Female vs Male bait bazi!....

Lagta hai log chale gaye... !

Nae asmanon ki talash main sargardaan the magar
Aik dasht ki sayyahi ke baad puranay thikanay achay lagay

"Ye"

Yehi hai zindagi, kuch khwaab chand umeedain
Tum in khilaunoo se behal sako tu chalo

Voh shakse mairi laash pe aaya na ro saka
Ussko mairay sukoon ka kitna khayal tha

"Alif"

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

Now look who has brought “Ye” :snooty:

**yeh maujazah bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhay **
**key sang tujh peh giray aur zakhum aye mujhay! **

“Ye” …lol

yaa mujhe afsar-e-shaahaa na banaayaa hotaa
yaa meraa taaj gadaayaa na banaayaa hotaa

Abhi Raah Mein Kayee Mod Hain, Koi Aayega Koi Jaayega
Tumehin Jis Ne Dil Se Bhula Diya, Use Bhoolne Ki Dua Karo

"Vao"

vafaa ke shiish mahal me.n sajaa liyaa mai.n ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa mai.n ne

Noon

Najm-e sehar ke chehre se Insha itni bhi umedaiN na lagao
Aisa bhi ham ne dekha hai aksar raat katte aur subha na aye.

(Ibn-e Insha)

Next word: "Ye"

Yaar ak tu main is Ye say tang aa giya hoon....

yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai

*yeh to nahin gilaa sung maare raqeeb nein *
*dekha tujhe jo saath zaraa aankh bhar gayee *

"Ye"

Yar ak kay kis piyar ka nam Ye say tu shooru nahi hoot...

yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

ye bustee hai sitamm perwardagan ki
yahan koi kissi se kam nahi hai,...!

"Ye"

Kuon jee ? male guppies ne har maan li ? :D

ye bataa de mujhe zindagii
pyaar kii raah ke hamasafar
kis tarah ban gaye ajanabii
ye bataa de mujhe zindagii
phuul kyuu.N saare murjhaa gaye
kis liye bujh ga_ii chaa.Ndanii
ye bataa de mujhe zindagii

Ye qafas hi mujhko azeez hai yahan ji tu longa qarar sey
mujhey ab chamman main na lay chalo main dara hua hoon bahar sey!

Yoon he mosum ki ada dekh ke yaad aya hai
Kis qadar jald badal jatay hain insan janaN

Nahi taira nashaiman qasr-e-sultani ke gumbad per
Tu shaheen hai basaira ker paharon ki chatanon per

"Ray"

raat behad chup hai
aur us kaa andheraa surmagii.n
shaam pa.Date hii damakate the jo rango.n ke nagii.n
duur tak bhii ab kahii.n
us kaa nishaa.N milataa nahii.n