Re: BaitBazi New Rule Month of April
**go zaraa sii baat par barason ke yaaraane gaye
lekin itanaa to huaa kuchh log pahachaane gaye
gaaf/ye
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**go zaraa sii baat par barason ke yaaraane gaye
lekin itanaa to huaa kuchh log pahachaane gaye
gaaf/ye
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
Yun jaan di wafa mein ke qaatil tamaam umer
Dil ki adalatoon mein saza dhoondta raha ...
Next: "Ray / Alif"
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**ab bhii un yaadon kii Khushbuu zehan mein mahafuus hai
baarahaa hum jin se gulazaaron ko mahakaane gaye
Gaaf/ye
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
Yeh zara zara si baat per tarah tarah ke azaab kyon
Jo kisi se bhi khafa na ho mujhe us Khuda ki talaash hai ...
Next: "Hay / Ye"
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**yuun to woh merii rag-e-jaan sey bhii the nazadiik tar
aansuuon kee dhundh mein lekin na pahachaane gaye
gaaf/ye
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
^ Ehsan bhai aap ne tau Gaaf/Ye ki Hat-Trick kar li ... mubarka ho ... :D
Yahaan manzar se pas-manzar tak hairaani hi hairaani hai
Kabhi assal ka bhaid nahe khulta kabhi sacha khwaab nahe hota
Kabhi ishq karo tau phir dekho is aag mein jalte rehne se
Kabhi dil per aanch nahe aati kabhi rang kharab nahe hota ...
Next: "Hay / Alif"
Re: BaitBazi New Rule Month of April
^ haha, didnt realise. :)
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**hum dostii ehsan vafaa bhuul gaye hain
zindaa to hain jiine kii adaa bhuul gaye hain
hey/noon
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
<!--[if gte mso 9]>
terii yaadaiN bhulanay ko buhat samaan rakha hai
'he' ye'
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
Yeh hawa yeh raat yeh chaandni teri ek ada pe nisaar hai
Mujhe kyon na ho teri aarzoo teri justujoo mein bahaar hai ...
Next: "Hay / Ye"
Re: BaitBazi New Rule Month of April
ham jis pe mar rahe hain voh hai baat hii kuchh aur
aalam mein tujhase laakh sahii tuu magar kahaan
kaaf/noon
Re: BaitBazi New Rule Month of April
Kya khabar thee tere milne pe qayyamat hogi
Mujh ko deewana bana denge tere shehar ke log ...
Next: "Laam/Gaaf"
Re: BaitBazi New Rule Month of April
garmi-e-hasrat-e-naakaam say jal jaate haiN
ham charaghoN kii tarah shaam se jal jaate haiN **
**jab bhii aataa hai mera naam teray naam ke saath
*jaane kyooN log meray naam say jal jaate haiN *
'he' noon'
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**hum_safar hotaa koii to baant lete duuriyaan
raah chalate log kyaa samajhen meri majabuuriyaan
meem/noon
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
...
Re: BaitBazi New Rule Month of April
muhabbat haar k jina bohat dushwaar hotaa hai
ussay bas itna keh daina bharam toRa nahiN kartay
'kaaf' ye'
Re: BaitBazi New Rule Month of April
Yeh dastoor-e-wafa sadeyoon se raaejj hai zamane mein
Sadaa-e-kurb di jin ko unhee ko door dekha hai ...
Next: "Hay / Ye"
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**ye ab khulaa hai ki koii bhii manzar meraa na thaa
main jis mein rah rahaa thaa vahii ghar meraa na thaa
tey/alif
**
Re: BaitBazi New Rule Month of April
Aajaa ke abhi zabt ka mausam nahee guzra
Aajaa ke paharoon pe abhi baraf jami hai
Khushboo ke jazeroon se sitaroon ki haddoon tak
Is shehar mein sab kuch hai bas teri kami hai ...
Next: "Hay / Ye"
Re: BaitBazi New Rule Month of April
**ye maharuumii nahin paas-e-vafaa hai
koii tere sivaa dekhaa na jaaye
jeem/ye
**