Bait Bazi Part - LXVIII

Yeh meri ghazlain yeh meri nazmain tamaam teri hikayatain hain
Yeh tazkiray teri lutf ke hain yeh shair teri shikayattain hain

Next: Noon

nazm ulajhii huii hai siine me.n
misare aTake hue hai.n hoTho.n par
u.Date-phirate hai.n titaliyo.n kii tarah
lafz kaaGaz pe baiThate hii nahii.n
kab se baiThaa huu.N mai.n jaanam
saade kaaGaz pe likhake naam teraa

Asr us per zara nahi hota
Ranj, rahat faza nahi hota
Tum humaarey kis tarah na huey
Warna duniya mein kiya nahi hota

Abhi tu Atay jatay Mausam Tum ko dekh kar rukh jatay hain , jab tanhae Roye,Wehshaat haath Malay Tu ajana!

aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zindaa kii sadaa
suune pa.De hai.n kuuchaa-o-baazaar ishq ke
hai shama-e-anjuman kaa nayaa husn-e-jaa.N gudaaz
shaayad nahii.n rahe vo patango.n ke val_vale
taazaa na rakh sakegii rivaayaat-e-dasht-o-dar
vo fitnaasar gaye jinhe.n kaa.NTe.n aziiz the

Yeh kia hay? jisay hum jaan say aziz rakhain
yeh kon hay? jisay hum sanss kay qareeb rakhain
Aay laa MakaaN! Sahib e Loh o Qalam tuu hi bataa !!!!!
Mera Janoon kaho hum kesay appna naseeb rakhain

Adab Arz
(Azad)

nagarii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa
kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhuul gayaa

Abb kay beRukhi tu kal kar lay
Aaj yeh dil bay taab bohut ....
... ahem ahem ..barray shareer khaylon say khailta hay dil ;)

Next Shair 'T'

Tumhara naam likhne ki ijaazat chinn gaee jab se
Koi bhi harf likhta hoon tu aankhain bheej jaati hain...

Next: Noon

nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaa.N merii
Khaamoshii guftaguu hai, bezubaanii hai zabaa.N merii

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaa.N merii
Khaamoshii guftaguu hai, bezubaanii hai zabaa.N merii
[/QUOTE]

Ya zindagi kooch bhi sehi per ya mera kis kaam ki
Jis ay liy jeety hain loog per ya mery kis qaam ki

Yeh ittefaaq hai sab raah ki musafat ke
Chale kis ke leye ja mile kis ke saath

Hawa lay aao khushbu e yaar ab to
Mudat howi hay be-rukhai ko ab to

Ddhondd'ta rahon sitara pyar ka shab bhar
Saja do naya koi oor asmaan ab to

Adab Arz
(Azad)

vo bulaaye.n to kyaa tamaashaa ho
ham na jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

Woh hum hi thay jo aalum e tanhaii main roya kartay
Phir baitt ke logon main unhain khoob hansaya kartay

Hanstay hanstay aankh jo bhar aati thi !!!!!!!!!!!!!!!!!
Phir utth kay bahana e sajda e shooq banaya kartay

Adab Arz
(Azad)

*Yeh haadsaat-e-muhabbat jahan jahan guzray
Dil-o-nazar per qayamat ke imtihaan guzray
*

Yeh aur baat hai ke mein hi na jaa saki us tak
Warna woh tu mere saamnay ek khula dar thaa...

Next: Alif

Abhi naa jaoo ka taroon ka dil dharkta hai
Tamam raat pari hai zara thahar jaoo

Woh jin ko dekh kar dil mein Khuda ki yaad aaye
Hum un buttoon ka barra ehteraam kartay hain...

Next: Noon

Na kabhi hum main ab judaii hoo
woh milay hain tu ab dua hai meri!