Aur is kay saye
Phailnay lagtay hain
Tab mera dil yehi soochta hai
Keh yeh shaam
Itni khamoosh kiun hai
Shayed yeh bhi meri tarha
Kisi kay intezaar may
Dhal rahi hai...
[QUOTE]
Originally posted by zawanfira: *
Aur is kay saye
Phailnay lagtay hain
Tab mera dil yehi soochta hai
Keh yeh shaam
Itni khamoosh kiun hai
Shayed yeh bhi meri tarha
Kisi kay intezaar may
Dhal rahi hai...*
[/QUOTE]
bohat khoob
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
bohat khoob
[/QUOTE]
Thanks Dilsay and welcome on my thread ... :)
Woh jo lut mujh pe thaa paishtar
Woh karam ke thaa mere haal per
Mujhe sab hai yaad zara zara
Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Woh naye gillay woh shikaayatain
Woh mazay mazay ki hikaayatain
Woh har ek baat pe roothna
Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Koi baat aisi agar huwi
Ke tumhare ji ko bura laga
Tu bayaan se pehlay hi bolna
Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Kabhi hum mein tum mein bhi chaah thee
Kabhi hum mein tum mein bhi raah thee
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashnaa
Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Woh bigarna wasl ki raat ka
Woh na maan'na kisi baat ka
Woh nahee nahee ke har aan sadaa
Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Jissay aap gintay thay aashnaa
Jissay aap kehtay thay ba-wafaa
Mein wohi hoon Momin-e-mubtila
Tumhein yaad ho ke na yaad ho...
Hum ne khushiyoon ki tarah dukh bhi ekhattay dekhay
Safah-e-zeest ko paltoge tu yaad aaonga
Issi andaaz mein hote thay mukhaatib mujh se
Khat kisi aur ko likhoge tu yaad aaonga
Sard ratoon ke mehakte huwe sannatoon mein
Jab kisi phool ko choomoge tu yaad aaonga
Ab tere ashk mein hontoo se chura leta hoon
Haath se khud inhain ponchoge tu yaad aaonga
Shaal pehnayega ab kaun December mein tumhein
Baarishoon mein kabhi bheegoge tu yaad aaonga
Aaj tum mehfil-e-yaraan pe ho maghroor bahut
Jab kabhi toot ke bikhroge tu yaad aaonga
Hadsay ayenge jeevan mein tu tum hoke nidhaal
Kisi deewaar ko thaamoge tu yaad aaonga...
Aansoo tere bhi khushk huwe aur mere bhi
Naam ab kisi nadi ka kinaara nahee raha
Kuch din tumhare laut ke aane ki aas thee
Ab is umeed ka bhi sahaara nahee raha
Rastay maah-o-najm ke tabdeel hogaye
In khirkiyoon mein aik bhi taara nahee raha
Samjhay thay dosron se mukhtalif tujhe
Kya maan lain ke tu bhi hamaara nahee raha
Hathoon pe bujh gaye hai muqqadar ki kehkashan
Ya raakh ho gaya woh sitara nahee raha
Tum aitbaar us ke leye kyon udaas ho
Ek shaks jo kabhi bhi tumhara nahee raha...
Wohi tanhayee wohi weeraani wohi san'naatta
Wohi falak wohi sitaray wohi beqaraari
Wohi faaslay wohi dooreyaan wohi ajnabeyyat
Tum ab bhi waheen ho jahaan hamaisha thee
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...
Wohi dil wohi jaan wohi dharkan
Wohi tasveer wohi khwahish wohi armaan
Wohi baat wohi khushboo wohi rang
Mein ab bhi waheen hoon aur tum ab bhi waheen
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...
Wohi pyar wohi zindagi wohi muhabbat
Wohi geet wohi ghazar wohi naghma
Wohi mausam wohi phool wohi mehak
Mere leye tum aaj bhi wohi ho kal bhi wohi rahogi
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...
Wohi galeyyaan wohi koochay wohi makaan
Wohi tamanna wohi ek baam-o-dar
Wohi aas wohi aik hi raah guzar
Raahain aaj bhi tumhein hi pukaara karti hain
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...
Zindagi ke yeh lamhay aaj bhi waheen kharay hain
Chand gharreyyoo pe wakt jaise ruk gaya ho
Manzil ke rastay mein yeh morr aaj bhi sadayain dete hain
Mera aaj bhi wohi hai jo mera kal thaa
Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi tau hai...
nice:flower1: