Ae Dost Jhoot Aam tha Duniya meiN iss QadaR
Tunay bhii Such kaha tou Fasana Laga Mujhay
Ab Ussko Kho Raha huuN Baray IshteyaaQ say
wuh Jis ko Dhundanay meiN Zamana Laga mujhay
ye dil, ye aasiab ki nagri, maskan soochooN wahmooN ka
sooch raha hooN is nagri maiN tuu kab se mehmaan hova
meray haal per hairat kaisi, dard k tanha mousam maiN
pathar bhi roo paRtey haiN insaaN tou phir insaan hova
'alif'
ab to der-o-deewar say udasi si tepekti hay Qateel
janay kis dais gayai woh payar nibhanay walay
ye alag baat afsaa na howa tujh per warna
meiN ney kitna mehsoos kiya tujhey teray baad..
Dil-e-nadan tujhay houa kia hay
akhir is derd k dawa kia hay
Yonhi mousam ki aada daikh ke yaad aya hay
Kiss qadar jald badal jatay hain insaan janaan
Na tu zameen k liyai hai na aasman k liyai
Jahan hay teray liyai tu nehi jahan k liyai
Yon hi Hum palkon pe taaray sajay baitthay hain
Zikar e purshooq woh oor jahanon ka lay baitthay hain
(Adab Arz)
Naam lai k tera hum to jiyai jayain gay
log younhi hamain bednam kiyai jayain gay
ye bhee theek hai wo chala gaya mujhe band raste per choor kay
wo judaa bhee kaise howa k mae koi rasm bhee na nibha saka
na mae pas us ko bula saka na dil ki baat bata saka
wo hunsi hunsi mein chal diya mae haath tuk na hila saka..
"alif"
*
Us ne khushboo se kerwaya tha ta'aruf mera
aur phir mujhe ko hawa mein bakhera bhee khushboo ki tarah...*
Hawaon say roz tum, chupkay se mera haal na poch
kabhi choom kar naam mera hawa main urra kar daikho
(Adab Arz)
wohi manzelein wohi merhalay wohi karwa'n wohi ra'ste
mgr apne apne maQam per kabhi hum nahi kabhi tum nahi
Neend say mera taluq hi nehi berson say
khawab aa aa k meri chett per teheltay kion hain
Yeh qadam meray ..
thakay howay
Preshaan baal....
khak main atthay howay
Hijar ki musafatain ...
Karri dhoob ki azeeyatain
ankhon main khawb teray ...
Abb bhi hain basay howay
(Adab Arz)
ye meri wafa ki hain wehshatein mujhe ikhtiyaar-e-Junoon nahi
jahan hum ne naam suna Tera, wahein apne sur ko jhuka diya..
"alif"
** Aadmee toot.ta kaisay hai tumhein kya maaloom
Tum ne dekhaa hi nahee dard ka lamhaa koi.**
"yay"
ye udasiyan na saja sakoon kabhi jism o jaan k mizaar per
na diye jalayein meri ankh mein mujhe itni sakht saza na de
yeh chakar kia hay ... her taraf zikar hay lamha lamha .. kahain issa na ho sach much hi lamhay ko chabanay chal parrain ... khair
Yeh tu nay pochay hain jitnay sawal
Saja rakha hay in main Ranj o malal
Rukay thay kuch dair sochnay ko Hum
Bircharrtay Lamhay ko ab gintay hain saal
(Adab Arz)
Laaoon woh ashk kahaan se jo seyyaahi dhooyain
Gandagi mein mera dil had se barha jaata hai ...
Next: Alif