haal usakaa tere chehare pe likhaa lagataa hai
vo chup chaap kha.Daa hai teraa kyaa lagataa hai
Yeh tumhari kuj adaian koi seh k to dikha dai
yeh jo hum main tum main nibah hay meray hoselay ka kamal hay
![]()
yuu.N to har chiiz salaamat hai merii duniyaa me.n
ek ta'alluq hai jo TuuTaa huaa lagataa hai;)
yaad hai.n saare vo aish-e-baafaraaGat ke maze
dil abhii bhulaa nahii.n aaGaaz-e-ulfat ke maze
yay jo zindagi ki kitaab hai yay kitaab bhi kya kitaab hai
kahiN ik haseen sa Khwab hai kahin jan leva azab hai
Yeh ishq bhi kia hay isay apnayai koi aur
chahoon main kisi aur ko yaad aayai koi aur
us sheks ki mehfil kabhi berpa ho to daikhoon
ziker kisi aur ka shermayai koi aur
raah aasaan ho ga_ii hogii
jaan pahachaan ho ga_ii hogii
Yaad-e-mazi azab hay yarub
cheen lai mujh say hafezah mera
Aik tu hi nahiN ho raha door hum say ay dost
Ya sari duniaN hi door bhagti hay hum say!
yeh fiza jo gerd-o-ghubar hay meri baikesi ka mazar hay
main woh phool hoon jo na khil saka meri zindegi main wafa kahan
Na ghum saath chaltaa hai, naa khushi hur dumm saath daitee hai
Iss zamaanay maiN bawafaa aankh bhee dhokaa khulaa daitee hai :-)
(Anwaar)
ye aur baat k manzil pe hum pohunch na sakay
mgr ye kam hai k rahoon ko chaan bhaithay hain..
"noon"
Naa jaane kaun se ab zulm reh gai hain qamar
duaa woh maangte hain mairi zindagi ke liay
ye aag khamoshiyoon ki kaise tumhari ankhoon mein tairtee hai
tumhare hontoon pe darj thay jo nisaab sare jhulass gay hain
"noon"
Naa hui gar meray mernay sey tassalee, naa saheeh
imtihaan aur bhi baaqi ho tou yeh bhi naa saheeh
hum saadgi pasand tu bohat hein lekin
kissi ki khatir sajna acha lagta hai
"yeh"
yeh nehi maloom kahan samena un say hoga
yeh to maloom hay hum ko woh kahien hotay hain
Na farishta ho na farishtoon jaisa ho
mujhe talaash hai jis ki wo mere jaisa ho
mere khuloos ko pehchanta ho itna hee kafi hai
wo koi bhee ho, kahein bhee ho, kaisa ho
koi hai??????
woh jis ko bhoul k zindegi hay aziet main
na bhoulnay k liyai woh bhi yaad pehlay tha