Bait Bazi Part - LXX

I love the above shair, Thanks for sharing :)

ye shab-e-firaq ye bebasii hai.n qadam qadam pe udaasiyaa.N
meraa saath ko_ii na de sakaa merii hasarate.n hai.n dhuaa.N dhuaa.N

:)

nishat-e-jaan ki qasam tu nehi to kuch bhi nehi
Bohet dare tuk tujhay bhula ker daikha hay

ye fizaa jo gard-o-Gubaar hai merii bekasii kaa mazaar hai
mai.n vo phuul huu.N jo na khil sakaa merii zindagii me.n vafaa kahaa.N

:wave:

Naha gaya tha mae kul raat jugno'n ki barish mein
Wo mere Kandhay pe sur rakh k khoob roee thee

"yeh"

yaa to miT jaa_iye yaa miTaa diijiye
kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye

Ye ilm ka soda ye kitabein ye risalay
FaQt ik shaks ki yaadon ko bhulanay k liye hain

"Noon"

aray koi mere saath bait bazi ker le :crying:

Mein kar leta hoon :p

na ho gar aashanaa nahii.n hotaa
but kisii kaa Khudaa nahii.n hotaa

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai

yuu.N unakii bazm-e-Khaamoshiyo.n ne kaam kiyaa
sab ne merii muhabbat kaa ehataraam kiyaa

Ay Adem ahtiat logon say
log Munkir Nakeer hotay hain

:D

na ravaa kahiye na sazaa kahiye
kahiye kahiye mujhe buraa kahiye;)

PS:- Adem apne aap ko insaan naheen samajhta? :rolleyes:

“Yeh”

hmmm nehi Insan to hay per semejhdar hay:D

Yeh tum hi nay mujhay bataya tha
zindegi saneha nehi hoti
her qadem phoonk phoonk ker rekhna
her gali rastah nehi hoti

:wink:

yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

gir jaaoge tum apane masiihaa kii nazar se
mar kar bhii ilaaj-e-dil-e-biimaar na maa.Ngo

Woh baat jis ka saray fasany main ziker na tha
woh baat un ko bohet nagawar guzri hay

yaaro mujhe mu'aaf karo mai.n nashe me.n huu.N
ab do to jaam khaalii hii do mai.n nashe me.n huu.N

:p

Na doseti say rehay na dushmeni say rehay
hamain to tamam gilay apni aa gehi say rehay
woh paas aayi to mozou-e-guftegou na milay
woh loat jayai to tamam guftegou usi say rehay

yaa haatho.n haath lo mujhe jaise ke jaam-e-may
yaa tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.N

Num hain palkain teri,ay moaj-e-hawa,raat k sath
k tujhay bhi koi yaad aata hay barsat k sath