Kabhi kabhi dil yeh chahta hai
tumhari shamon ka haal poochon
sawaal poochon
ke fiker e farda main kaisi guzri
younhi kabhi mera naam aaya tumhare honton pe ek pal ko
mrri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bi raston main
kabhi kisi din tumhari subha ke dar pe jagi sadaye dastak
kabhi ibbadat ki kayfiat main tumhein mera bi gumaan guzra
tumhare sehan e dua se mera bi dheyaan guzra
kabhi tumhare badan pe bi shab e azaab ban ker thehr gayi thi
kabhi kabhi dil yeh chahta hai'sawal pochon
mager main chup hoon
hamarey dermiyaan yeh ju deewar e ajnabeeyat hai yeh gannimet
iisi main tukeere hurf o lub hai
yehin pe tarq o talb ki hadd hai
** Jahan phulon ko khilanaa thaa vahein khilatay to achcha thaa
tumhin ko hum ne chahaa thaa tumhein milatay to achcha thaa
koi aakar hamein puuchay tumhein kaise bhulaaya hay
tumhaaray Khat ko ashkon se shab-e-Gam mein jalaya hay
hazaaron zaKhm aise haien agar silatay to acha tha
tumhin ko hum ne chahaa thaa tumhein milatay to achcha thaa
tumhein jitnaa bhulaayaa hai tumhari yaad aai hay
bahaar-e-nau jo aii hay vohi Khushbu lai hay
tumharay lab meri Khatir agar hilatay to achaa thaa
tumhin ko hum ne chahaa thaa tumhein milatay to achcha thaa
mila hay lutf bhii ham ko haseen yaadon ki jhilmil mein
katii hai zindagii tum bin magar itanii sii hay dil mein
agar tum aatay to achaa thaa agar milatay to achaa thaa
tumhin ko hum ne chahaa thaa tumhein milatay to achcha thaa**
Jahan phulon ko khilanaa thaa vahein khilatay to achcha thaatumhin ko hum ne chahaa thaa tumhein milatay to achcha thaa
koi aakar hamein puuchay tumhein kaise bhulaaya haytumhaaray Khat ko ashkon se shab-e-Gam mein jalaya hayhazaaron zaKhm aise haien agar silatay to acha thatumhin ko hum ne chahaa thaa tumhein milatay to achcha thaa
tumhein jitnaa bhulaayaa hai tumhari yaad aai haybahaar-e-nau jo aii hay vohi Khushbu lai haytumharay lab meri Khatir agar hilatay to achaa thaatumhin ko hum ne chahaa thaa tumhein milatay to achcha thaa
mila hay lutf bhii ham ko haseen yaadon ki jhilmil meinkatii hai zindagii tum bin magar itanii sii hay dil meinagar tum aatay to achaa thaa agar milatay to achaa thaatumhin ko hum ne chahaa thaa tumhein milatay to achcha thaa
hum parh rhai the khvaab ke purzoon ko jor ke
aa.Ndhii ne ye tilism bhii rakh Dalaa to.D ke
aaGaaz kyo.n kiyaa thaa safar un Khvaabo.n kaa
pachhataa rahe ho sabz zamiino.n ko chho.D ke
ik buu.Nd zahar ke liye phailaa rahe ho haath
dekho kabhii Khud apane badan ko nicho.D ke
kuchh bhii nahii.n jo Khvaab kii tarah dikhaa_ii de
ko_ii nahii.n jo ham ko jagaaye jhinjho.D ke
in paaniyo.n se ko_ii salaamat nahii.n gayaa
hai vaqt ab bhii kashtiyaa.N le jaao mo.D ke
Baat nikle gi to phir dur talak jaye gi
log be wajha udasi ka sabab poochain gay
ye bhi poochain gay ke tum itne pareshan kiyon ho
ungliyan uthain gi sookhay huway baloon ki taraf
ik nazar daikhain gay guzray huay saalon ki taraf
chudion per bhi kai tanz kiye jaen gay
kanptay hathon pe bhi fiqray kasay jaen gay
