BaitBazi New Rule Month of April

Re: BaitBazi New Rule Month of April

Yehi nahee ke mujhe tor kar gaya hai koi
Ussay bhi khud ko bahut dair jorna hoga...

Next: "Hay / Alif"

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**hum dostii ehsan vafaa bhuul gaye hain

zindaa to hain jiine kii adaa bhuul gaye hain

hey/noon
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

na jaanay kon sa fiqraa kahaaN raqm ho jaaye **
** diloN kaa haal bhii ab kon kisi say kahta hai

** meray badan ko nami khaa gai ashkoN ki **
** bhari bahaar maiN jaisay makaan dahtaa hai **

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**yahii to aashnaa banate hain aakhir
koii naa aashnaa dekhaa na jaaye

jeem/ye
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

Ye Duniya Aik Lamhey Me Tumhein Barbad Kar Dey Gi “FARAZ”
Mohabbat Agar Mil Bhi Jaye To Usay Mash’hoor Mat karna,

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**kaatii tamaam umr fareb-e-bahaar mein
kaante sametate rahe phuulon ke naam se

seen/ye
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**Sar-e-Raah kuch bhi kaha nahi , kabhi uss ke ghar main gaya nahiN
main janam janam se ussi ka hooN , usey aaj tak yeh pata nahiN
yeh Khuda ki dain bhi ajeeb hai k issi ka naam naseeb hai
jisay tu nay chahaa mil gaya , jisay maiN nay chaha mila nahiN

'noon'
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

Toh sms ker dena tha uss koh. :smiley:

Nice. :k:

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**na thaa kuchh to Khudaa thaa, kuchh na hotaa to Khudaa hotaa
Duboyaa mujh ko hone ne, na hotaa main to kyaa hotaa

hey/alif
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

^
uss zamanay maiN shaaid sms ka rawaaj nahiN tha.. :D

Aadmi kaam kaa nahiN rehtaa
ishq maiN bas yehi kharabi hai

**
'he' ye'**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**huaa jab Gam se yuun behis to Ghum kyaa sar ke katney kaa
na hotaa gar judaa tan se to zaanon par dharaa hotaa

hey/alif
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

<!--[if gte mso 9]> Normal/w:View 0/w:Zoom 21/w:HyphenationZone false/w:SaveIfXMLInvalid false/w:IgnoreMixedContent false/w:AlwaysShowPlaceholderText /w:Compatibility MicrosoftInternetExplorer4/w:BrowserLevel /w:WordDocument <![endif]--><!--[if gte mso 9]> /w:LatentStyles <![endif]--><!--[if gte mso 10]> <![endif]-->Ab terey zikr pe ham baat badal detay haiN*
** kitni raghbat thi terea naam se pehlay pehlay**

'pe' ye'

Re: BaitBazi New Rule Month of April

<!--[if gte mso 9]> Normal/w:View 0/w:Zoom false/w:SaveIfXMLInvalid false/w:IgnoreMixedContent false/w:AlwaysShowPlaceholderText /w:Compatibility MicrosoftInternetExplorer4/w:BrowserLevel /w:WordDocument <![endif]--><!--[if gte mso 9]> /w:LatentStyles <![endif]--><!--[if gte mso 10]> <![endif]-->pata pata bota bota hal hamara janay hai
janay na janay gul hi na janay bagh tu sara jana hai

Re: BaitBazi New Rule Month of April

Gul kay nazdeek aap nay cigrattee ka kush nahin liya hoga warna woh bhi aap ka haal jantaa. :D
Nice.

Re: BaitBazi New Rule Month of April

Gul ko to mein room mein band kar kay capstain key cirgut pee pee kar dhuwan choor doon ga :aj:
** yah aap umar gul key baat kar rahay hain na :emmy: *****

Re: BaitBazi New Rule Month of April

yi arzo thi tujy GUL k robaru karatay
mi orr bulbulay bataab guftagu kartay

Re: BaitBazi New Rule Month of April

**havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa
hamaarii umar ke Khemen ukharane vaale hain

hey/noon
**

Re: BaitBazi New Rule Month of April

nice giia :lajawab:

Na tan meiN kHoon faraaham na Ashk AaNkhoN meiN

Namaaz-e-Shauq to Waajib hai be-wazoo hi sahi

Re: BaitBazi New Rule Month of April

hay:khums:
os nay
hai lika hay jo yay par khatam hota hi
hay =yay=hai
last word :yay:

Re: BaitBazi New Rule Month of April

mein abhi shair likh raha tha kay beech mein aap aa tapkein. :naraz: