Female vs Male bait bazi!....

yaad kisii kii chaa.Ndanii ban kar koThe koThe utarii hai
yaad kisii kii dhuup hu_ii hai ziinaa ziinaa utarii hai

Yeh aur baat chupa lo tumhain hua kia hai
vagarna chehra batata hai saaniha kia hai

"Ye"

yuu.N unakii bazm-e-Khaamoshiyo.n ne kaam kiyaa
sab ne merii muhabbat kaa ehataraam kiyaa

Aik rooz tairi bazm ki roonak bhi yehi tha
Jo aaj tairi bazm se khamoosh utha hai

"Ye"

ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham
chaaraagar roye.nge aur Gam_Khvaar ban jaaye.nge ham

Main tairay liye koi naya harf nahi hon
Mujh ko tairi nazron ne kae baat perha hai

"Ye"

ye nikhato.n kii narm ravii ye havaa ye raat
yaad aa rahe hai.n ishq ke TuuTe ta'alluqaat

Tairay milnay se pehlay soochna tha
Jo main tujh se bichar ke soochta hon

"Noon"

na tum mere na dil meraa na jaan-e-naatavaa.N merii
tasavvur me.n bhii aa sakatii nahii.n majabuuriyaa.N merii

Yeh aur baat ke aankhon ne bevafae ki
vagarna kis ko khabar the hamain hua kia hai

"Ye"

yuu.N terii rahaguzar se diivaanaavaar guzare
kaa.Ndhe pe apane rakh ke apanaa mazaar guzare

Yoon guzaari hum ne apni zindagi
jaisay jabran koi samjhoota kia

"Alif"

Aaja Ke Abhi Zabt Ka Mausam Nahi Guzra
Aaja Ke Pahaaron Pe Abhi Barf Jami Hai
Khushboo Ke Jazeeron Se Sitaron Ki Hadon Tak
Is Sheher Mein Sub Kuch Hai Bas Ik Tery Kami Hai

[QUOTE]
Originally posted by arifnawaz: *
**Yeh jo zindagi ki kitaab hai yeh kitaab bhi kya kitaab hai
Kaheen ek haseen sa khwab hai kaheen jaan-leva azaab hai
*
[/QUOTE]

Arif Alif... chal raha tha

Yeh aur baat ke hum per aayan nahi kartay
vagarna tum bhi samajhtay ho mud-dua kia hai

"Ye"

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

yaa mujhe afsar-e-shaahaa na banaayaa hotaa
yaa meraa taaj gadaayaa na banaayaa hotaa

Aakhir-kar dil ne maani haar
Jaanay kitni vazahaton ke aaivaz

"Zoad"

Sorry...

zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii