main zarad moosam k darad seh kar** gulab lamhay bhola chuki hoon main sarad haath k surmaee dukh sarab lamhon may rakh rahi hoon k aaj us nay mere hathyli per rakh deye hain wo sarey resham gulab lamhay mery muqadar main
**likh deye hain
Katthin hay zindagi kitni
safar dushwaar kitna hay
kabhi paaoN nahi chaltey
kabhi rasta nahiN milta
hamara saath day paey
koi aaisa nahiN milta
faqat aesay guzaroN tu
yeh roz-o-shab nahiN kattay
ye kattay thay kabhi pehley
magar haaN aab nahiN kat`tay
mujhe phir bhi meray Malik
koi shikwa nahiN tujh se
maiN jaaN par khhail sakta hooN
maiN har dukhh jhail sakta hooN
agar to aaj hi kar day
muhabbat hamsafar meri
mansoob thaY jo log meri zindghi k sath
aksar wohi milaY haiN bari be-rukhhi k sath
**
yu tu maiN hans para hooN tumhareY lieY magar
kitnaY sitareY toot pareY ik hansi k sath**
fursat milay tu apna grebaN be dekh laY
aiey dost yu na khail meri be-basi k sath
majborioN ki baat chalie ha tu ma-e kahaN
hum ne pia ha zahar be aksar khushi k sath
chahreY badal badal k mujhaY mil rahaY haiN log
itNa bura salook meri sadghi k sath
karam ki lay be ho jis maiN khaloos be
muj ko gazab ka pyar ha is dushmaNi k sath
**meri sabz rutooN ki jheel maiN
teri zaat he ik phool thii
gulaab thii ik shabab thii
merii khawaishoN ki ameen thii
meiN ne daaN ki sabhi hasrataiN
ye hijaR nahi azaab hai
jo janam janam pe mo'heet hai ye safar nahi talash hai
meri ulfatoN ko bhula dee'ya meri nafratoon ka hisaab hai
meray ruutjagoN ki waja ho tum
meray rutjagoN ka hisaab do
meri chahato`N ki chandni
bina chaand k udaas hai
meri baat ko na yuuN tool do
meri chahatoN ka jawab do
maiN ne zindagi tay'aag de
meri zindagi ka hisaab do
ek lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa duu.N
mai.n tere saamane ambaar lagaa duu.N lekin
kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
yaa vo pattharaa_ii hu_ii aa.Nkh kaa niilaa patthar
jis me.n sadiyo.n ke tahayyur ke pa.De ho.n Dore
kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai
ik vo patthar hai jise kahate hai.n tahaziib-e-safed
us ke mar_mar me.n siyah Khuun jhalak jaataa hai
ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath me.n teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai
jitane mayaar hai.n is daur ke sab patthar hai.n
sher bhii raqs bhii tasviir-o-ginaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahan-e-rasaa bhii patthar
is zamaane me.n har fan kaa nishaa.N patthar hai
haath patthar hai.n tere merii zubaa.N patthar hai
ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar
Great contribution by every1. Its really hard 2 think of some peom/ghazal that even a few of u guys have missed.Coz mashallah sab ne kaafi kuch parh rakha hai. Anywayz... here's 1 from me (with LOVE) :)
kabhi dhun thi yehi us shakhs ko DIL mein basaana hai
aur ab uljha hua hai DIL usay kaisay bhulaana hai
usay dekho, usay sun lo, usay choo lo, usay paa lo
haqeeqat hai to itni hai, jo baaqi hai fasaana hai
wahi FARHAAD ka taesha, wahi andaaz SHEEREIN k
muhabbat karnay walon ka wohi kissa puraana hai
najaanay kyoun TASSAVUR tum khula rakhtay ho darwaaza
bhala ab kon aey ga, bhala ab kis ko aana hai