~ Few Selections ~

Us ki hasrat hai jise dil se mitta bhi na sakoon
Dhoondnay us ko chala hoon jise paa bhi na sakoon

Daal kar khaak mere khoon pe qaatil ne kaha
Kuch yeh mehandi nahe meri ke mita bhi na sakoon

Us ke pehlu mein jo leja ke sula doon dil ko
Neend aisi use aye ke jagaa bhi na sakoon

Naqsh-e-paa dekh to loon laakh karonga sajde
Sar mera arsh nahi hai ki jhukaa bhi na sakoon

Bewafa likhte hain woh apne kalam se mujh ko
Yeh woh qismat ka likha hai jo mita bhi na sakoon

Is tarha soye hain sar rakh kar mere zanoon per
Apni soee huwi qismat ko jaga bhi na sakoon ...

*Udaaseyaan jo naa laatay tu aur kya kartay
Na jashn-e-shola manaatay tu aur kya kartay
Andhera maang'ne aaya thaa roshni ki bheek
Hum apna ghar na jalaatay tu aur kya kartay *

DARD RUKTA NAHEE EK PAL BHI
ISHQ KI YEH SAZA MIL RAHI HAI
MAUT SE PEHLE HI MAR GAYE HUM
CHOUT NAZROON KI AISI LAGI HAI

Dard rukta nahee ek pal bhi

Bewafa itna ehsaan kar day
Kam se kam ishq ki laaj rakh lay
Do qadam chal ke kandhaa tu de day
Tere aashiq ki mayyat uthi hai

Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi

Raat kat'ti hai gin gin ke taaray
Neend aati nahee ek pal bhi
Ankh lagti nahee ab hamaari
Ankh us but se aisi lagi hai

Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi

Do qadam reh gaya thaa kinaara
Yak ba yak aa ke moujoon ne ghera
Dekho ay ehl-e-saahil tamaasha
Meri kashti kahaan doobti hai

Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi

Is kadar mere dil ko nichora
Ek qatra lahoo ka na chora
Jagmagaati hai jo unki khilwat
Woh mere khoon ki roshni hai

Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi

Larkharaata huwa jab bhi maaraaa
Un ki rangeen mehfil mein pohancha
Dekh kar mujh ko logoon se bola
Yeh wohi bewafa aadmi hai

Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi ...

Zindagi ki talkheyoon se aashna karta gaya
Bewafa thaa woh mujhe bhi bewafa karta gaya

Yeh hakeekat hai khushi se dairpaa hota hai ghum
Har naye gham ko zamaana dairpaa karta gaya

Mere sir se khench kar woh apni yadoon ki rida
Mujh ko mere shehar mein be-aasra karta gaya

Ruk gaya jab mein tu ghehray paaneyoon ki jheel thaa
Aur chala tu jangaloon mein raasta karta gaya

Meri kashti ko dobooya us ne saahil ke kareeb
Mujh pe yeh ehsaan mera nakhuda karta gaya

Ittefaqqan woh mila aur nagahaan rukhsat huwa
Mujh ko meri zaat se lekin juda karta gaya ...

Yaad beetay dinoo ki dilaatay ho kyon
Main bahut ro chuka, ab rulaatay ho kyon

Kab yeh main ne kahaa hai, ho tum Bewafa
Apni majbooreeyan tum bataatay ho kyon

Gar naheen hi kisi ke gunheghaar tum
Apna munh is jahaan se chupaatay ho kyon

Kya milega tumhein raakh ke dhair se
Khaak mein mujh ko aakhir milaatay ho kyon

Surkh hai khoon-e-dil mera, ay sanam !
Apne haathoon mein mehndi lagaatay ho kyon

Dekh kar mujh ko kehta hai yeh, aaenaa
Aankh nam hai tu phir muskuraatay ho kyon

Hoon khatawaar, mein khud chalaa jaaonga
Apni mehfil se tum uth ke jaatay ho kyon

Dostoon ki tarha mat milo, theek hai
Dushmanoo ki tarha paish aatay ho kyon

Jab ay "Saahil" huwa tum se woh Bewafa
Tum bhi apni taraf se nibhaatay ho kyon ...

great…:k:
although i have read it before in poetry section, but i liked it even more this time. I guess it was arifnawaz who posted this earlier.

Is dil ne tere baad muhabbat bhi nahee ki
Hud yeh ke dharaknay ke jisarat bhi nahee ki

Tabeer ka aizaaz huwa hai ussay hasil
Jis ne mere khwaboon mein shirakat bhi nahee ki

Ulfat tu bari baat hai hum se tu saray shehar
Logoon ne kabhi dhan se nafrat se bhi nahee ki

Adabay-e-Safar ab woh sikhaatay hain jinhoon ne
Do chaar qadam tu yeh musafat bhi nahee ki

Kya apni safae mein beyaan detay ke hum ne
Na kardah gunahi ki wazahat bhi nahee ki

Khamosh tamashaee ki manand sar-e-bazm
Sau zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahee ki

Us ghar ke sabhi log mujhe chorne aaye
Dehleez talak us ne yeh zehmat bhi nahee ki

Us ne bhi ghulamoon ki sufhoo mein humein rakha
Is dil pe kabhi jis ne hukumat bhi nahee ki ...

[QUOTE]
*Originally posted by Galaxy: *

although i have read it before in poetry section, but i liked it even more this time. I guess it was arifnawaz who posted this earlier.
[/QUOTE]

You are absolutely rite ...

If you just think a little hard and read my nick reverse ... you will get the answer ... ! Thanks for your visit :)

Bohat nice :k:

:flower1:

Bohat khoob.

nice slection:k:

Zabardast keep sharing ur selection Zawanfira:)

Innocent_Prince

Thank you very much for appreciating ...

Swera

Thanks again for your visit and nice to see you back ...

MANAN

Thanks ...

Yaad tumhari jab jab aaye beetay dinoo ki yaad dilaaye
Laakh bhulaana chaahoon tujh ko dil deewana bhool na paaye

*
Phool hi phool thay kal raahoon mein
Qadam qadam pe aaj hain kaantay
Tum bichray tu kaun hain ab jo
Dard yeh mere dil ka baantay
Do din pyar yeh khwaab dikha ke
Saari umer kyon dil khoo jaaye

Teri talaash mein dar dar bhatkay
Gali gali aawaaz lagaee
Kahaan kahaan na dhoonda tujh ko
Surat teri nazar naa aaee
Awaazain dein kyon dil us ko
Wakt kabhi jo laut na aaye

Yeh anhooni kyon ho jaaye
Jaagi qismat kyon so jaaye
Sab kuch mil kar ek pal mein hi
Ek pal mein sab kuch khoo jaaye
Aansoo pee kar kab tak koi
Pyaasay dil ke pyaas bhujaaye

Laakh bhulaana chaahoon tujh ko dil deewana bhool na paaye
Yaad tumhari jab jab aaye beetay dinoo ki yaad dilaaye ...*

[thumb=E]dil_ke_veeraane17849_4338670.JPG[/thumb]

[QUOTE]
*Originally posted by zawanfira: *

Swera

Thanks again for your visit and nice to see you back ...

[/QUOTE]

you are welcome.

You didn't even notice i wasn't here:D

:flower1: great

[QUOTE]
*Originally posted by Swera: *

You didn't even notice i wasn't here:D
[/QUOTE]

I noticed thats' y I said nice to see you back ...
Thanks again for visiting ...

Thanks MANAN …
Im glad to see you are continuously visiting my thread for the update …

Saare sapne kaheen khoo gaye
Haaye hum kya se kya hogae

Dil se tanhaee ka ehsaas jeeta
kya kahein hum pe kya kya na beeta
Tum na aaye magar jo gaye
Haaye hum se kya se kya hogaye

Tum ne hum se kaheen thee jo baatein
Un ko dohraati hain gham ki raatein
Tum se milne ke din tu gayee
Haaye hum se kya se kya hogaye

Koi shikwa na koi gila hai
Tum se kab hum ko yeh gham mila hai
Haan naseeb apne hi sogaye
Haaye hum se kya se kya hogaye ...

Bedardi balma tujh ko mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhoon se woh SAwan yaad karta hai
Kabhi hum saath guzray in sajeli raahoon se
Khizaan ke bhais mein girtay hain ab pattay chanaroon se
Yeh raahain yaad karti hain yeh gulshan yaad karta hai
Koi jhonka hawa ka jab mera anchal uraata hai
Gumaan hota hai jaise tu mera daaman hilaata hai
Kabhi chooma thaa jo tu ne woh daaman yaad karta hai
Wohi hain jheel ke manzar wohi kirnoon ki barsaatain
Jahaan hum tum kiya kartay thay pehroo pyar ki baatain
Tujhe is jheel ka khamosh darpan yaad karta hai
Bedardi balma tujh ko mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhoon se woh SAwan yaad karta hai...

Ek udaas kamray mein
Raat ke andheroon mein
Soch ke darechoon mein
Yaad ke jharokoon mein
Ek diya sa jalta hai
Sochtay hain kis tarah
Us ne zindagaani ko
Dukh bhari kahaani ko
Mua'ttbar banaaya hai
Mukhtasir banaaya hai...