Daal roti, Anda Chawal

rooH afzaa bhii Daal letiiN! :smiley:

[quote="“muqawwee123, post:16, topic:294630"”]

How was that? I think pepsi dominated all flavors.
[/quote]
nahiiN jii…rooH fanaa kaa taste aayaa hogaa! :cb:
[/quote]

Rooh afza koi shadi py peeta hy :smack:

Re: Daal roti, Anda Chawal

OMG

EWWW #10 How Can You Eat Something Like That??!!??

Re: Daal roti, Anda Chawal

kiuN jii? kia yeh qaanoon ke KHilaaf hai? :cb:

Re: Daal roti, Anda Chawal

eeeeeeeeewwwwwwwww…never ever!

have you tried Ginger Jam? i did and it wasn’t too bad! :slight_smile:

Hanji hy :snooty:

Re: Daal roti, Anda Chawal

zaraa reference to deN…qaanoon kii kitaab se…page number aur article, clause aur sub-class ke saath…:smiley:

Re: Daal roti, Anda Chawal

you tried Ginger Jam on French Toast? :p

Re: Daal roti, Anda Chawal


lol nahiiN...roTiis e khaayii thii...meeThaa achaar samajh ke ;)

merii ammaaN marHooma aam ke meeThe achaar [meeThaa arakka (raw mangoes cut into halves and stuffed with masaalaajaat)]...it was sooooo yummy.

bhoojan ghaseeT [achaar] and dessert...2-in-1 :)

Kitab: micro ki
Page no: koi bhe
Reference: naam he kafi hy
Article: rooh afza or khoon me kia farq hy?
Clause: pta nahi :cb:

Re: Daal roti, Anda Chawal

tahnk you…maiN ne check kar liye reference, magar:

reference saHeeH haiN magar maiN phir bhii nahiiN maantaa! :slight_smile:

aisii kitaab ko, aise qaanoon ko maiN nahiiN maantaa!!! :cb:

:sannan:
Na manen hume kia

Re: Daal roti, Anda Chawal

phir itnii maHnat kar ke references kiuN diye? :cb:

Re: Daal roti, Anda Chawal

daal chaawal, nihaari chaawal, karhi chaawal, sabzi chaawal… all are delicious, meray jesey bhookey logon ke liye tou :hehe:

Re: Daal roti, Anda Chawal

Bengali bhai haiN kia? :cb:

Re: Daal roti, Anda Chawal

guR chawal.. Haleem Chawal is another strange combo

Re: Daal roti, Anda Chawal

^^ lol, nahin, lakin bas khaana hona chahiye aur wajah mein nai mention kar di....

Re: Daal roti, Anda Chawal

you mean bhook main piyaz bhi man o salwa lagti hai?

Re: Daal roti, Anda Chawal

gurr chawal bhi khayaa tha aik dafa accha tha :hehe:, haleem hawal khaaney ka kabhi ittefaaq nahin hua.

Re: Daal roti, Anda Chawal

tab Theek hai varna maiN sochtaa k shaayad aapka
asli naam Sohaag ul Hasan ho! :cb:

Re: Daal roti, Anda Chawal

right... no aasraa.