Log zalim hain har ik baat ka ta'ana dain gay
baton baton main mera zikr bhi lay aain gay
unki baton ka zara sa bhi asar mat laina
warna chehray kay ta'usar say samjh jain gay
chahay kuch bhi ho sawalat na karna un say
meray baray main koi baat na karna un say
Hawa ko likhna jo aa gaya hai
ab us ki marzi ke wo khizan ko bahar likh day
bahar ko intizar likh day
safar ki khwahish ko wahamon kay azaab say humkinar likh day
wafa kay raston pe chalne waloon ki kismatoon main ghubar likh day
hawa ko likhna jo aa gaya hai
hawa ki marzi ke wasl mausam main hijr ko hissa dar likh day
muhabatton main guzarnay wali ruton ko na-paidar likh day
shajar ko kum saya dar likh day
hawa ko likhna jo aa gaya hai
ab uski marzi ke woh hamaray diye bhjha kar
shabon ko ba-ikhtyar likh day
hawa ko likhna sikhanay walo
hawa ko likhna jop aa gaya hai . . . . . . . . .
safar ki khwahish ko wahamon kay azaab say humkinar likh day
wafa kay raston pe chalne waloon ki kismatoon main ghubar likh day
hawa ko likhna jo aa gaya hai
hawa ki marzi ke wasl mausam main hijr ko hissa dar likh day
muhabatton main guzarnay wali ruton ko na-paidar likh day
shajar ko kum saya dar likh day
hawa ko likhna jo aa gaya hai
ab uski marzi ke woh hamaray diye bhjha kar
shabon ko ba-ikhtyar likh day
hawa ko likhna sikhanay walo
hawa ko likhna jop aa gaya hai . . . . . . . . .
*bohat sa hum jagtey rahey hain chalo zara sa jagaain tum ko *
*tumhi jo roshni si ban ker humari aankhon mein aa basey ho *
*jab apni aankhain hi keh dia hai tou phir bhala kyun rulain tum ko *
*tum aaj kyun muztarib ho janan,tumharey lehjay mein toot kesi *
*kaha na tha k' waqt dai ga kadooraton ki sazaain tum ko *
*tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan peh haath rakhna *
*meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aain tum ko *
*ghubaar aalud raaston mein talaash ker ker k thak gaye hain *
*kahan peh jaa k basay huye ho kahan se dhoond lain tum ko *
*tumhain tou sukh aagay muyaser tumhain to hum yaad bhi nahi hain *
*magr batao k hum jo chahain tu kis tarah se bhulaain tum ko *
*tum apni baaton peh mutmain ho hamein bhi shermindagi nahi hai *
*anaa ki diwaar ko gira ker nahi ye mumkin manaain tum ko *
Great Ehsaas. I really apreciate your choice
Kaifi Azami kay kalam say aik Intikhab
Koi yeh kaisay bataye ke wo tanha kiyon hai **
**wo jo apna tha, wohi aur kisi ka kiyon hai yahi dunya hai to aisi ye dunya kiyon hai yahi hota hai to aakhir yahi hota kiyon hai
ik zara haath badha dain to pakad lain daman **
**us kay seenay main sama jaye na hamari dadhkan itni qurbat hai to phir faasla itna kyon hai
***Koi yeh kaisay bataye ke wo tanha kiyon hai *
Dil-e-barbad se nikla nahin ab tak koi **
**ik lutay ghar pe diya karta hai dastak koi aas jo toot gai phir say bandhata kiyon hai
*Koi yeh kaisay bataye ke wo tanha kiyon hai *
tum mussarat ka kaho isko ya gham ka rishta kehtay hain pyar ka rishta hai janam ka rishta **
**hai janam ka jo ye rishta to badalta kiyon hai
*Koi yeh kaisay bataye ke wo tanha kiyon hai *
**