BaitBazi New Rule Month of April

Re: BaitBazi New Rule Month of April

haan wahi joh aap kay duein kee wajah say semi final mein achee bowling nahin karaa saka. :mad:

Re: BaitBazi New Rule Month of April

aap to kahtay thay aap ko ghussa naheen aata hay :lb:
*** me ko khushi hoi :cheer: :yahoo: ***

Re: BaitBazi New Rule Month of April

Lo g mairay khiyal mein main aqalmandi key baat karnay laga hoon :smiley:

New rules kay mutabiq aap akhri words ka pahla ya akshri character pick kar saktahy hain to Uncle Ehsan nay bilkul theek she’r likha tha :sunnyboy:
**shabash apni peeth thapkaing ***

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**sab kii puujaa ek sii, alag alag har reet
masjid jaaye maulavii, koyal gaaye geet

gaaf/tey
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

na tujhko maat hua na nujh ko maat hue
so ab k dono hi chalain badal k dekhtayn hyn

Re: BaitBazi New Rule Month of April

guzra hun jis taraf say b pathar lagay mujy
asay b kia thay laal-o-jawahar lagay mujy
meem/yay

Re: BaitBazi New Rule Month of April

:emmy: aik sher likhna hay sief :aj:

yeh noor ke sholay uthtay hain, mera hee dil garmanay ko
jo bijli ufak main chamki hai, chamki hai mere taRpanay ko

Re: BaitBazi New Rule Month of April

mi nay zada waqt laga dia tha@:
sanaan APP thek kah rahay thay EHSAN nay thek sha,ar lika tha

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**mittii sey maatii mile, kho ke sabhii nishaan
kis mein kitanaa kaun hai, kaise ho pahachaan

pey/noon
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

3 saans lyn ham saub
1…2…3
start

Re: BaitBazi New Rule Month of April

ab kia saans lena bhul gae sub:hehe:

Re: BaitBazi New Rule Month of April

payam ae hayn os baywafa k mujy
jisay qarar na ay kahen bhula k mujy
meem/yay

Re: BaitBazi New Rule Month of April

yay hijr hawa bhi dushman hai is nam ke saray rangon ki

woh nam jo meray honton pe khusbu ki tarah abad howa

Re: BaitBazi New Rule Month of April

aaj phir totayn gi taray ghar ki nazuk khirkian
aaj phir daykha gay dewana taray shahar main

meem/noon

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**mahabbatoN maiN nai raah ikhtiyaar karay..
usay kaho.. k zara saamnay say waar karay..!

‘kaaf’ ye’
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

yeh jaan kar bhi ke donoN kay raaste thay alag ajeeb haal tha jab us se ho rahe thay alag

Alif/Gaaf

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**gul teraa rang churaa laaye hain gulzaaron mein
jal rahaa huun bharii barasaat kii bauchhaaron mein

meem/noon
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

Gardon Ke Sitaarey Bujhney Do, Dunya Sey Kaho Maatam Na Karo

Zarron Sey Shuaaein Phoottein Gi, Matti Ki Khudaai Baaqi Hey

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maango
apane hii gale ke liye talavaar na maango

meem/wao
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

Mausam tha beqarar tumhain sochtay rahay
** kal raat baar baar tumhain sochtay rahay**
** barish howi to ghar k dareechay say lag k ham**
** chup chaap sogawaar tumhain sochtay rahay

‘re’ ye’
**