheeka pheeka sa
Raabta tu rehta hai
Taazgi nahee rehti
Rooh ke taa'luq mein
Zindagi nahee rehti
Baat woh nahee banti
Dosti naehe rehti
Laakh baar mil kar bhi
Dil kabhi nahee miltay
Zehan ke jharokoon mein
Yaad ke darechoon mein
Titleyoon ke rangoon mein
Phool phir nahee khiltay
Is liye mein kehti hoon
Is tarah ki baatoon mein
Ehteyaat kartay hain
Is tarah ki baatoon se
Ijtenaab kartay hain...

**
Aankhain bhi wohi hain, tu dareecha bhi wohi hai
Aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai
Jis ne mere jazboon ki sadaaqat ko na jaana
Ab meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai
Is dil ke kharabay se guzar ki ka huwa hai
Aankhain bhi wohi, hont bhi, lehja bhi wohi hai
Jo kuch kahaa thaa meri tanhaee ne tujh se
Is shehar ki deewaar pe likha bhi wohi hai
Woh jis ne mujhe ko deye muhabbat ke khazanay
Baadal ki tarah aankh se barsa bhi wohi hai ...**

Kis qadar seyaah hain din
Aur sufaid raatain hain
Maut ki khaamoshi mein
Zindagi ki baatain hain
Wakt ruk gaya hai aur
Chaand taare chaltay hain
Bujh gaya hai yeh sooraj
Jism saare jaltay hain
Dekhte hain haath aur pair
Aankh sochti hai ab
Lab sillay huwe hain aur
Soch bolti hai ab
Saans ab dharakti hai
Dil lahoo mein behta hai
Jism hai mera lekin
Koi aur rehta hai
Dard hain mere lekin
Koi aur sehta hai
Dushmani hai yaaroon se
Bolti hain tasveerain
Raaz saari duniya ke
Khoolti hain tasveerain
Khaar mein hai khushboo aur
Phool khoon rulaatay hain
Raastay bhi seedhay hain
Manzilain bhi aasaan hain
Na koi musaafir hai
Na hi koi samaan hai
Khwahishain nahee hain aur
Na hi hai koi maqsood
Jism-o-rooh ka rishta
Ab kaheen nahee moujood ...

Wohi chaand hai wohi main hoon
Woh bhi akela hai mein bhi akela hoon
Wohi us ki roshni wohi raat aur wohi khamoshi
Sab kuch wohi sab kuch waheen
Magar woh nahee hai
Woh kyon nahee hai
Kahaan hai woh
Mein akela kyon hoon
Hazaar sawaal
Magar jawaab aik bhi nahee
Jawaab ....
Jawaab shayad sirf us ke paas hai
Jo kal tak mere paas thee
Jo kal tak mere saath thee
Magar aaj woh jaa chuki hai
Meri zindagi se mere khayaloon se
Meri baatoon se meri raatoon se
Magar nahee gaee tu mere is dil se
Dil ki dharkanoon se dharkanoo ki ghehraeyoon se
Ghehraeyoon ke samundar se
Saundar ki lehroon se
Lehroon ke bhanwar se
Aur jitna mein is bhanwar se bachta hoon
Woh aur mujhe yaadoon ki ghehraeyoon mein khenchta hai
woh mere dil se nahee gaee
Kaheen nahee gaee aur na kabhi jaayegi
Yeh woh bhi jaanti hai aur mein bhi
Magar phir bhi us ne kaha
Bhool jaoo mujhe

Bhool jaoon ? kaise bhool jaoon ? Kyon bhool jaoon ?
Namaazi namaaz bhool sakta hai
Magar Khuda ko nahee bhool sakta
Mein ussay nahee bhula paaoonga
Na aaj... Na kal... Na kabhi ....

**Zinda rahein tu kya hai jo mar jayein hum tu kya
Duniya mein khamoshi se guzar jayein hum tu kya

Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne
Ek khwaab hai jahaan mein bikhar jayein hum tu kya

Ab kaun muntazir hai hamaare liye yahaan
Shaam aa gae hai laut ke ghar jaayein hum tu kya

Dil ki khalish tu saath raheygi tamaam umer
Dariyaa-e-Gham ke paar uttar jayein hum tu kya...**

Tumhein yaad hai na
Hamaari aakhri mulaqaat ki raat
Aankhoon se barasti barsaat ki raat
Mein ne tum se kahaa thaa na
Juda tum se ho kar
Jee tu longi lekin
Gar tumhari ijazat ho tu
Tumhari yadoon ka sahara chaheyey mujh ko
Tumhein yaad hai naa
Mein ne tum se kaha thaa
Ek yehi hi aasra chaheyey mujh ko
Magar janaan
Yeh kya kiya tum ne
Apni yadoon ko cheen liya tum ne
Mujh se mere jeene ka
Aakhri sahaara cheen liya tum ne
Ab kya karoon janaan
Ke ab zinda reh nahee sakti
Mazeed dard seh nahee sakti
Apne bardasht ki hadoon ko
Choo rahi hoon mein
zindagi se ab bichar rahi hoon mein
Apna wada poora kar rahi hoon mein
Tumhein yaad hai naa
Woh aakhri mulaqaat ki raat
Yehi hi kahaa thaa mein ne ...

