Female vs Male bait bazi!....

Nabeena janam laiti haioolaad bhi uss ki
jo qoom diya kerti hai tavan main aankhain

"Noon"

na shikaayate.n na gilaa kare
ko_ii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baate.n kiyaa kare

Champion of the champions… :hula:

Yeh jis ko tum ne uthaya hua hai kaandhay per
Yehi tu hai jo maira ghar jalae jata hai

"Ye"

Yeh bikhre huey phool, yeh bikhrey huey taarey
Khushboo sey mehaktey huey darya key kinaaray

Ye khoob kiya hai, ye zisht kiya hai, yaha ki asal sarisht kiya hai
bara maza ho tamaam chehray agar koi be naqaab kar day

ye saaraa jism jhuk kar bojh se duharaa huaa hogaa
mai.n sajde me.n nahii.n thaa aap ko dhokaa huaa hogaa

us ke ghum mein sissakte rahee zard patoon mein chup ke hawaa
jis ke hontoon pe pehkee hansee dekh kar loog hanste rahae
likh kar naam us ka her chees per hum to ghar apna sajate rahae
dekh ke ghar ke dar o dewaar loog hanstae rahae

Yeh na thee humari qismat key wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeetay rehtey, yahi intezaar hota
Terey waadey per jiye hum. tu yeh jaan, jhoot jana
Key khushi sey mar na jaatey agr a-tebaar hota

[QUOTE]
*Originally posted by ghazal kisi ke: *
us ke ghum mein sissakte rahee zard patoon mein chup ke hawaa
jis ke hontoon pe pehkee hansee dekh kar loog hanste rahae
likh kar naam us ka her chees per hum to ghar apna sajate rahae
dekh ke ghar ke dar o dewaar loog hanstae rahae
[/QUOTE]

just to say welcome

thanks dilsay:flower1:
aa kasmakas zindagee ja tera bahla ho
lae dekh mere bebasee ja tera bahla ho
ro ro ke saba ashk bahane lage to tub
pohloon ko milee tazgee ja tera bahla ho

Voo aa tu jaya magar intazar he kam hai
Voo bewafa tu nahi mara piyar he kam hai

Yeh kaisa dour hai aalam pe chae jata hai
ke aab tu aadmi insaan ko khae jata hai

"Ye"

I knew if it is from you it will be ending on Ye.....

yahaa.N se ab kahii.n le chal Khayaal-e-yaar mujhe
chaman me.n raas na aayegii ye bahaar mujhe

Lolz... bhi muqabila isse hi tu kehtay hain ...

Ye kaisay loog hain phoolon ko roondhtay hain jo
Kahan gae ke jo ujray chaman basatay hain

"Noon"

Shukar hai....

na kah saaqii bahaar aane ke din hai.n
jigar ke daaG chhil jaane ke din hai.n

Na janaay kuon aankhon main basa hai
Nazar main har taraf maila laga hai

"Ye" ...apna shukar vapis le lain...mujh se koi baeed nahi ..lol

Pata hai....

ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate

Yoon mairay ashq chalak jaatay hain aankhon se Saroosh
Jaisay be-sakhta sagar se chalak jae sharab

"Bay"