yaa to miT jaa_iye yaa miTaa diijiye
kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye
Yeh umer bher ki riazetain,Yeh nager nager ki musafetain
Yeh to Roag hay mah-o-sal ka,Yeh to gerdishain hain safer nehin
na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai
hamaarii zindagii bhii zindagii hai
Yeh nehi Ilm kahan samena un say hoga
Yeh to maloom hay hum ko woh kahien hotay hain
:D:
na jaane ashk se aa.Nkho.n me.n kyo.n hai aaye hue
guzar gayaa zamaanaa tujhe bhulaaye hue ;)
Yeh aik hum k naie bolian seda bolain
teri zuban pay wohi serdion ka mosam hay
woh"haan"keray gy baharon main us ka wadah tha
us aik "haan" pay wohi serdion ka mosam hay
ye iztiraab saa kyaa hai ki muddate.n guzarii
tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue
Yehi kaha tha ja ker usay mena lao
Yeh kub kaha tha k Us ko Khuda bena lao
vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa
Aur ab kion nehi Nibhatay Tum
Itnay waday nehi kiyai hotay
ye kin nazaro.n se tum ne aaj dekhaa
ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye
Apni berbadi ka main ja ker kisay ilzam doon
Apnay hathon say diboyien main nay apni kishtian
na haaraa hai ishq na duniyaa thakii hai
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai
sukuun hii sukuun hai Khushii hii Khushii hai
teraa Gam salaamat mujhe kyaa kamii hai
Youn hi meray pehloo main chala aata hay akser
woh derd jisay main nay pukara nehi hota
are o jafaao.n pe chup rahane vaalo
Khaamoshii jafaao.n kii taa_iid bhii hai
:D
wah :D:
Yeh guman tha k kon-o-makan desteres main hain
aankhain kholien to zaat ki menzil bhi door thi
ye bhii nahii.n biimaar na the
itane junuu.N aasaar na the
logo.n kaa kyaa zikr kare.n
ham bhii kam ayyaar na the
Yeh sheb-e-firaq yeh baibesi,hain qadem qadem pay udasian
mera sath koi na daiseka,meri hesretain hain dhouan dhouan
main terhep terhep k jiya to kia,meray khawab mujh say bicherh gayai
main udaas gher ki seda sehi,mujhay dai na koi teselian
na tum mere na dil meraa na jaan-e-naatavaa.N merii
tasavvur me.n bhii aa sakatii nahii.n majabuuriyaa.N merii
Yeh ajeeb khail hay ishq ka,main nay aap daikha yeh Mojezah
Woh jo lefz meray guman main thay,woh teri zuban pay aa gayai