dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

1 - chaat/balcony
2 - darhi
3 - langar
4 - paheli
5 - qabz

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

whts urdu for ironing :cb:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

**good…magar maiN chaahtaa thaa k koii daaRhii kii bahtar urdu bataaye…kisii ne nahiiN bataayaa…vo lafz hai: reesh
**

Hindi meN Istri, lohaa aur urdu meN aahan kahte haiN :slight_smile:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

mi thek hi es thead mi nahi arahi mujy kuch o naza aya:rotato:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

you could say that too.

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

pakistan main aahan koi nahi kehta balke sab istari hi kehte hain :)

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

MUJY BHI ESI LEAY SAMAJ NAHI AYA THA

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada


haaN...yehii lafz aam muravvij hai. bal k ziyaada tar paRhe likhe log to iron kahte haiN...magar urdu kaa asl lafz aahan hii hai jo shaaz o naadir hii iste'maal hotaa hai...koi aisii kitaab jis meN saqeel urdu paaii jaatii ho to us kitaab meN aahan kaa lafz hogaa...maiN en ek novel meN paRhaa thaa...maiN ne Khud to nahiiN paRhaa thaa kiuN k maiN novels nahiiN paRhtaa...merii sister ne mujh se meaning poochhii thii to maiN ne use lohaa bataayaa to us ne kahaa k it doesn't make sense...to jab maiN ne pooraa jumlaa siyaaq aur sabaaq ke saath paRhaa to pataa chalaa k aahan iron ko kahte haiN. :)

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

indeed thats true. aur jahan tak mujhe pata hai stri/istari hindi main larki ko kehte hain. pehle mujhe bari hairat hoti thi ke yaar yeh kya chakkar hai hum istari iron ko kehte hain aur woh aurat ko. hmmm

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

:@:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada


hahaha...yehii to...ham laRke log university meN jab the to agar koi laRkii guzarti to comment dete k...yaar istri ho to bas ghar waali jaisi ho... :D

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

:smack2: :hehe:

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

hahahaha...acha hai agar maar khane ka khatra ho tou banda foran keh sakta hai ke "iron" ki baat ho rahi thi :p

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

:hanso nahi: :nessy: ja ALLAH ALLAH karlo

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

karli allah allah.

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

main app sabka shukriay ada karna chahta hoon.

yeh thread (dhaga) waqai main bara dil chasp hai.

khas toor par blessed aur fakhta bhai ki post parh kar khoob maza ata hai.

main app logon ka tah e dil mashkoor wa mamnoon ho.

allah tala app kay andaz e bayan ko hamesha tazgi ata farmaye.. aamen

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

[QUOTE]
n alfaaz kaa to kisii ne tarjumalation kiyaa nahiiN
[/QUOTE]

ker diya tha

Re: dekhtay hain urdu kisay aati hai ziyada

awww bohat bohat shukriya STA is hosla afzayi ka. mujhe bhi tumhare jawab parh ke bohat acha lagta hai jab woh is tarah se mukamal urdu main hoon. :hugz: :hugz: