baad muddat unhe.n dekh kar yuu.N lagaa
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarazuuo.n ke gul muskuraane lage
jaise gul_shan me.n jaan-e-bahaar aa gayaa
Aab agar Ye say aya na tu.... phir.....
Aik muddat tairi banhoon main guzaari hum ne
Kaise guzray ka zamana shab-e-tanhae ka
"Alif"
Lolzzzzz…dhamki haan … ![]()
Shukar hai.... aur wo dhamkee nahi thee.... agar ya say hoota tu phir behi jawab tu denna heee tha na....
aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii
aab bataye janab ke Ye kuon laya hai ![]()
Ye safar hai zindagi ka , yeh na kat sakay ga tanha
Jo yeh jaan lo munasib, mujhe humsafar bana lo
“Vao”
vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa
Asay hee… ![]()
Ittnay buzdil tu na thay ghair ki batain suntay
hum ko dharka tha jahan main tairi rusvae ka
"Alif"
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
Ab aap male hain ya female....yeh aankhon par pattee hai ya sar se sarka hua dupatta? :)
capri wesay baal nahi hain na sar per khud se andaza laga lo na ![]()
Itna chalaak hota to in haalon ko puhanchta!! ![]()
Acha laga ya jaan kar ka koyal ka demagh behi hai…
![]()
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Acha laga ya jaan kar ka koyal ka demagh behi hai....
:)
[/QUOTE]
lo kar lo gal agar koyal ka demagh na hota tu urtey utey kesay idher udher jati wohi per pari rahti na :)
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
lo kar lo gal agar koyal ka demagh na hota tu urtey utey kesay idher udher jati wohi per pari rahti na :)
[/QUOTE]
Pari howee tu waheen par hai samajah rahee hai ka urrr rahee hai....
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Pari howee tu waheen par hai samajah rahee hai ka urrr rahee hai....
[/QUOTE]
Aankho par se pattee hatao aur khayalon kee duniya se nikal aao meree jaan.....yeh samajhtee hai tabhee to urtee hai, aap ne jahan aakhree baar usay dekha tha ab wahan naheen hai ur chukee hai, aap ko lagta hai ke waheen hai :D
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
[/QUOTE]
Kaafi hai shab-e-gham ke liye ik diya bhi logo
iss door main chooti se sadaqat bhi bohat hai
"Ye"
ye bataa de mujhe zindagii
pyaar kii raah ke hamasafar
kis tarah ban gaye ajanabii
ye bataa de mujhe zindagii
phuul kyuu.N saare murjhaa gaye
kis liye bujh ga_ii chaa.Ndanii
ye bataa de mujhe zindagii
Yeh taan-o-tashna, talkh batain mujhe jalanay ko ker rahay ho tumhari bataon se mairay dil ko qarar aaya tu kia karo gay ?
"Ye"