Donoo ko aasakeen na nibhaani muhabbatain ...
**
Donoo ko aasakeen na nibhaani muhabaatain
Ab parr raheen hain hum ko bhulaani muhabbatain
Sab sar-basar faraib hain kya in ka aitbaar
Yeh pyar, husn, ishq, jawani, muhabbatain
Kin ki rafaqatoon ke deye waastay magar
Us ko na yaad aayeen puraani muhabbatain
Guzri rutoon ke zakhm hi ab tak bharay nahee
Phir aur kya kisi se barhaani muhabbatain
Jane woh aaj kaun se rastay se aaye ghar
Har morr har gali mein bichaani muhabbatain
ya dil ki haalatoon ka bayaan sab ke saamnay
Ya apne aap se bhi chupaani muhabbatain
Nafrat ke waastay kabhi fursat nahee milee
Hai apni mukhtasir si kahaani muhabbatain ...**
Lamhay*
Bahut shukriya ke ap ne meri thread ko baess-e-tareef samajh kar reply kiya ... Is thread ka har lafz jissay pukaar raha thaa, hakeekat hai ke dua agar dil se ki jaye tu raegaan nahee hoti ... Khush raho hamesha abaad raho .. Ameen
K H A L I S H
**
Kabhi kabhi dil yeh chaahata hai
Tumhari shaamoon ka haal poochoon
Sawaal poochoon
Ke fikar-e-farda mein kaisi guzri
Yunhi kabhi meri naam aaya tumhare hontoo pe ek pal ko
Meri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bhi rastoon mein
Kabhi kisi din tumhari subha ke dar per
Jaagi sadaay-e-dastak
Kabhi ibaadat ki kaifeyat mein
Tumhein mera bhi gumaan guzra
Tumhare sehan-e-dua se mera bhi dheyaan guzra
Kabhi kabhi dil yeh chaahata hai sawaal poochoon
Magar mein chup hoon
Hamare mabain yeh jo
Deewar-e-ajnabbeyyat hai yeh ganeemat hai
Issi mein tauqeer-e-harf-o-lab hai
Yaheen pe tark-o-talab ki had hai ... **
S A N D A I S A
*
Ussay kehna ...
Ussay kehna kabhi milne chala aaye
Hamaare paoon mein jo raasta thaa
Raastay mein pair thay
Pairoon pe jitni taeroon ki toleyaan
Hum se mila karti theen
Ab woh urtay urtay thak gaeen hain
Woh ghanni shaakhain jo hum per saya karti theen
Woh sab murjha gaeen hain
Tum ussay kehna
Kabhi milne chala aaye
Laboon per lafz hain
Lafzoon mein koi daastaan, qissa kahaani
Jo ussay aksar sunaatay thay
Kissay ja kar sunaayenge
Bataayenge
Ke hum mehraab-e-abroo mein sitaray tankne walay
Dar-e-lab, bosa-e-izhaar ki dastak se aksar kholne walay
Kabhi bikhri huwi zulfoon mein hum
Mehtaab ke gajray bana kar bandhne walay
Chiraag aur aaenay ke darmeyaan
Kab se sar-e-saahil kharay maujoon ko tak'tay hain
Ussay kehna
Ussay hum yaad kartay hain
Ussay kehna
Hum aa kar khud ussay miltay
Magar maqtal
Badaltay mausamoo ke khoon mein rangeen hai
Aur hum
Qataar ander qataar
Aise bahut se mausamoon ke darmeyaan
Tanha kharay hain
Jaane kab apna bulaawa ho
Ke hum mein aaj bhi
Ek umer ki waraftigi aur
Whehshatoon ka raqs jaari hai
Woh baazi jo bisaat-e-jaan se khaili thee
Abhi hum ne
Na jeeti hai na haari hai
Ussay kehna kabhi milne chala aaye
Ke ab ki baar shaayad
Apni baari hai ...*
Zakhm taaza hon tu unhain kuraida nahee kartay
Dard barh jaye tu ashk chupaaya nahee kartay
Kabhi zindagi mein aise bhi mor aatay hain
Kuch log bichar kar dobaara mila nahe kartay
Dil mein muhabbat ke pholoon ko khila kar
Gulshan mein baharoon ko bulaaya nahe kartay
Rakhtay hain qufl laboon pe, per ankhoo ke aenay
Muhabbat ki sachaee ko jhutlaaya nahee kartay
Tarap jaaye dil siskeyyaan halaak hojaayain
Per dastaan-e-gham kisi ko sunaaya nahee kartay
Chalak jayain gar rukhsaar pe ashk palkoo ko hara kar
Mutthi mein chuppa letay hain 'Fiza' dikhaaya nahe kartay...
