^
My Father ![]()
1*>(for males)* eid namaz kay baad app nay kitnay logooN say muaaaniqa (hugs)kia .or kis ki perfume pasand ayee : P
Koi 15 , 20 hooNgay ... perfume pe kisi k goaaR nahi kia
3 >Kia app zara soochnay kay bad bata saktay hain k sub say pehlay app nay kis ko eid mubarak kaha or kis nay app ko ?
house mates ko .......
6 > kia app nay personally apnay net friends ko Eid mubarak kaha? .. like eid cards .sms or pmz or mails ?
Do , teen LoggON ko calls ki ... thats it .. liknay se jaaN jatee hai so i dont write sms, pms or mails ..... aint me
7 > eid kay din app milna milaana pasand kertay hain ya Sona or apnay mashaagil main masroof rehna ?
Milna pasand kartay haiN .. lakin shaam k kuch waqt khud k saath guzarnay ko bi dil karta hai
8 > kia app nay apnay profile main Friends list ka jo maila Akhta kia hoa hay Eid k din un ko bhi yaad rakha ? dont say DuaaoN main is k ilawa bataain !
Koi hum Nafas nahii koi meharbaaN nahi hai .. Got noone is my list :D
9> Eid per app nay kon say kapray pehnay ...app ki khud k pasand kay thay ya dosray kee
GoY k Amaah ne baraY aarmaan se Kurta pajama send kia tah pakistan se .. lakin mein hoodie or jeans mein hi namaz parne chala gaYa ...
10 > app Eid ko ik mazhabee tehwaaar k ilawa is din ki khushee ko kin lafzoon main bayan ker saktay hain ?
eid .. or dosRay sab tehwaaR ghar walooN k saath mana'ay jatay haiN .....
or hum jaYsoo ko eid k din khushi nahii aksaaR khasak hi hotee hai :)
almost 75
and my ittar was the best ![]()
raat isha kee namaaz kay baa’d sub masjid maiN mojood logoN ko… aur phir ussi raat ammi abbu aur ghar waaloN ko phone par ![]()
naheeN .. sirf eid mubaarak receive hee kee… but publically sub ko GS par eid mubaraak kahaa thaa ![]()
milnaa milaanaa… bahut ziadah…
personally kissi ko khud say PM naheeN kiyaa
I posted my clothes’ pic in images forum thread… yeh ammi laayeeN theeN pakistan say
and I love them… i have one more with black kurtaa of the same kind… that is my favorite most..
Allah kay shukar kay ilawah koi aur tareeqa samajh maiN hee naheeN aataa khushi ko bayaan karnay kaa ..