Kabhi kabhi tanhaee mein
Khud ke leye
Kuch sa'attain mil jaati hain
Aksar kisi puraani kitaab mein
Kisi sookhe phooli ki surat
Yaadain mil jaati hain

Kabhi kisi purkhaar rastay mein
Kaantoon ki chubbhan mein
Manzil ka yaqeen ban kar
Yaadain mil jaati hain

Kabhi kisi ajnabi ki surat mein
Kisi apne ki shabeeh ban kar
Yaadain mil jaati hain

Kabhi chalte qalam mein
Lafzoon ki surat
Jazbay ban kar
Yaadain mil jaati hain

Judaee ke mausam mein
Darwaaze ke pat thaamay
Intezaar ban kar
Yaadain mil jaati hain

Tanha khare kisi rastay mein
Hawaoon ke dosh per
Kisi ki sada ban kar
Yaadain mil jaati hain

Kabhi kisi talkh baat mein
Laraztay hontoon ki
Meethi sargoshi ban kar
Yaadain mil jaati hain

Kabhi kisi ke juda hojaane per
Aansoo ban kar
Aankhoon se behte huwe
Yaadain mil jaati hain

Poori zindagi ko khoojo tau
Kisi ki yaad ban kar
Kayee yaadoon mein
Yaadain mil jaati hain

Kabhi haal ki lambi raatoon mein
Barsaatoon mein
Maazi ki baarish ban kar
Yaadain mil jaati hain

Haan... Aksar ...

Kabhi kabhi tanhaee mein
Khud ke leye
Kuch saa'attain mil jaati hain
Aksar kisi puraani kitaab mein
Kisi sookhe phool ki surat
Yaadain mil jaati hain...

Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne
Ek khwaab hai jahaan mein bikhar jayein hum tu kya

:k:

Thanks …

Yeh mour bhi ayega kabhi socha bhi nahee thaa
Hajoom-e-dostan mein hogi tanhae kabhi socha bhi nahee thaa

Kyon hogaye pathar se yeh paoon hamaare
Hum ne tu ussay murr kar dekha bhi nahee thaa

Kisi ke sath chalne ki umeed bhi kya hoti
Hamaare sath tu apna saaya bhi nahee thaa
**
Dil yeh nadaan ke ab tak yaad karay hai ussay
Jis ne ek baar palat ke dekha bhi nahee thaa**

Yeh kaise maan lain hum ko samajh na saka
Woh shaks jo iskadar saada bhi nahee thaa

Is taa'luq ko nibhane mein gharz apni bhi thee shaamil
Ke tanha rehne ka hum mein hausla bhi nahee thaa

Jab yeh socha ke bhar hi jayega guzarte wakt ke saath
Tab zakhm ki ghehraee ka andaaza bhi nahee thaa

Shikwa jisay hamesha in aans'oun se raha
Aaj yaad aaya tu aankh mein aik sitaara bhi nahee thaa...

Katt hi gaee judae bhi kab yun huwa ke mar gaye
Tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye

Tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain
Jaane woh tu kidhar gaya jaane woh hum kidhar gaye
**
Raahoon mein hi milay thay hum raahain naseeb ban gaeen**
Tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gaye

Woh bhi ghubar-e-khak thaa hum bhi ghubar-e-khak thay
Woh bhi kaheen bhikhar gaya hum bhi kaheen bikhar gaye

Koi kinaar-e-aab-e-jo baitha huwa hai sar-nigoon
Kashti kidhar chali gaee jaane kidhar bhanwar gaye

Tere leye chale thay hum tere leye thehar gaye
Tu ne kahaa tu ji uthay tu ne kaha tu mar gaye

Wakt hi kuch judae ka itna taweel hogaya
Dil mein tere firaq ke jitne thay zakhm bhar gaye...

Yeh waada hai mera tum se
Kabhi waapis na aaonga
Magar tum dheyaan rakhna
Jab kabhi tum khwaab mein dekho
Koi tooti huwi kashti
Koi ujjra huwa aangan
Diya koi bhuja dekho
Ya dekho maut ka maatam
Tu mujh ko yaad kar lena...

*Chain aaya zindagi ko inqalabaatoon ke baad
Ab na wehshat na junoon un ki inayatoon ke baad

Qias aur farhaad ke qissay tu paa-reena huwa
Ab muhabbat ka nishan hum hain rewayatoon ke baad

Allah Allah jazb-e-ulfat ka karishma dekheyey
Gham mein lazzat aagaee un se mulaqatoon ke baad

Maikaday mein maikashi se rok na waai'z mujhe
Aur meri pyaas barhti hai teri baatoon ke baad

Is tamanna per keye hain zindagi bhar rat-jagay
Wasl hoga un ka haasil hijar ki raatoon ke baad

Kaat kar shakhoon ko islah kar raha hai baagh'baan
Kaun si taameer hogi in kharabaatoon ke baad
**
Ay dost aanso'oun se dagh-e-dil kab dhul sakay
Chand mein hai dagh ab bhi kitni barsatoon ke baad*...