Aji aap ki tu har adaa dil lubhaati hai …
Khush rahain … !
Baat niklegi tu phir dooor talak jaayegi
Log bewajha udaasi ka sabab poochenge
Yeh bhi poochenge ke tum itni pareshaan kyo ho
Ungleyaan uthenge sookhay huwe baaloon ki taraf
Ek nazar dekhenge guzray huwe saaloon ki taraf
Chooreyoon per bhi kaee tanz kiye jaayenge
Kaanptay haathoon pe bhi fikray kassay jaayenge
Log zaalim hain her ek baat ka taana denge
Baatoon baatoo mein mera zikr bhi le aayenge
Un ki baatoon ka zara sa bhi assar mat laina
Werna chehray ke ta’assur se samajh jaayenge
Chahay kuch bhi ho sawalaat na karna un se
Mera baray mein koi baat na karna un se
**Jo tum ne thaan hi li hai
Hamare dil se niklo ge
To itna jaan lo pyare
Wafa ki seerhion per har qadam phela hua
Yeh aarzo'on ka lahoo zaya na jaey ga
Samandar samne hoga agar sahil se niklo ge
Sitare, jin ki aankhon ne hamain ek saath dekha tha
Gawahi dene aaein ge
Purane lafzon ki balkoni se bohat se lafz jhankein ge
Tumhein wapis bulaein ge
Tumhain daman se pakrein ge
Tumhari jaan khaein ge
Chupa ker kis tarah chehra
Bhari mehfil se niklo ge
Zara phir soch lo janan
Nikal to jao ge shayad
Magar mushkil se niklo ge...**
Samajhte thay magar phir bhi na rakhi dooriyaan hum ne
Chiragoon ko jalaane mein jalaa lee ungleyaan hum ne
Koi tit'lee hamaare paas aati bhi tu kyaa aati
Sajaaye umr bhar kaagaz ke phool aur pateyaan hum ne
Yunhi ghut ghut ke mar jaana humein manzoor thaa lekin
kisi kam-zarf per zahir na kii majboriyann hum ne
Chiragoon ko jalaane mein jalaa lee ungleyaan hum ne
Hum us mehfil mein bas ik baar sach bole thay ay 'Zahir'
Zuban per umr bhar mehsoos ki chingariyaan hum ne ...
Mujhe tum nazar se gira tu rahe ho
Mujhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
Na jaane mujhe kyon yakeen ho chala hai
Mere pyar ko tum mitta na sakoge
Meri yaad hogi jidhar jaaooge tum
Kabhi naghma ban ke, kabhi ban ke aansoo
Tarapta mujhe har taraf paaoge tum
Shama jo jalaee hai meri wafa ne
Bhujaana bhi chaaho, bhuja na sakoge
Mujhe tum nazar se ...
Kabhi naam baaton mein aaya jo mera
Tu bechaain ho ho ke dil thaam loge
Nigahoon mein chaahega gham ka andhera
Kisi ne jo poocha sabab aansoon ka
Bataana bhi chaaho, bata na sakoge
Mujhe tum nazar se ...
Mujhe tum nazar se gira tu rahe ho
Mujhe tum kabhi bhi bhula na sakoge ...