Bait Bazi Part - LXX

is dil k tootne ki awaz ik tu hee na sun saka
baQi tu hur koi haal biyaan kerta hai

:teary1:

ye iztiraab saa kyaa hai ki muddate.n guzarii
tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue

yeh mujh per hee kiouN itaab hai:rolleyes:
yeh “ye” kaa shair ik azaab hai :smack2:

(Anwaar)

yaad tu hoon gi tujhe wo batein ab bhee lekin
shelf mein rakhi hoee band kitaboon ki tarah
koun janay tu na'y saal mein kis ko parhay
tera mayaar badalta hai nisaaboon ki tarah

haaye way sohniyaa:nuch:
haaye way mun mohniyaa:blush:
(iqbal bano :p)

j/k:p


Huvedaa aaj apnay zakh’m pinhaaN kar kar ka choRRooN gaa
Lahu ro ro kay mehfil ko GulistaaN kar kay choRRooN gaa
(Iqbal)

ab tu aa jaou meri jaan k janaza uthne ko hai
log tu ghairon ko bhee dafnanay chalay aatay hain :teary1:

Humain"H" say shair nehi aata
Hum kia kerain???

smilly

Nigaahein tou buhut milti hain aksar Husn waalon sey
Magar rona tou iss ka hai ke Dil sey Dil nahin milta

naa churaao shair tum poetry forum say!
kay yahaaN par loug daastaan-e-ghum raq'm kartay haiN :(

(Anwaar)

phir donon ne aik saath shair post ker diya :bummer:

dono kee jub milnay laggee frequency:blush:
shair bhee baahum sheer-O-shakar honay laggay :stuck_out_tongue:
(Anwaar:D)

Nigah-o-dil ko qarar kaisa, nishat-o-gham mein kamee kahan key
Woh jab milay hain to unn say har baar key hai ulfat nayay sir'ray say

Lol :hehe:

ye dil bohat udaas hai jub se khabr hoee
milta hai wo khuloos se hur ajnabi k saath :smash:

:frowning:

hum hi mein thee na koi baat yaad na tum ko aa sakay
tum ne hamein bhula diya hum na tum ko bhula sakay..:`(

kahan gay sub? :konfused:

Yoon hi meray pehloo main chla aata hay akser
woh derd jisay main nay pukara nehi hota

is dafa tu barishein rukti nahi hain dostoon
hum ne kia ansoo piye k saray mosum ru paray :(

Yeh qurbetain berhay imtehan laiti hain
Kisi say wasta rekhna to door ka rekhna

ander lagi thee aag mgr be-khabr thay log
jalte hoay makaan k bahir dhuwaan na tha