dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

Allah ka shuker hai aur aagay se farq bhi hai blood presure tow hai nhi albata head presure zaroor tha papers thay na…!

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

anchor-------> jahaz ka langer
beard-------> darhi
Riddle------->chhalna-----> punjabi mein chhanana boltay hain jis se saaf kertay hain gandum etc

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

Bottle and welcome ko urdu mai kya kehtey hain?

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

**-****copy se meri muraad naql se thii
-btw, biyaaz Diary ko kahte **haiN :slight_smile:
-thali is a Hindi word and iskaa urdu meN tarjuma hogaa thali = seenii, NOT plate!

**langar kaafii hai :slight_smile: yahaN ek bahooot baareek saa farq hai … langaR لنگڑ] Hindi kaa lafz hai jab k لنگر] urdu kaa lafz hai [RE] end meN hai.

daaRhii aasaan urdu meN to saHii hai magar sikii mushkil waalii urdu bataayeN :smiley:
**

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

Bottle = botal
welcome = Khush-aamded/istiqbaal

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

Keen eyes ko kya kehte hain?

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

nigaah-e-shauq, chashm-e-shauq

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

Aur vigillance ko kya kehtey hain?

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

**chaukasii, Khabar-daarii, hoshiyaarii, nigehbaanii
**

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

:jazak:

How abt binders?

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

**mujallid, jild-saaz
**

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

But thts arabic:konfused:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

are baba…urdu meN Arabii aur Faarsii ke hii alfaaz to ziyaada tar haiN…tum ne aaj tak yehii NOTE nahiiN kiyaa? strange! :smiley:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

WO to LP hi naa:shikra:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

:smilestar:

:rotfl:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

I thought binders wud be some v complicated word in urdu:bummer:

:smilestar:

:smilestar: bari hansi aa rahi hai aapko:vivo:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

copy(notebook)…kitaab
computer…it will be computer
plate…rakaabi/tashtari/thaali
hospital…haspaatal/shifa-khana

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

computer: adadi machine

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

ajeeb o ghareeb qisam kay alfaz pooch rahi ho

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

in alfaaz kaa to kisii ne tarjumalation kiyaa nahiiN :smiley: