Re: Children molested by family members
Now I'm posting after reading only few posts.
Sub say pehlay to ghalti parents ki wahan hoti hai jub wo quran kay mutabiq naheen chaltay.
Quran main likha hai "aik mard aur aurat kay darmiaan teesra shaitan hota hai". Is tarjumay main kaheen rishtay ka zikr naheen hai kay koi khaas rishta is say alaihida hai. To jub itni bari baat quran main likh di gai hai to phir larkion ki bator e khaas aur larkon ki bhi maain bil umoom kioon is baat ka dhiaan naheen rakhteen kay buchpun say unkon taleem naheen deten aur akelay kisi larkay ya mard khuwaah koi bhi rishta ho kay saath kioon rehnay deteen hain.
Kia larki ki maan nain yay naheen sikhaya tha kay aik larka ya mard (koi bhi rishta ho) akelay nheen hona. Wahan say hut jana hai jub aisa koi situation aay.
Aisa agar larkion ko buchpun say sikha dia jaay to wo door bhagain aisa waqt anay say.
Aaj kaal zamana kharab hai kisi ka bharosa naheen koi rishta qabil e bharosa naeen raha.
So larkion ko akelay main baap say bhi door rehna chahyay aur maaon ko jub wo choteen ho rakhna chahyay.
Main nain aisa kioon kaha? Is liaay kay.
Hamari masi aik hamaray mohallay main kaam karti thi wo batati thi kay aik family kay 3 larkay aur aik hi larki thi maan kabhi bhi kaheen jati thi larki ko saath lay kar jaati thi is liaay kay us aurat nain maasi ko bataya tha kay us kay baap ki niaat kharab hai apnni buchchi pay. Main nain itna hi suna tha aur pata naheen. Main us waqt kafi chota tha laikin baat kuch ghalat hai yay samajh aai thi.
I also heard buchchay masjid main jaatay thay quran parhnay mohallay kay hamaray un main aik sindhi larki bakri charati thi aur hamaray ghar kay paas say guzarti thi to roz pani peenay ati thi to hamari ammi aur choti bahan ki dosti ho gai thi us say wo 14 ya 15 saal ki larki thi meri bahan kafi choti thi laikin ussay pani pilanay say dosti ho gai thi. Apni bakrion ka haal bataya karti thi paani peenay kay dauraan aur bakri kay buchchay goad main lenay deti thi bahan ko.
Molvi sahab do time parhatay thay musjid main shaam kay time pay wo larki bakri charanay wali parhti thi molvi sahab nain chund buchchon kay samnay us ko touch kia sub kay samnay mohallay kay buchchon nain bataya aur baat bohat phail gai. Meri bahan subah jati thi.
Sub buchchay to waisay hi jaatay rahay larkiaan bhi laikin meri ammi nain bahan ko mana kar dia aur ghar main molvi bula lia jo meray bhai kay saath molvi say parhnay lagi.
So yeah kisi ka aitabaar naheen is liaay maan ko un murghion ki tarha hona chahyay jaisay jub unkay buchchon par cheel kawway hamala kartay hain to wo janwar ho kar larti hai aur apnay buchchon ko apnay paron main chupati hai. Main nain yay seen daikh tha is liaay bata raha hoon.
All the single ladies ohhhhh I mean all the maaaiiiinnnn larkion ko hargiz akela na chorain kisi kay saath aur unko seekha bhi dain kay jahan per koi naheen wahan par agar koi larka ya mard ho khuwaah koi bhi rishta ho wahan say ht jana hai.
Karna kia chahyay agar aisa waqia ho jaay to.
Budnami aur naam to Allah denay wala hai so dar kay maray chup naheen rehna chahyay auron ki izzat ko bachahnay kay liaay aur apni beti aur aur logon kay liaay aik achchi misaal bananay kay liaay qadam uthana chahyay.
Kis tarha.
Is tarha kay pehlay to larki kay walid say baat karain aur sub batain phir kahain kay ya to larkay say akelay main baat kar kay uski chitrol achchay say karain ya chund thappar zaroor marain ya larkay kay walid say baat karain. Bahar haal har soorat main larkay ko chitrol zaoor parna chahyay.
Aik baat chitrol paray gi to ainda aisa karnay say daray ga. Mera yaqeen hai agar her jurm karnay walay ko pehli dafa hi chitrol par jaay to dobara qadam uthanay ki jurraat na ho.
Chitrol is a must for him.
Larki ko aur ziada hoshiaar kar dain khaas tor say us say aur doosray mardon say bhi. Is liaay kay mera khiaal hai yay sun kar kuch aur mard bhi koshish kar saktay hain kay baar baar kai aik kay baray main bataay gi to sub larki ko hi jhoota samjhain gay.
Larki ko hamaisha apnay say ziada door na honay dain khuwaah kaheen bhi hon aur kisi jagah bhi hon. Usko kahain hamaisha nazron kay samnay raho.
Larki jaisay hi 8 saal ki ho us ko ahista ahista train karna shuru karain apnay nazron kay saamnay rehnay ka aur toilet waghaira bhi khud lay kar jahin khuwah larki 20 aur 22 ki bhi ho jaay agar kaheen kisi jagah dawat waighaira main gaay hain ya kaheen aur to.
8 saal ki umr say aap nain larki pay zahir huway baghair uski ki sakht nigrani shuru kar dain aur jaisay jaisay umr barhti jaay nigrani sakht karti jain.
Thori si budnami bhi ho sakti hai laikin agar larki shareef hai aur mera yaqeen hai kay shareef ho gi jubhi bata dia warna chupa jaati khauf say bhi aur khud kay ghalat honay ki wajah say bhi to kuch agar larki ko ghalat bolain kay to kuch sahi bhi bolain gay. So darain naheen aur Allah pay bharosa kar kay aur us say dua kar kay zaroor qadam uthain.
Is tarha larki ka aitamad aap pay bahal ho ga kay meray saath kuch ghalat huwa to maan nain qadam barhaya aur ainda khuda na khuwasta kuch huwa to wo bila jhijhuk aap bataay gi doosray wo seekhay gi kay aisay soorat main kis tarha aur kia karna chahay takay wo jub khud maan banay gi to ziada bahtar deal kar sakay gi.
Is kay Ilawa us larkay ko apnay ghar anay pay hamaisha kay liaay pabundi laga dain.
Baqi larkion wali rishtaydaron ko bhi bata kar hoshiyaar kar dain.
Zaroori naheen kay poori baat munzar pay laya jaay yay kah kar kay us nain koshish ki thi pakarnay ki.
Aik aur baat jo main nain ammi say suna tha aik larki ko kisi nain pakarnay ki koshish kar raha tha to us nain cheekh mara tha to loag aa gaay thay.
Larkion ko aisi soorat main cheekhnay ka bhi seekha denay chahyay kay jub koi pakarnay lagay ya haath pakar lay to zor zor say cheekhna shuru kar day. Takay larka khud dar jaay aur loag bhi ikhatta ho jain aur cheekhnay ki wajah say larki buch jaay aur sub ussay bayqusoor bhi samjhain.