mmm so all gs membran eid kay mazoon main gum hay or bohat kam member ikka dukka online nazar arahay hain .. aisa lag raha hay jaisai koi sunday kay din subah subah 7 bajay roads per nikal ayee
khair
main yahan chand sawal post ker rahee hoon ..plz jis ko bhi waqt millay to zaroor jawab dain ..takay hum bhi eid ka maza lay sakain : )
1**>(formales)** eid namaz kay baad app nay kitnay logooN say muaaaniqa (hugs)kia .or kis ki perfume pasand ayee : P
**2>( for females) **jub app nay eid kay pooray sola singhaar ker leye to kis kis nay app ki tareef ki or kin lafzoon main kee ? : D
3 >Kia app zara soochnay kay bad bata saktay hain k sub say pehlay app nay kis ko eid mubarak kaha or kis nay app ko ?
4 >** (for wifes)** app kay husband nay app ko kitnee Eidi dee ..or kia foran day dee ya app ko kaafe minnatain kerne pereen
5 > ( for husbands) app ki wife ki tyaarree ( araaish o zebaaish) kia app ki pasand k mutabiq thee or app nay kin lafzoon main tareef ki ? wub
6 > kia app nay personally apnay net friends ko Eid mubarak kaha? .. like eid cards .sms or pmz or mails ?
7 > eid kay din app milna milaana pasand kertay hain ya Sona or apnay mashaagil main masroof rehna ?
8 > kia app nay apnay profile main Friends list ka jo maila Akhta kia hoa hay
Eid k din un ko bhi yaad rakha ? dont say DuaaoN main is k ilawa bataain !
9> Eid per app nay kon say kapray pehnay …app ki khud k pasand kay thay ya dosray kee
10 > app Eid ko ik mazhabee tehwaaar k ilawa is din ki khushee ko kin lafzoon main bayan ker saktay hain ?