Bait Bazi Part - LXX

usay kaho k hay bohet namurad shay janoon
isay kaho mujhay hay bohet janoon us ka

ik na ik mooR pe chupkey se bichaR jaatey haiN
jo sada saath nibhaney ki kasam khaatey haiN

'noon'

Na kabhi keray tujh say teray jaisa salouk
hath uthetay hi yehi lub pay dua aati hay

yeh

yooN ghalat tou nahi chahrooN ka ta'sur lakin
loog waisey nahi jaisey nazar aatey haiN

'noon'

Ya he nahi ka hamain toor kar giya hai koyee
Usay behi khud ko bohat dair joorna hoo ga

Adhoori khawahishon ka ghum na kerna
k saray khawab kub pooray hotay hain

noun

naamaa gayaa ko_ii na ko_ii naamaabar gayaa
terii Khabar na aa_ii zamaanaa guzar gayaa

aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

yaad hai.n saare vo aish-e-baafaraaGat ke maze
dil abhii bhulaa nahii.n aaGaaz-e-ulfat ke maze

Yeh meri umer meray mah-o-sal dai us ko
meray Mola meray dukh say nikal dai us ko

vafaa ke bhes me.n ko_ii raqiib-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhii hai

yaad hai.n vo husn-o-ulfat kii niraalii shoKhiyaa.N
iltamaas-e-uzr-o-tamahiid-e-shikaayat ke maze

Yeh bhi mumkin hay kisi roz na pehchanoun usay
woh jo her bar bhais badel laita hay
barha mujh say kaha tha meray yaron nay 'Wasi
Ishq deria hay jo bechon ko nigel laita hay

yaa rab! Gam-e-hijraa.N me.n itanaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa

aarazuue.n hazaar rakhate hai.n
to bhii ham dil ko maar rakhate hai.n

Aur ab to yeh aalam hay meray hamnasheen
k tu nehi to dunia main kuch bhi nehi

lolss gerh berh ho gaye

Najnay kon Duaon main yaad rekhta hay
main doubeta hoon semender uchal daiat hay

naavak a.ndaaz jidhar diidaa-e-jaanaa.N ho.nge
niim-bismil ka_ii ho.nge ka_ii bejaa.N ho.nge

Yarub ab to tabeer bekhsh dai
thuk gaye hain aankhain khawab buntay buntay